Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.
Hazrat Amra bint Aburrahman wa Hazrat Maula Ali Radiallahu anhu se Riwayat he Ke Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
"Raja'at yani dudh ke rishte se bhi wahi rishte haram ho jate he, Jo wiladat se haram ho jate he"
(Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 62, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 587)
Yani Jisne Bachpan Me Kisi Aurat Ka Dudh Piya To Usse Maa Ka Rishta Ho Jata Hai. Ab Uski Beti Behen Hai Usse Nikah Haram Hai.
ALLAH Ta'ala Quran Pak Me Irshad Farmata Hai
"Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
(Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)
Hazrat Abdullah ibne Abbas radiallaho anhu se imaam bukhari radiallahu anhu se Riwayat kiya
"Char se jyada Biwiya isi tarah Haraam he jaise Aadmi ki Beti Aur Behen"
(Bukhari Sharif, Jild 3, Bab no 54, Safa 64)
Allah irshad farmata he
"Aur Mushriko ke nikah me Na do Jab tak wo Imaan Na laye."
(Tarjuma: Kanzul Iman, Para 2, Surah Bakar, Aayat 221)
Allah irshad farmata he
"Aur Shirk wali Aurato se Nikah na karo Jab tak Musalman Na ho Jaye"
(Tarjuma: Kanzul imaan, Para 2, Surah Bakar, Aayat 221)
Jazakallah
ReplyDeleteJazakALLAH Afzal bhai.
ReplyDeleteVisit karte rahe aur apne dost, rishtedaro ko site ke bare me bata kar khidmate deen me hamara sath de.
Dua ki guzarish.
kia 1 se shadi karnay k baad usi ki doosri behn se nikah karna jaiz hai ? aur kia dono ko aik sath nikah main rakhna jaiz hai ? kia dono ko ikathay rakhna jaiz hai ? Plz Ans Me
ReplyDeleteDo sagi bahno ko ek sath Nikah me rakhna Najaiz-O-Haraam hai.
DeleteEk ke hotey huey Doosri se nikah hoga hi nahi.
(Hazrat Maulana Masood Noori Razvi Sahab Qibla)
Khala ki beti ke sat shadi kar sakte hai kya?
DeleteJi salman bhai khala ki beti se nikah jaiz hai.
DeleteAgar mera walid sahab ne dosri shaadi krli ha or uske aurat k pehli nikah yani uske pehle shohar se 1 beti ho to kia mera nikah uski beti se jaiz ha ya najaiz
Deletekya chachi ke chacheri bahan se nikah kar sakte h send answer bye email
ReplyDeleteUsse Nikah Jaiz hai agar koi aur wajah e mumaneat nahi ho to.
Delete(Maulana Madood Noori Razvi Sahab Qibla)
kya khala se nikah karna jaiz hai matlab vo meri sagi khala nhi hai bhaut dur ki rishtedaar..hai..kya usse nikah karna jaiz hai..plzz answer me..
ReplyDeleteAssalamu Alaikum Saquib Bhai
ReplyDeletePehle To Aapko Aur Aapke Gharwalo Ko Ramzan Kareem Mubarak.
Aapke Masle Ka Hal Qurane Kareem Ki Is Muqaddas Aayat Me Maujood Hai.
Allah Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
"Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
(Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)
Fir bhi aap apne yaha ke sunni sahihul aqeeda Muftisahab se is masle par bat karle.
JazakALLAHU Khair
Hum jisse shadi karna chahate WO pahle se nikah mai hai 6 saal se but unka bacha nhi hua to kya unke pahle bibi se razamandi lena jaruri hai kya kuk hum unke pahle bibi ke saath galat nhi karna chahte
ReplyDeleteAssalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Behen,
DeleteJaisa aapne bataya ke aap jinse Nikah karna chahti hai unki biwi hai aur unse koi aulad nahi hui isliye wo dusra nikah kar rahe hai. To is soorat me unke shohar ko apni biwi se ijazat lena jaroori hai. Aur har hal me aap dono ka farz unko nibhana hai. Aap dono ke huqooq barabar ada karne honge. Hadeese pak me hai ke Pyare Aaqa Rehmate Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Jiski Do Biwiya Ho Aur Wo Unme Se Kisi Ek Ki Haq Talfi Kare Yani Huqooq Barabar Ada Na Kare To Roze Mehshar Aadha Dhad Uthega. Aur Sakh Azab Hoga. ALLAHU Akbar...
