Ramzan

Chand Dekhne Ka Bayan

Aye Mehboob Tum Se Chand Ke Bare Me Sawal Karte Hain,
Tum Farma Do Wo Logon Ke Kamo Aur Haj Ke Liye AWQAT Hain
{القرآن، الجزء-2، سورة البقرة-189}
Hadees
Chand Dekh Kar Roza Rakhna Shuru Karo
&
Chand Dekh Kar aftar Karo
Aur Agar Abar (Badal) Ho To Shaban Ki Ginti 30 Ki Puri Karo
{صحیح البخاري، كتاب الصوم، الحديث-1909}
Hadees
Ummul Momineen Hazrat Aisha Siddiqa Radiallaho Anha Se Riwayat Hai Rasool صلى الله عليه وسلم Shaban Ke Mahine Ki is Qadar Hifazat Karte Ki itni kisi Aur Mahine Ki Nahi Karte.
Phir chand Dekh Kar Ramzan Ke Roze Shuru karte.
Agar Abar Hota To 30 Din Shaban Ke Pure Kar Ke Ramzan Ka Roza Rakhte.
{ سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب إذا أغمي الشهر،  الحديث-2325}
Mas’ala:
5 mahino Ka Chand Dekhna Wajibe Kifayah Hai…
Shaban
Ramzan
Shawwal
Zee Qadah
Zil Hijjah…..
Shaban ka is liye Ki Agar Ramzan ka Chand Dekhte waqt Abar Ya Gubaar Ho To Ye 30 Ki ginti Puri Kar Ke Ramzan Shuru Kare….
Aur ramzan ka is liye ki roza rakhna hai, shawwal ka is liye ki roza khatm karna hai,, aur Zee Qadah Ka Is Liye Ki Zil hajja Me Chand Dekhna Hai Aur Zil Hajja Ka is Liye Ki Baqra Eid Karni Hai
{الفتاوى الرضوية، جلد-10، صفحہ-451}
Mas’ala:
Kisi Ne Ramzan Ya Eid Ka Chand Dekha Magar uski Gawahi Qubool Na Hui fasiq (dadhi katta, ya khule aam gunahe kabira karne wala fasiq hai) Hone Ki Wajah Se
Ya kisi Eik Hi Admi Ne Chand Dekha Aur uski gawahi maani nahi Gai To Ab Ye Bhi Roza Rakhe Agarche isne chand Dekha Ho…
Isko Roza Todna Jayez Nahi, aur Todega To Kaffara Lazim Nahi
{Bahar-E-shariat, Hissa-5, page-975}
Mas’ala:
Abar Aur Gubar Me Ramzan Ka Saboot Eik Musalman Aaqil Baligh Mastoor Ya Aadil Shakhs Se Ho Jata Hai, chahe Wo Mard Ho Ya Aurat… azad Ho Ya Baandi, Ya Uspe Zina ki Had Jari Ho Chuki Ho jab ki tauba Kar Liya Ho
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, Page-975}
Aadil Hone Ka Mana Ye Hai Ki  Kam Se Kam Muttaqi Ho Yani Bade Gunaho Se Bachta Ho aur Chote Gunah Hamesha Na Karta Ho, aur aisa kaam na karta ho jo murawwat ke khilaf Ho masalan Bazar me khana….
{Bahar-E-shariat}
Ek Jagah Chand Huwa To Wo Sirf Wahi ke Liye Nahi Balke Tamam Jahan Ke Liye Hai
Magar Dusri Jagah Ke Liye Is Ka Hukm Us Waqt Hai Ke un Ke Nazzdeek Us Din Tarikh Me Chand Hona Sharai Saboot Se Sabit Ho Jaye
Yani Dekhne Ki Gawahi Ya Kazi Ke Hukm Ki Shahdat Guzre Ya Mutadeed Jaamtien Waha Se Aakae Khabar Dei’n Ke Fala’n Jagah Chand Huwa Hai Aur Waha Logo ne Roza Rakha Ya Eid Ki Hai..
(Bahare Shariat)
Agar Kisi Jagah Doosre Mulk Ya Doosre Shahar Ki Rooyat E Hilaal Shara’i Taur Par Apne Tamaam Shara’it Ke Saath Saabit Ho Jaye To Wahan Ke Logon Par Uske Mutaabiq Amal Karna Zaroori Ho Jayega,
Ya’ani
1. Shahadat,
2. Shahadat Alash Shahadat,
3. Shahadat Alal Qaza,
4. Kitabul Qazi Ilal Qazi,
5. Istifaada,
Se Isliye Ke Agarche Baa’z Logon Ke Nazdeek Ikhtilaaf E Mataale’ Mo’tabar Hai Lekin Zaahirur Rivayat Aur Ahwat Yahi Hai K Woh Mo’tabar Nahin Yahan Tak Ke Ahle Maghrib Ki Rooyat Agar Ahle Mashriq Par Batareeqa E Ijaab Saabit Ho Jaye To Uske Mutaabiq Un Par Amal Laazim Ho Jayega.
بحر الرائق جلد دوم صفحہ 270 میں ہے: “یلزم اہل المشرق برویة اہل المغرب و قیل یعتبر فلا یلزمھم برویة غیرھم اذا اختلف المطالع و ھو الاشبه کذا فی تبیین و الاول ظاھر الروایة و ھو الاحوت کذا فی فتح القدیر و ھو ظاھر المذہب و علیه الفتویٰ کذا فی الخلاصة”(Fatawa Faqeeh E Millat, Vol:1, Page:336, Faqeeh E Millat Academy, Basti)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!