Dhul Hijjah/Eid-UL-Azha

Qurbaani Ka Waqia Quran Ki Daleel Se

Hiqayat :
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Ek Raat Khwab Me Dekha Ki Koi Shakhs Gaib Se Aawaz Deta Hai Kehta Hai Ki,

“Aye Ibrahim..
Tumhe Khuda Ka Hukum Hai Ki Apne Betey Ko Raah-e-Khuda Me Zibaah
Kardo”
Chunki, Nabiyon Ka Khwaab Saccha Aur
“WAHI” Ki Qism Se Hota Hai Isliye Aap
Apne Mehboob Betey Hazrat Ismail (Alaihay
Salam) Ko ALLAH Ta’ala Ki Raah Me Qurbaan Karne Ko Taiyyar Ho Gaye.

Chunki, Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Abhi Kam-Umer The, Isliye Aapne Unse Sirf Itna Kaha Ki Beta Rassi Aur Ek Churi Le Kar Mere Sath Chalo.
Chunanche Apne Betey Ko Leker Aap Ek Jungal Me Pahunche…
Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Ne Pucha,
Abbajaan Aap Yeh Churi Aur Rassi Le kar
Kyun Chalte Hain?
Farmaaya “Aagey Chal Kar Ek Qurbani Zabaah Karengey”

Phir Aagey Chal kar Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Saaf-Saaf Bayaan Farmaa Diya… Aur Kaha, “Beta
Mai ALLAH Ta’ala Ki Raah Me
Tumhe Hi Zabaah Karne Aaya Hoon,
Maine Khwaab Me Dekha Hai
Ki Tumhe Zabaah Kar Raha Hoon”.
Beta Yeh ALLAH Ta’ala
Ki Marzi Hai, Bata Tumhari Marzi Kya
Hai ?”

Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Ne Jawaab Diya,
“Abbajaan Jab ALLAH Ta’ala Ki Marzi Yahi Hai
Toh Phir Meri Marzi Ka Kya Sawaal? Aapko Jis Baat Ka Hukum Hua Hai, Aap Woh Kijiye In-sha-ALLAH Mai Sabr Karke Dikhaounga…”

Betey Ka Yeh Zurrat Aamez Jawaab Sun Kar Hazrat Ibrahim (AlaihaySalam) Badey Khush Hue Aur Apne Bete Ko ALLAH Ta’ala Ki Raah Me Zibaah Karne Par Taiyyar Ho Gaye.

Jab Aapne Apne Betey Ko Maathe Ke Bal
Litaaya Aur Gardan Par Churi Rakhi Aur Usey Chalaya Toh Churi Ne Gardhan-E-Ismail Ko Bilkul Na Kaata
Aapne Aur zorr se Churi Chalayi Toh Awaaz Aayi,
“Bas Aye Ibraahim Tum Hukum-e-Iaahi Ki Taamil Kar Chuke Aur Iss Sakht Imtihaan Me Khare Utre…”

Aapne Mo’ud Kar Dekha Toh Ek Doomba (medha) Paas Hi Khada Tha Aur Aapse Keh Raha Tha Ki Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Ki Jagah Mujhe Zabaah Kijiye
Aur Inhen Hataa Dijiye, Chunanche
Hazrat Ibrahim (Alaihay
Salam) Ne Uss Doombe Ko Zibaah Farma Diya..
Hazrat Ismail (Alaihay Salam) Uth Baithe Aur Iss Imtihaan Me Kaamyaab Ho gaye
(Al-Quran : Para-23, Kutub-A-Tafasir)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!