Ramzan

Shaan-E-Hazrate Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ
▶10 Nabwi Mein Aapka Nikaah Huwa Us Waqt Aapki Umr 6 Ya 7 Saal Ki Thi Aur Huzoor ﷺ Ki Umr Sharif 50 Saal Ki Thi.
▶ Aap Huzoor ﷺ Ki Sohbat Wa Ma’aashraat Mein 9 Saal Rahi.
➡Ummul Momineen Hazrate Aayesha Siddiqa رضي الله عنها Ka Nikaah Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Ne Karaya Tha.
▶Aapka Maher 400 Dirham Muqarrar Huwa.
▶ Ummul Momineen Hazrate Aayesha Siddiqa رضي الله عنها Walime Ke Baare Mein Khud Farmati Hai
Koi Ooñt Ya Bakri Zibah Karke Walime Ka Khaana Tayyar Na Huwa Balki Ek Pyaala Doodh Jo Saad Bin Ubada رضي الله عنه Ke Ghar Se Aaya Huwa Tha Wahi Walima Tha.
▶ Ummul momineen Hazrate Aayesha Siddiqa رضي الله عنها Ki Rukhsati Pehli San Hijri Mein 9 Mahine Baad Shawwal Mein Huwi.
Uss Waqt Hazrate Aayesha Siddiqa رضي الله عنها Ki Umr 9 Saal Ki Thi.
Doosri Riwayat Ke Mutabik 2 Hijri Mein Aathwe (8th) Mahine Ki Aakhir Mein Huwi.
(Madarijun Nabuwaah, Seerat ibne Hashim)
⏩ Hazrate Aayesha Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala Anha Farmaya Karti Thi Ki Mujhe Tamaam Ummahatul Momineen Par Kuch Aisi Fazilate Hasil Hai Jo Kisi Aur Azwaaje Mutaharaat Ko Hasil Nahi Hui
☆Maslan
▶Huzoor ﷺ Ne Mere Siwa Kisi Kunwaari Se Shaadi Nahi Farmayi.
▶Isse Pehle Ki Huzoor ﷺ Mere Nikaah Ka Payaam De Jibrael Alaihissalam Ne Reshmi Kapde Par Meri Soorat Huzoor ﷺ Ko Dikha Di Aur Kaha Ki Yeh Aapki Zauja Mutahhira  Hai.
Isi Tarah Aap 3 Raate Khawaab Mein Mujhe Mulahiza Farmate Rahe.
▶ Mere Siwa Azwaaj Mein Se Koi Bhi Aisi Nahi Jinke Maa-Baap Dono Muhajir Ho.
▶ ALLAH ﷻ Ne Meri Baraat Wa Taharat Ka Bayaan Aasman Se Quraan Paak Mein Naazil Farmaya.
▶ Huzoor ﷺ Namaz e Tahhajud Adaa Farmate Aur Mein Aapke Aage Sidhi Letey Rehti Thi Aur Yeh Sulook Mere Saat Hi Khaas Tha.
▶ Mai Aur Huzoor ﷺ Ek Hee Bartan Se Paani Le Lekar Gusl Kiya Karte The.
Yeh Sharf Kisi Aur Azwaaj Ko Hasil Nahi.
▶Kisi Zauja Mutahira Ke Jamaye Khawaab Mein Huzoor ﷺ Par Wahee Nahi Aayi Siwaye Mere Jamaye Khawaab Ke.
▶Huzoor ﷺ Ne Mere Hi Ghar Mein Bimari Ka Zamana Guzara Aur Meri Hi Baari Ke Din Aapki Rooh Muqaddas Kabz Ki Gayi.
▶Huzoor ﷺ Ki iss Haal Mein Rooh Kabz Huwi Ki Aap Mere Seene Par Aaram Farma Rahe The.
▶Aur Huzoor ﷺ Mere Hujre Mein Hi Madafan Huwe.
(Madaarijun Nabbuwah 2/802 – 804)
Apne Gharo Me Isale Sawab Kare.
ALLAH Aapke Sadqe Tufail Hamari Magfirat Farmaye
Aameen.
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!