Ye Badi Jimmedari Hai Unpar. Aapko ijazat lene ki jaroorat nahi hai. Bas itna khayal rakhe ke unki biwi ka koi dil na dukhaye. Aap Sab Pyar Muhabbat Se Zindagi Basar Kare.
ALLAH Aapko Amal Ki Taufiq De.
Aameen
Awwal Aakhir Durood.
JazakALLAHU Khair Aapke Comment Ke Liye.
Visit Karte Rahe Aur Dusro Ko Bhi Hamare Blog Ke Bare Me Bataiye.
Keep visiting to get knowledge.
ReplyDeleteHazrat Abdullah ibne Abbas radiallaho anhu se imaam bukhari radiallahu anhu se Riwayat kiya
"Char se jyada Biwiya isi tarah Haraam he jaise Aadmi ki Beti Aur Behen"
(Bukhari Sharif, Jild 3, Bab no 54, Safa 64)
Saudi Arabia mein char se jyada shadi karte hai our kuch nabi bhi jadaa shadi kare na... sahi malum karaye
Ab ghulam bandi ka zamana nahi raha. Ab Khadimah/Kaneez/khalifah/baandi nahi rahi na woh AHkaam rahey.
DeleteUs Zamane Me Bandi Se Nikah Ka Huqm Na Tha.
(Maulana Masood Noori Razvi Sahab Qibla)
Kya khala ki ladki ki ladki se nikha kar sakte he
ReplyDeleteAssalamu Alaikum Mehboob Sahab
DeleteJi Khala Ki Ladki Se Nikah Jaiz Hai.
Talibe Dua.
• Jinse Nikah Jaiz Nahi Unka Bayan:
ALLAH Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
"Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
(Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)
Step sister ki beti se shadi kar sakte
ReplyDeletesame question
DeleteKya Nani ke Bhai ki ladaki se nikah Jaiz hai
ReplyDeleteKya mamu aur bhaji ka rishta ban sakta hai
ReplyDeleteAssalamu Alaikum
DeleteAapke Sawal Ka Jawab Qurane Kareem Me Maujood Hai.
• Jinse Nikah Jaiz Nahi Unka Bayan:
ALLAH Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
"Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
(Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)
Mujhe bhi apni sali se mohabbat hai, hum dono kisi ko takleef nhi dena chahte,
ReplyDeleteALLAH Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
"Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
(Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)
ab agar me apni sali se nikah kar leta hoon to...
Assalamu Alaikum,
DeleteAap shadishuda hai. Aapka Namarham Aurat ko dekhna gunah hai. Aap apne biwi ko dhoka de rahe hai. Agar Aapko Unki Behen Hi Pasand Thi To Unse Nikah Kyu Na Kiya? Apne Biwi Ki Zindagi Ko Barbad Karne Ka Aapko Koi Haq Nahi. Aap Aisa Khayal Nikal De. Aur Apni Shadishuda Zindagi Par Gaur Kare. Yahi Behtar Hai. Agar Aap Koi Galati Karenge To Aakhirat Me Sakht Azab Me Mubtala Honge.
Kiya talq k bad b shohar or Biwi Milty hain aurat ne b Shadi karli dosri shohar ne b dosri Shadi karli phir b wo Dono apas main Milty hain or Kehty hain k hum dost hain to please mujhy ye bataen k ye SAB theek hai is tarhan. KI mulaqatain talaak k bad??
ReplyDeleteAssalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Wish Khan,
DeleteNikah se Talaaq Lene Ke Bad Wo Dono Ajnabi Yani Namarham Ke Huqm Me Aate Hai. Jinka Ab Ek Doosre Se Koi Bhi Rishta Nahi Hai. Unka Is Tarah Dost Batana Aur Aapas Me Milna Sakht Najaiz Haraam Hai.
