Nikah

Ladki Ki Nikah Ke Liye Rajamandi

Assalamo Alaikum Biradrane Islamiya,

Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.

Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.

Islam Duniya Ka Pehla Mazhab Hai Jisne Aurat Ko Unke Tamam Huqooq Dilaye. Puri Duniya Me Nabi-E-Rehmat Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Tashrif Lane Se Pehle Aurato Par Zulmo Sitam Hota Tha. Yahan Tak Ki Log Ladki Ko Paida Hote Hi Dafna Diya Karte The. Rehmat-E-Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Rehmato Ke Sadqe Tufail Aurato Ki Duniya Hi Badal Gayi. Islam Ne Aurato Ko Unke Huqooq Se Nawaza.  Isme Kayi Huqooq Hai Jisme Se Ek Haq Hai Apne Shohar Ko Chunne Ka Haq. Ladki Ke Razamandi Ke Bina Unka Nikah Na Kiya Jaye.

Hazrat Abuhuraira Wa Hazrat Abdullah bin Abbas Radiallahu Anhu Se Riwayat he ke Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
“Kuwari ladki ka nikah na kiya jaye jab tak uski Rajamandi na hasil kar li jaye Aur uska Chup rehna uski Rajamandi He, Aur Na Nikah kara jaye Bewah ka jab tak usse izazat na li jaye”
(Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 566)

Imaam Bukhari Radiallahu Anhu Nakal farmate he
Hazrat Aayesha Radiallaho Anha ne Arj kiya:
“Ya Rasoolallah! kuwari Ladki to Nikah ki Izaazat Dene Me Sharmati Hai.”
Aapne Farmaya
“Uska Khamosh Ho Jana Izazat Hai”
(Bukhari Sharif, Jild 3,Safa 76, Hadees No 124, Bab No 71)


Hazrat Abuhuraira Radiallahu anhu se Riwayat he ki Rasoole Akram Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad Farmaya:
“Balig kuwari ladki se uske Nikah ki izazat li jaye agar khamosh ho jaye to ye uski tarafse izazat Hai. Agar inkar kare to uspar koi Zabardasti Nahi”
(Tirmizi Sharif, Hadees No 1101, Jild 1, Safa 567)

Related Articles

7 Comments

  1. Assalam o aliekum. Ager aik lerki dil mein kisi ko pasand krti hy laikin vo yah bat apny waldain say kahny say jhijakti hy or unki merzi ki jaga pr he shadi k lie razamat ho jati hy yah us ky lie behtar hay ya vo apny waldain ko apni pasand sy agah kary yah behtar hay.. JazakAllah

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!