Ramzan

Roze Ki Niyat Ke Masle

HADEES:
IBNE KHUZAIMAH Ne ABU MASOOD Giffari Se Eik Taveel Hadees Riwayat Ki Usme Ke Kuch Alfaz Ye Hain…
Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Agar Bandon Ko Maloom Hota Ki Ramzan Kya Chiz Hai To Meri Ummat Tamanna Karti Ke Pura Saal Ramzan Hi Ho
{صحیح ابن خزيمة، كتاب الصيام، باب ذكر تزيين الجنة لشهر رمضان……إلخ، ج-3، ص-190، الرقم الحديث-1886}
Shariat Ki istelah Me Roza Kehte Hain Musalman Ka ibadat Ki Niyyat Se subhe Sadiq Se suraj Doobne Tak apne Aapko Qasdan (jante Huye) khane Peene Aur Jima (sohbat) Se Baaz rakhna…
Aurat Ko Roze Ke Liye Haiz O Nifas (m.s & bachcha paida Hone Ke Bad Jo khoon 40 din tak ata hai) se pak hona shart hai…..
Mas’ala:
Roze Ke 3 Darje Hain,
1-aam logo ka Roza Ke Yahi Pet Aur Sharmgah Khane Pine Aur jima Se Rokna..
2-Khas Logo Ka Roza kaan Ankh zaban Aur Hath Paon Tamam Aazaye Jism Ko Gunaho Se Baaz Rakhna,
3-khasul Khas Logo Ka Roza Ki Allah Ke Siwa apne Ko sab Se Juda Karna aur apni Tamam Tawajjoh Ko sirf Allah Ki Taraf Lagana
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-966}
Mas’ala:
Aurat Haiz O Nifas Wali Thi usne Raat Me Niyyat Ki Aur subhe Sadiq Se Pehle Haiz O Nifas Se Pak ho Gai To Roza Sahi Ho Gaya
{Bahar-e-shariat, Hissa -5, page-969}
Mas’ala:
Sehri Khana Bhool Gaya Aur Der Se Utha To Ab Zahwe kubra (suraj jab theek sar pe aajaye aur admi ka saya uske pairon me aajaye use zawal ya zahwe kubra aur nisfun”nahare shari kehte hain) Se pehle Niyyat Kar Le……..
Zahwe kubra Niyyat Ka WAQT Nahi Agar Khas Zahwe Kubra Ke WAQT Niyyat Ki To Roza Na hua.
{Durre Mukhtar, Volume-3, page-394}
Mas’ala:
Jis Tarah Aur Jagah bataya Gaya Ki Niyyat Dil Ke irade Ka Naam Hai Zaban Se Kehna Shart Nahi Yahan Bhi Wahi Murad Hai, magar Zaban Se Keh Lena mustahab (achcha) Hai, agar Raat Me Niyyat Kare To Yun Kahe….
“Niyyat Ki Mai Ne Allah Ke Liye is ramzan Ka Farz Roza Kal Rakhuga”
Agar Din Me Niyyat Kare To Yun Kahe…
“Mai Ne Niyyat Ki Allah Ke Liye Aaj Ramzan Ka Farz Rakhuga”
Niyyat Ke Alfaz Arbi Me Padhe…
{Bahar-e-shariat, Hissa-5, page-968}
Mas’ala:
Din Me Niyyat Karte Waqt Ye Kahe Ki Mai Subah Se Rozedar Hun Agar Ye Niyyat Kare Ki Ab Se Hun To Roza Na Hua
{Bahare Shariat volume-5, P-968}
Mas’ala:
Raat Me Niyyat Ki Aur Kha Pee Liya To Niyyat Khatm Na Hui Pehli Niyyat Hi Kafi Hai… phir Se Niyyat Zaroori Nahi.. bas Subhe Sadiq Se Guroobe Afatab Tak Na Khaye To Roza Bhi Ho Gaya
{Alamgiri, jild-1, page-195}
Mas’ala:
Jis Tarah Namaz Me Baat Karne Ki Niyyat Kee Magar Baat Na Ki To Namaz Nahi Tooti, isi Tarah Roze Me Roza Todne Ki Niyyat Se Roza Nahi tootega Jab Tak Roza Todne Wali Chiz Na Kare
{Bahare Shariat volume-5, page-969}
Mas’ala:
Ramzan Ke Har Roze Ke Liye Nai (new) Niyyat Zaroori Hai….
Pehli Ya Kisi Tarikh Me Poore Ramzan Ki Niyyat Ki To Ye Niyyat Sirf Usi Eik Din Ke HAQ Me Hai Baqi Dino Ke Liye Nahi
{ Bahare Shariat volume-5, page-969}

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!