Hayat-E-Tayyaba HAZRATE KHADEEJA Radiyallahu Anha
HAZRATE KHADEEJA Radiyallahu Anha
AAP HUZOOR Sallallahu Alayhi Wasallam KI SAB SE PAHLI BIWI & RAFEEQ-E-HAYAAT HAI
AAP KHAANDANE QURAISH KI BAHUT HI BAAWAQAR Wa MUMTAAZ KHATOON HAI.
AAPKE WALID KA NAAM KHUWAILID IBNE ASAD
&
MAA KA NAAM FAATIMA BINTE ZAAYEDA HAI.
AAPKI SHARAFAT & PAK-DAAMNI KI BINA PAR TAMAM MAKKA WALE UNKO “TAAHIRA” KE LAQAB SE PUKARA KARTE THE.
UNHONE HUZOOR Sallallahu Alayhi Wasallam KE AKHLAAQ wa AADAAT & JAMAL-E-SOORAT wa KAMAAL-E-SEERAT KO DEKH KAR KHUD HI AAPSE NIKAAH KI RAGHBAT ZAAHIR KI.
&
ASHRAFE QURAISH KE MAJMA ME BAQAIDA NIKAAH HUA
AAP HUZOOR Sallallahu alayhi Wasallam KI BAHUT HI JAAN-NISAAR
&
WAFA SHEAAR BIWI HAI
HUZOOR KO UNSE BAHUT HI BEPANAH MUHABBAT THI
JAB TAK YAH HAYAAT RAHI AAPNE DUSRA NIKAH NA FARMAYA
MUSALSAL 25 SAAL TAK MAHBUBE KHUDA KI JAAN-NISARI wa KHIDMAT GUZARI KE SHARAF SE SARFARAZ RAHI.
AAPKI WAFAAT KE BAAD HUZOOR-E-AQDAS NE APNI MAHBOOB TAREEN BIWI HAZRATE AAISHA SE Nikah FARMAYA
HAZRATE AAISHA SE FARMAYA KARTE THE:
KHUDA KI QASAM!
KHADEEJA SE BEHTAR MUJE KOI BIWI NAHI MILI.
(ZURQANI
JILD-3,SAFA-224
ISTEE’AAB
JILD-4,SAFA-1817)