Ramzan

Zakat Par Rishtedaro Ka Haq

ALLAH Rabbul Aalameen Qur’an-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai
“Aur Rishtedaro Ko Unka Haq De. Aur Miskin Aur Musafir Ko. Aur Fizool Na Udao. Beshaq ! Udanewale Shaitan Ke Bhai Hai. Aur Shaitan Apne Rab Ka Bada Na Shukra Hai.”
(Sure Bani Israil, Para 5, Aayat 26-27, Tarzuma: Kanzul Imaan)
Apni Asal Yaani MAA, BAAP, DAADA, DAADI, NAANA, NAANI Wagairah Jin Ki Aulad Mein Yeh Hai. Aur Apni Aulad BETA, BETI, POTA, POTI, NAWAASA, NAWAASI Wagairah Ko ZAKAAT Nahi De Sakta. Yun Hi SADQA-E-FITR WA NAZAR WA KUFFAARA Bhi Inhen Nahi De Sakta. SADQA-E-NAFL De Sakta Hai Balke Behtar Hai.
(AALAMGIRI, JILD-1, PAGE-188, RADD-UL-MUKHTAAR, JILD-2, PAGE-86).
Bahu Aur Daamaad Aur Sauteli Maa Ya Sautele Baap Ya Zauja (Biwi) Ki Aulad Ya Shauhar Ki Aulaad Ko De Sakta Hai. Aur Rishtedaaron Mein Jis ka NAFQA (KHARCH) Us ke Zimme Waajib hai,
Use ZAKAAT De Sakta Hai,
Jab Ke NAFQE (KHARCH) Mein MEHSOOB Na Kare.
(RADD-UL-MUKHTAAR,  JILD-2, PAGE-86).
ZAKAAT Wagairah Sadqaat Mein Afzal Yeh Hai ke Awwalan (Pehle) Apne Bhaiyon Baheno Ko De.
Phir Un Ki Aulaad Ko, Phir Chacha Aur Phupiyon Ko, Phir Unki Aulaad Ko, Phir Maamu Aur Khaala Ko Phir Unki Aulaad Ko, Phir Rishtedaaron Ko, Phir Padosiyon Ko, Phir Apne Peshe Waalon Ko, Phir Apne Shaher (City) Ya Gaaon (Village) Ke Rehnewaalon Ko.
(JOHRA, AALAMGIRI,  JILD-1, PAGE-190).
Bad maz’hab ko ZAKAAT dena jaayez nahi. Jab bad maz’hab ka yeh hukm hai to wahaabiya-e-zamaana ke Tauheen-e-KHUDA wa Tanqees-e-SHAAN Karte hain aur Shaaye (Publish) karte hain. Jin ko AKAABIR-E-ULMAA-E-HARMAIN TAYYABAIN ne BIL ITTIFAAQ kaafir-o-murtad farmaya, agarche woh apne aap ko musalmaan kahen. Inhen ZAKAAT dena Haraam-o-Sakht Haraam hai. Aur di to hargiz ada na hogi.
(DURR-E-MUKHTAAR, JILD-2, PAGE-96).
HADEES SHAREEF Mein Hai Ke NABI ﷺ Ne FARMAYA…..

AYE UMMAT-E-MUHAMMED !
QASAM Hai Uski Jisne Mujhe HAQ Ke Saath Bheja. ALLAH تعَـالَى Us Shakhs Ke SADQE Ko Qabul Nahi FARMATA,
Jis Ke Rishtedaar Uske Sulook Karne Ke Mohtaaj Hon Aur Yeh Gairon Ko De.
QASAM Hai Uski Jiske DAST-E-QUDRAT Mein MERI JAAN Hai, ALLAH تعَـالَى Uski Taraf QAYAAMAT Ke DIN NAZAR Na FARMAAYEGA.
(RADD-UL-MUKHTAAR, JILD-2, PAGE-93-94).
• Yeh Tamaam Masle BAHAAR-E-SHARIAT, PART-5, PAGE-50,51,52,53,54 Se Liye Gaye Hain
Mas’ala:
Sahetmand Tandurust Ko Zakat De Sakte Hain Agarche Wo Kamane Ki Taqat Rakhta Ho,
Magar Sawal Karna Use Jayez Nahi
‏( Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-929)

Jaroori Baat:
Jise Ham Zakat De Rahe Hai Use Zahir Karke Dena Jaroori Nahi Hai. Zakat Ki Niyat Kar Lena Zaroori Hai Jab Aap Apne Maal Se Ye Hissa Alag Kar Rahe Hai. Jaahir Karne Se Us Shakhs Ko Sharmindagi Mehsus Hoti Hai Aur Kai Log To Zakat Ka Nam Sun Kar Mana Kar Dete Hai. Beshaq ! ALLAH Ta’ala Ko Humare Tamaam Kamo Ki Khabar Hai. Wo Hume Zariya Bana Kar Inki Madad Farma Raha Hai. Denewala Sirf Wahi Hai. Hum Kuch Dene Ke Kaabil Nahi Hai. Lihaza Ham Khud Niyate Zakat Kare Aur Unhe Bina Jaahir Kiye Adaa Karde. ALLAH Hame Amal Ki Taufiq Ataa Farmaye
آمِـیْـن یَارَبَّ الْعٰلَمِیْنَ
Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
World’s Best Islamic Blog
www.hamarenabi.in
(All Masle Masails Of Ramzan Are Available On Ramzan Page)


Donate Your Zakat To Hamare Nabi Blog.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!