Hadees-E-Nabwi

Riyakari Yani Dikhawe Ke Liye Amal Karna Shirk Hai

Riya Arabi Zuban Ka Lafz “Raa” Se Hai Yani Dekhna. Shariat Mein Iska Maeyne Hote Hai. Jo Amal ALLAH Ke Liye Khalis Hote Hai, Jiska Hukum Usne Diya Hai Wo Amal Ko ALLAH Ke Siwa Kisi Aur Ke Liye Kare Yani Insano Ke Liye Karna Taki Insan Khush Ho Jaye. Ya Dunyavi Faida Ho Usko Riya Kehte Hai Yani Dikhawa.
Riya Ki Do Shaklein Ho Sakti Hai
1. Poora Kaam Hi Dikhawe Ke Liye Ho
2. Kuch Hissa ALLAH Ke Liye Ho Aur Kuch Gairullah Ke Liye
Riya Ka Taluq Dilse Hota Hai Jis Tarah Iman Ka Talluq Hota Hai. Agar Insan Ke Dil Mein Niyyat Dikhawe Ki Ho To Poora Amal Hi Barbad Ho Jata Hai Kyunki Aamaal Ka Daromadar Niyyat Per Hota Hai. Poora Islam Niyyat Per Muyyaser Hai. Lehaza Amal Ka Inhisar Niyyaton Per Hai Aur Niyyat Mein Agar Logon Ka Dikhawa Ho To Qabul Kaise Hoga? Agar Ratti Baraber Bhi Dikhawa Ho To Amal Barbad Ho Jayenge. Qabuliyat Ka Inhisaar Neik Amal Aur Niyyiat Per Hota Hai.
Insan Ka Duniya Mein Bheje Jane Ka Maqsad Hi Ahsan Amal Hai Aur Agar Niyyat Mein Riya Shamil Ho Jaye To Amal Ko Daaghdaar Bana Deti Hai.
Hazrat Umar Bin Khattab (Radi allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Sallallhu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Saare Amal Ka Daromadaar Niyyat Per Hai. Aadmi Ke Har Amal Per Uski Niyyat Dekhi Jayegi”.
{Sahih Bukhari Vol 1, Book 1, Hadees 1,
Sahih Bukhari Vol 1, Book 1, Hadees 51
Sahih Bukhari Vol 3, Book 8, Hadees 46& 706
Sahih Bukhari Vol 5, Book 58, Hadees 238
Sunan Nasai Vol 4, Book 27, Hadees 3467}
Riya Ko Shirk-E-Khafi ( Khoofiya, Hidden Shirk) Bhi Kehte Hain Ye Humare Ander Ek Chenti Ki Tarha Ahista Ahista Khamoshi K Sath Dakhil Hota Hai Aur Jis Tarha Kali Raat Mein Kale Pather Per Kali Chenti Dikhayi Hi Nahi Deti Isi Tarha Riya Ko Pahchanna Bhi Muhal Ho Jata Hai Aur Amaal Barbad Karke Chali Jati Hai.
Amaal Ka Poora Sawab Zaya Ho Jata Hai. Duniya Aur Akhirat Mein Zillat Ka Sabab Banti Hai, Jo Shaks Amaal Ki Badayi Karta Hai. ALLAH Makhlooq Ke Samne Zalil Aur Ruswa Karta Hai & Jahannum Mein Jane Ki Pahli Waja Riya Hogi.
Riya Ke Wajuhat Khud Pasandi, Lalach Aur Logon Ka Dar (Log Kia Kahenge) Bante Hai.
Riya Insan 3 Marhalon Mein Kar Sakta Hai. Kisi Amal Ki Ibteda Hi Riya Ho, Amal Ke Beech Mein Aur Teesra Amal Ke Baad Riya. Riya Ke Mazaher Ye Hai.
1. Poore Badan Se Yani Namaz, Roza Waghyra
2. Baat Cheet
3. Pahnawa Aur Rahen Sehen
4. Dost Ahbab
“Agar Tumney Shirk Kiya To Zaroor Tumhare Amal Barbad Ho Jayengey Aur Tum Nuksaan Uthanewalo Mein Se Ho Jaoge.”
(Al Quran, Az-Zumar (39) ,Verse 65)
Mehbub Bin Labid Radiallahu Anhu Kehte Hain Nabi-E-Rehmat Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, “Tumhare Bare Mein Jis Chiz Ka Sabse Ziyada Dar Hai Wo Shirk-E-Asghar Hai”. Sahaba Ne Arz Kiya Ke Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Shirk Asghar Kya Hai?
To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
“Riya (Dikhawa) Qayamat Ke Din Jab Logon Ko Unke Amaal Ka Badla Diya Ja Raha Hoga To ALLAH Riyakaron Se Kahega,
Jao Un Logon Le Paas Jinko Dikhawe Ke Liye Tum Neik Amal Kia Karte The Aur Phir Dekho Tum Unse Kya Badla (Ajr) Paate Ho .
(Musnad Ahmed, Silsila Ahadees Alsihaha Jild 2 Safa 951)
ALLAH Hum Sabko Riyakari Jaise Shirk Se Mehfuz Rakhe Aur Sirf ALLAH Ki Raza Ke Liye Aamal-E-Saleha Karne Ki Neik Tawfeeq De Aur Humse Qabul Farmaye.
Aameen Ya Rabbul Aalameen.
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!