(Maulana Masood Noori Razvi Sahab Qibla)
Aise To Wo Apne Naye Rishte Ko Dhoka De Rahe Hai. Unko Apni Nayi Shadishuda Zindagi Par Dhyan Dena Chahiye. All Nek Taufiq De Sabko.
Aameen.
Awwal Aakhir Durood.
JazakALLAHU Khair For Your Comment.
Stay Tuned. Keep Visiting.
Kia apny chacha ki beti yani czn ki beti se reshta jaiz he??
ReplyDeleteAssalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
DeleteChacha Ki Ladki Yani Aapki Cousin Se Nikah Jaiz Hai.
Please Download & Share Our Application For Android. Search Hamare Nabi On Play Store.
Keep visiting.
Kiya khala ki ladki aur unki ladki ke saath ke saath nikah jayz hai
ReplyDeleteAssalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
DeleteKhala Ki Beti Se Nikah Jaiz Hai.
Please Download & Share Our Application For Android. Search Hamare Nabi On Play Store.
Khala ki ladki ki ladki aapki bhanji hogi Isliye bhanjise nikah Jaiz nahi hai. Albatta khala ki ladki se Nikah Jaiz Hai.
DeleteNice
ReplyDeleteJazakALLAHU Khair for your feedback.
DeleteAsslam o alikum kia sotaili maa ki bhen se nikah jaiz ha ya najaz
ReplyDeleteKhala Se Nikah Haraam Hai. Upar Article Me Likha Hai To Fir Bhi Kyu Verify Kar Rahe Hai. Saaf Lafzo Me ALLAH Rabbul Aalameen Bayan Farma Raha Hai To Ab Kis Baat Ki Guzarish Hai Mere Bhai?
Deleteapni bhabhi ki sister ki beti ke sath nikah zayez hai kiya..
ReplyDeleteAgar kisi shaqs ki bahen ne Nani ka doodh Piya ho to kya wo shaqs khala ki beti se nikah kar sakta hai.
ReplyDeleteRaja'at Yani Doodh ke rishto ke liye upar Ahadees likhi hui hai. Padh le. Unse bhi nikah haraan hai. Misal bhi du gayi hai.
DeleteAssalamu ahlaikum kya popoh ki bete se nikha jaiz hai ya nahi
ReplyDeleteWalekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
DeletePhupo Ki Ladki Se Nikah Jaiz Hai. Aap Nikah Kar Sakte Hai
Kya khalayri behan ki bayti say nikha jayaz hai
ReplyDeleteWo Aapki Bhanji Hui To Usse Nikah Haraam Hai. Upar Di Gayi Post Gaur Se Padhe. Quran-E-Kareem Me ALLAH Ta'ala Ne Saaf Lafzo Me Bayan Kiya Hai Ke Kinse Nikah Jaiz Nahi.
DeleteDua Ki Guzarish.
Ramazan Kareem Mubarak
Asalamualikum Bhai kya khala ki bayti ki bayti yani bhanji say nikha jayaz hai
ReplyDeleteWalekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Keleem Bhai,
DeleteALLAH Ta'ala Quran Pak me irshad farmata he
"Haraam hui tum par tumhari Maa, Betiya, Behne Aur Fufiya, Khalaye, Bhatijiya, Bhanjiya, Aur Tumhari Ma jinhone Dudh pilaya Aur Dudh ki behne, Aurato ki Maaye."
(Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 23)
Aapke Sawal Ka Jawab Bahawala Isme Maujood Hai.
Bhanji Se Nikah Karna Haraam Hai. Lihaza Aapko Iski Izazat Nahi.
JazakALLAHU Khair.
Dua me yaad rakhe.
Play store se Hamare Nabi App Download Kijiye.
Kise bewa orat se nikah Kya fir tlak ho gya uski Phil beti se nikah Jay-Z hi ya nh
ReplyDeleteAssalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Aasim Bhai.
