Ramzan

Roza Na Rakhne Ki Ijazat

Shariat Ke Mutabik In Halato Me Roza Na Rakhne Ki Ijazat Hai Agar In Surato Me Roza Na Rakha To Koi Gunah Nahi
Hamalwali (Pregnant) Aur Dudh Pilanewali Ko Agar Apni Jaan Ya Bachche Ka Sahi Khatra Hai
To Us Waqt Roza Na Rakhe.
Chahe Dudh Pilanewali Bachche Ki Maa Ho Ya Daai
(Raduul Muhtar, Sunni Bahishti Zewar Hissa 2, Safa 194)
Safar, Hamal Aur Bachcho Ko Dudh Pilana Aur Bimari Aur Budhapa Aur Halaak Hone Ka Dar Aur Ekrahe Sharai Aur Nuksane Aqal Aur Jihad Ye Sab Roza Na Rakhne Ke Liye Uzr Hai.
In Baato Ki Wajahse Agar Koi Roza Na Rakhega To Gunahgaar Na Hoga Lekin Bad Me Jab Uzr Jata Rahe To In Chode Hue Rozo Ka Rakhna Farz Hai
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 185)
Agar Us Musafir Ko Uske Sathwale Ko Roza Rakhne Me Jarar (Nuksan) Na Pahunche To,
Roza Rakhna Safar Me Behtar Hai. Aur Agar Dono Ya Unme Se Kisi Ki Sathi Ko Nuksan Ho Raha Ho To Roza Na Rakhna Behtar Hai
(Durre Mukhtar)
Saanp (Snake) Ne Das Liya Aur Jaan Khatre Me Pad Gayi To Roza Tod De
(Raddul Muhtaar)
Mariz Ko Marz Badh Jane Ya Der Me Achcha Hone Ya Tandrust Ko Bimar Ho Jane Ka Gumane Galib Ho
To Ijazat Hai Ke Us Din Ka Roza Na Rakhe
(Balki Kaza Karle)
(Jauhara, Durre Mukhtar)
Aurat ka Haiz wa Nifas se khali hona Roze ke liye shart he.
(Sunni Bahishti Zewar, Safa 188)
Haiz wa Nifas ki halat me Roza rakhna, Namaz Padhna Haram he. Balki Jo namaze maf he unki kaza bhi lazim nahi.
Ha rozo ki kaza aur dino me rakhna Farz he.
(Durre Mukhtar, Aalamgiri, Sunni Bahishti Zewar)
Roze ki halat me Haiz ya Nifas shuru ho gaya to wah roza jata raha. Uski kaza rakhe Farz tha to kaza Farz he.
Aur Nafil tha to kaza Wazib.
(Aalamgiri)
Aurat Ko Jab Haiz Wa Nifas Aa Gaya To Roza Jata Raha
(Sunni Bahishti Zewar)
Bimari Ke Badh Jane Ya Der Me Achcha Hone Ya Tandrust Ko Bimar Ho Jane Ya Naukrani Ko Nakabile Bardasht Kamzori Ka Pura Yaqeen Ho,
To In Sabko Ijazat Hai Ke Us Dinka Roza Na Rakhe. Bad Me Kaza Rakhe.
(Jauhara, Durre Mukhtar, Sunni Bahishti Zewar Hissa 2 Safa 194)
Aurat Haiz se pure 10 din 10 rat me farig hui to baharhal agle din ka roza rakhe. Aur kam me pak hui to agar subah hone ko itna waqt he ki naha kar thoda sa waqt bachega to bhi Roza rakhe. Agar Gusla na kiya ho aur agar naha kar farig hone ke waqt subah chamki to Roza nahi.
(Aalamgiri)
Haiz wa Nifas wali aurat ko ikhteyar he ki chup kar khaye ya jahir me Rozdar ki tarah rehna us par jaruri nahi magar chup kar khana behtar he. Khaskar Haiz wali aurat ke liye.
(Bahare Shariat,Sunni Bahishti Zewar, Hissa 2, Safa 194)
Bhook Aur Pyas Aisi Ho Ke Halaak Ho Jane Ka Sahi Dar Ho Ya Aqal Kharab Ho Jane Ka Dar Ho To Roza Na Rakhe
(Aalamgiri, Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 186)
Roza Todne Par Majboor Kiy Gaya To Use Ikhtiyar Hai.
Aur Sabr Kiya To Sawaab Milega
(Raddul Muhtar)
Agar Aisa Budha Aadmi, Mard Ya Aurat
Garmiyo Me Bawajahe Garmi Ke Roze Nahi Rakh Sakta,
Magar Jaado Me Rakh Sakega To Abke Roze Chod De.
Aur Unke Badle Ke Roze Jaado Me Rakhna Us Par Farz Hai.
(Raddul Muhtar)
Safar Se Muraad Sharai Safar Hai Yani Door Jane Ke Irade Se Nikle Ki Yaha Se Waha Tak Din Ki Rah Ho
Agarche Wah Safar Kisi Najaiz Kaam Ke Liye Na Ho.
(Durre Mukhtar)
Musafir Ne Jahwae Kubra Se Pehle Iqaamat Ki Aur Abhi Kuch Khaya Nahi To Roze Ki Niyat Kar Lena Waajib Hai
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 186)
Shaikhe Faani (Yani Wah Budha Jiski Umr Aisi Ho Gayi Ki Ab Roz Baroz Kamzor Hi Hota Jayega) Jab Roza Rakhne Se Aaziz Ho Yani Ab Na Rakh Sakta Hai.
Na Aainda Isme Itni Taaqat Aane Ki Ummid Hai Ki Wah Roza Rakh Sakega To Use Roza Na Rakhne Ki Ijazat Hai.
Aur Har Roze Ke Badle Me Fidaya Yani Dono Waqt Ek Miskin Ko Pet Bhar Khana Khilana Us Par Waajib Hai.
Ya Har Roze Ke Badle Me Sadqa-E-Fitr Ke Barabar Miskin Ko De.
Yani 2kg 45gm Gehu Ya Itni Rakam Ada Kare Jisse 2kg 45gm Gehu Kharida Ja Sake
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 187)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!