Ramzan

Sehri Ki Fazilate

IBTIDAAI DAUR ME SAHRI KI IJAZAT NA THI!!
Ibtida’an Raat Ko Uooth Kar Sahari Karne Ki Ijazat Na Thi
Roza Rakhne Wale Ko Gurube Aaftaab Ke Baa’d Sirf Us waqt Tak Khane Pine Ki Ijazat Thi Jab Tak Woh So Na Jae.
Agar So Gaya To Ab Bedar Hokar Khana Pina Mmnu’ Tha
Magar ALLAH Ne Apne Pyare Bando Par Ehsaane Azim Farmate Hue
Sahari Ki Ijazat Marhamat Farmadi
Aur Iska Sabab Yoo Huva Jaisa Ki Khzainul Irfan Me
Sadrul Afazil Hazrate Allama Maulana Sayyid Muhammad Naimuddin Murad’aabadi(Rahmatullahi alayh)

Naql Karte Hai:

SAHARI KI IJAZAT KI HIKAYAT:
Hazrate Sayyidyna Sarma Bin Qais (Radiyallahu Anhu)
Mehnati Shakhs The.Ek Din Bhi Haalate Roza Apni Zamin Me Din Bhar Kaam Kar Ke Shaam Ko Ghar Aae
Apni Zaujae Mohtarma(Radiyallahu Anhu)Se Khana Talab Kiya Woh Pakane Me Masruf Huee.
Aap(Radiyallahu Anhu)Thake Hue The,
Aankh Lag Gayi.
Khana Taiyyar Kar Ke Jab Aap(Radiyallahu Anhu)Ko Jagaya Gaya To Aap(Radiyallahu Anhu)Ne Khane Se Inkaar Kar Diya
Kyu Ki Uoon Dino(Gurube Aaaftaab Ke Baa’d)
So Jane Wale Ke Liye Khana Pina Mmnu’ Ho Jata Tha.
Chunanche
Khaae Piye Bigair Aap(Radiyallahu Anhu)Ne
Dusre Din Bhi Roza Rakh Liya
Aap(Radiyallahu Anhu)Kamzori Ke Sabab Behosh Ho Gae
(TAFSIRAL KHAAZIN Jild 1 Page 126)
To Inke Haq Me Yeh Aayate Muqaddsa Naazil Hui
TARJUMA KANZUL IMAN-
“Aur Khaao Aur Piyo
Yahaa Tak Ki Tumhaare Liye Zaahir Ho Jae
Sapedi Ka Dora Siyahi Ke Dore Se Po Fat Kar
Fir Raat Aane Tak Roze Pure Karo”
(PAARAH 2 AL BAQRAH 187)
Is Aayate Muqaddsa Me Raat Ko Siyaah Dore Se
Aur
Subahe Sadiq Ko Safed Dore Se Tashbih Di Gayi
Maa’na Yeh Hai Ki Tumhare Liye Ramzanul Mubarak Ki
Raato Me Khana Pina Mubaah (Yaa’ni Jaiz)
Qraar De Diya Gaya Hai
(TAFSIRE KHZAINUL IRFAN)
Is Se Yeh Bhi Maa’lum Huva Ki Roze Ka
Azane Fajar Se Koi T’alluq Nahi Yaa’ni
Fajar Ki Azan Ke Dauran khane pine Ka Koi Jvaz Hi Nahi
Azan Ho Ya Na Ho, Aap Tak Aawaz Pahunche
Ya Na Pahunche Subahe Sadiq Hote Hi
Aap Ko Khana Pina Bilkul Hi Band Karna Hoga
RAMZANUL MUBARAK KE ROZE AE’LANE NABUWWAT KE 15 WE SAAL
YAANI 10 SHAWWAL HIJRI SAN 2 ME FARZ HUWE.
(TAZKIRATUL KHAZAINUL IRFAN)
Sehri khaya karo kyonki Sehri khane me har Luqme ke badle 60 baras ki ibadat ka sawab milta he
(Mishkat)
Hazrate Sayyaduna Abdullah Bin Haris Radiallahu Ta’ala Anhu Ek Sahabi Radiallahu Anhu Se Riwayat Karte Hai Ki
Me Habeeb-E-Khuda Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Khidmat-E-Ba Barkat Me Aise Waqt Hazir Hua Ki Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Sehri Tanawul Farma Rahe The.
Aapne Irshad Farmaya:
“SEHRI BARKAT KI CHEEZ HE ALLAH NE ISSE TUMKO NAWAZA HE
ISLIYE TUM ISKO KABI NA CHORNA”
(Nasaai Sharif)
Hazrate Sayyduna Amar Binul Aas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke
Rasoolallah Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farnmaya
Hamare Aur Ahlekitab (Isaaiyo Aur Yahudiyo) Ke Rozo Ke Beech Farq Sehri Khana Hai Yani (Wo Log Sehri Nahi Khate)
(Muslim Sharif) 
Sarkaar-E-Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“ALLAH Aur Uske Firishte Sahari Khanewalo Par
Rahmat Naazil Farmate Hai”
(AL EHSAN BEE TARTIB, SAHIH IBNE HABBAN Jild 5 Page 194 Hadees 3458
Tibrani Sharif)
Hazrate Sayyadna Anas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke
Tajdar-E-Madina Suroor-E-Kalbo Seena Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Sehri Khaya Karo Kyunki Sehri Me Barkat Hai”
(Bukhari Sharif, Muslim Sharif)
Hazrate Sayyaduna Irbaaz Bi Sariya Radiallahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hai Ki
Ek Dafa Ramzanul Mubarak Me RasoolALLAH Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Muze Apne Sath Sehri Khane Ke Liye Bulaya.
Aur Irshad Farmaya
“Ki Aao Mubarak Nashte Ke Liye”
(Abu Dawood, Nasaai Sharif)
Hazrate Sayyaduna Abdullah Ibne Abbas Radiallahu Ta’ala Anhu Ss Riwayat Hai Ki
Rehmate Do Aallam Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Sehri Kha Kar Roza Rakhne Ke Liye Kuwwat Hasil Karo
Aur Din (Dopahar) Ke Waqt Aaram (Kailoola) Karke Raat Ki Ibadat Ke Liye Kuwwat Hasil Karo.
(Ibne Majah Sharif)
Hazrate Sayyaduna Abdullah Bin Abbas Radiallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ke
Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
” 3 Aadmi Jitna Bhi Kha Le Unse Koi Hisab Na Hoga
• Awwal Rozadar Iftar Ke Waqt
• Dusra Sehri Khanewale
• Tisra Mujahid Jo ALLAH Ke Raste Me Sarhade Islam Ki Hifazat Kare
(Tabrani Kabeer)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!