Muharram

Khaaq-E-Karbala: Hazrate Hoor Radiallahu Anhu Ki Shahadat

Part: 15
Amr Saad Ke Teer Chalane Ke Baad Ibne
Ziyad Ka Gulam SALIM Ghoda Daudata Hua Maidan Me Aa Pahucha Talwar Chamka’i Aur Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ko Jang Ke Liye Lalkara Sayyeda Ka Laal Utha Magar Hazrat Hoor ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Paa’o
Pakad Liye Aur Arz Ki Aaqa Jaanisar Gulam Ke Hote Aaqa Maidan Me Nahi Ja Sakta Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Farmaya,
“Hoor Ye To Thiq Hai Magar Mai Nahi Chahta Ki Meri Wajah Se Koi Apni Jaan Gawaye.”
Hoor Ne Phir Arz Ki Ya Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Mujhe Apni Jaan Pyari Nahi Iman Pyara Hai Aur Zindagi Aziz Nahi Deen Aziz Hai…..
“Ya Sayyed”;
Dusman Jang Ke Liye Lalkar Raha Hai Ijazat Dijiye.
Imam Aali Makam Ne Ijazat De di Aur
Farmaya Hoor Jao KHUDA Tumhari Ye Qurbani Qubool Farmaye Hoor ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽﻋﻨﮧ Shauq-E-Sahadat Me Chumte Hue Aage Nikale Aur Amr Saad Ko Mukhtib Kar ke Farmaya,
“Aye Duniya Ke Zalil Insan, Ab Mai
Woh Hoor Nahi Jo Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ko Giraftaar Karne Par Mamur Tha. Balki Mai Ab Rah’e Hidayat Me Qurban Honewala Hoor Hu,
Aye Badtareen Kufiyo Tum Ne Nawasa-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ko Apna Peshwa Banane Ke Liye Bulaya Apne Deen Ka Imam Banne Ke Liye Bulaya Aur Ab Un Ko Kahete Ho Ki Ek Be’deen Ko Apna Imam Bana Le Ab Un Ko Tang Karte Ho Ki Woh Ek Aiyyas Aur
Badkumas Ko Khalifa Maan Le Ab Bhi Waqt Hai Aankhe Kholo Aur Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Chahere Me Husn-E-Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Jalwe Dekho Haq Ka Saath De Kar Jannat Ka Sauda Karo Aage
Badho Aur Is Haq Ke Imam ke Paa’o Pakad Lo ALLAH Tumhe Mu’af Kar Dega.
Hoor Ki Is Haqiqat Aafroz Taqreer Ne Amr Saad Aur Kufiyo Ke Dil Hila Diye Kisi Ko Jawab Dene Ki Himmat Na Hui Lekin Amr Saad Pukara “Sathiyo Dekhte Kya Ho Utho Aur Is Namak Haram Ka Muh Band Karo”
Chunache Salim Aage Badha Aur Ek Teer
Mara Woh Hazrat Hoor ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Kan Ke Kareeb Se Sansanta Hua Guzar Gaya
Hoor Josh Me Aa Gaye Aur Lalkara Ki “O
Ibne Ziyad Ke Gulam!
Mera Aur Tera Koi Mukabila Nahi Tu Ibne Ziyad Gulam Hai Aur Meri Maa Ne Mera Naam Hoor (Aazad) Rakha Hai Aur Imam Husain Ne Mujhe Ab Jahannam Ki Aag Se Bhi Aazad Kar Diya Hai Ja Amr Saad Se Kahe Ki Woh Khud Mukabile Ke Liye Aaye Aur Meri Talwar Ki Kaat Dekhe
“Dusman Ne Aawaz Di Ye Thiq Hai Ki Mai Gulam Hu. Magar Bahadur Hu Aage Aa Aur Meri Shamshir Ke Jauhar Dekh.

Hoor Ne Josh Me Aakar Ghode Ko Aage Badhaya Aur Hawa Ki Tarah Salim Ke Sar Par Phuche Talwar Bijli Ki Tarah Chamki Aur Phir Salim Ki Laash Zamin Par Tadapne Lagi Amr Saad Is Nakami Ko Dekh Kar Pukar Utha; Ki Aye Ibne Ziyad Aur Yazeed Ke Namak Khawaro Tum Me Se Kaun Bahadur Hai jo Hoor Ko Qatl Kare Aur Sone Chandi Ke Khazane Hasil Kare Is Lalach Ne HASIN BIN NAMIRA Ko Andha Kar Diya Aur Woh Bade Takkabur Wa Gurur Se Talwar Hawa Me Laherata Hua Mukable Ke Liye Aaya Lekin Woh Sambhal Bhi Na Paya Tha Ki Hoor Ne Us Ke Bhi Do Tukde Kar Diye Aur Shauq-E-Shahadat Me Khud Yazeed Ke Laskar Me Ghus Gaye Yazeedi Lashkar Me Halchal Mach Gayi Hoor Ke Ek Ek Hamle Se Kayi Yazeedi Marre The Phir Dusmano Ne Mil Kar Hamla Kiya Teero Ki Barish Aur Talwaro Ki Bauchar Se Hoor Zakhmo Par Zakhm Kha
Rahe The Magar Ladte Ja Rahe The Aakhir Behosh Ho Kar Gir Padhe Amr Saad Pukara Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Apne Gulam Ki Laash Le Jao Hazrat Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Hazrat Hoor ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Paas Aaye Aur Farmaya….
“MARHABA….
Hoor ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Aankhe Kholi Aur Aakhri Baar Apne Aaqa Ko Dekha Aur Kadmo Me Jaan De Di
” INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAJIOON “
Hindustaan Ke Muqdaiyo Gaur Aur Masjido Me Apne Apne Imam Ke Piche Namaz Padnewalo Socho Kisi Imam Ka Muqtadi Ban Kar Phir Us Ka Haq Ada Karne Ka Tarika Hazrat-E-Hoor ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se Sikho Jis Ne Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ke Piche Ek Namaz Padhi Aur Phir Apne Imam Ke Kadmo
Me Jaan De Kar Apne Muqtadi Hone Ka Haq Ada Kar Gaye Aur Hum Hai ki Kisi Imam Ke Piche Saari Zindagi Ki Namaze Padhene Ke Baad Bhi Us Ki Izzat Wa Aabru Ki Khatir Jaan Deni To Dar Kinar Us Ka Saath Tak Nahi Dete Aur Kuch To Aise Hai Jo Apne Hi Imam Par LanTaan Karte Nazar Aate Hai Un Logo Ko Hazrat Hoor ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se Sabak Lene Ki Zaroorat Hai
Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
Talib-E-Dua:
Muhammad Imran Razvi
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!