DeleteAwwal To Bewao Se Nikah Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Hai. Aapne Khoob Sawab Kamaya Aur Gava Bhi Diya. ALLAH Rabbul Aalameen Ko Shirk Ke Bad agar Sabse Jyada Napasandida Chiz Koi Hai To Wo Hai Talaaq. Aapne Unse Nikah Kiya To Unki Beti Aapki Beti Hui. Aur Beti Se Nikah Haram Hai. Upar Comment Me Qur'an-E-Kareem Se Aayat Pesh Ki Hai Padhle. Apne Gunah Ki Tauba Kare. Aapne Dono Bar Galtiya Ki Hai. Ye Us Bewa Aurat Ke UPAR ZYATADI Hai Zulm Hai. ALLAH Rabbul Aalameen Ke Azaab Ka Khauf Rakho. Shariat Ko Khel Na Samjho. ALLAH Rabbul Aalameen Ka Azab Bada Sakht Hai.
Kya apne se badi larki se nikah karna jayaz hai
ReplyDeleteAssalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
DeletePlease apne identity ke sath Comment kare. Masla Jarooru laga Isliye Publish Kar Diya. Apne Se Badi Umar Ki Ladki Se Nikah Jaiz Hai. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ajwaje Mutaharrat Me Se Ummul Momineen Bibi Khadizatul Kubra Radiallahu Anha Aapse Umar Me Badi Thi.
JazakALLAHU Khair
Hamare Blog Ko Dusro Tak Pohochane Me Meri Madad Kare.
Keep Visiting Sharing.
sagi chacheri bahan se nikah jayez hai
ReplyDeleteAssalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu Raheesh Khansahab,
DeleteApne Sage Chacha Ki Ladki Se Nikah Karna Jaiz Hai.
Download Kijiye Sunnat-E-Nabi App Play Store Se.
JazakALLAHU Khair. Talibe Dua.
Assalamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barkatu Janab Nazarahmed khan sahab
ReplyDeleteJanab Mera Masla ye hai jaise ke apne upar bhi bataya ke nikah maa beti fufiya khalaye bhanji Bhatiji ke sath najayaz hai main Hazarat aapse ye puchna chahta hoon ye sirf sage rishto main najayaz hai ya kaise bhi door pass ke khandani etc jaise bhi hai sabke sath najayaz hai kya
Assalamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barkatu
ReplyDeletejaisa ki aapne bataya maa beti bahan fufiya khalaye bhatiji bhanji se nikha najayaz hai mera is main ye sawal hai najayaz sirf sage rishte naun hai ya kaise bhi har rishte main jaise relation main rishtedaaro main khandani main etc har rishte main najayaz hai kyab
Assalamu Alaikum wa Rahmatullahi wa Barkatu
ReplyDeleteNazarahmed khan sahab mera ye sawal yai jaisa aapne bataya hamare Nabi ne farmaya maa beti bahan fufiyo se khalao se bhanji se bhatiji se nikah najayaz hai lekin najayaz sirf sage aur dudh ke rishte main hai ya kaise bhi hai matlab relation main hai rishtedaron main khandani main ya ese hi muh boli etc to us halat main kya hai
Walekum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
DeleteQuran-E-Kareem Wa Hadees-E-Pak Me Jin Rishto Ka Zikr Hai Wo Hamare Khoon Ke Rishte Aur Doosharif Rishto Ke Liye Hai. Muh Bole Rishto Ke Liye Nahi Kyunki Unki Nasl Alag Hai Aur Aapki Alag Hai. Na To Wo Aapke Khandan Se Hai Ya Doodh Ke Rishte Me. Aapko Aur Bhi Koi Masla Ho To Apne Yaha Ke Sunni Sahihul Aqida Aalim Se Rabta Farmaye.
Dua Ki Guzarish.
Post a Comment
Roohani Mukammal Ilaaj:
Hazrat Sayyed Jainulaabedin Bukhari (Qadri)
Contact: +918483046455
(Contact Hazrat On: 9.00am to 10.30am/9.00pm to 10.30pm)
(Hazrat Is Available On Whatsapp.
Please Contact in the given time on Call.)
100% Mukammal Ilaj Kamse Kam Kharche Me.
Dhongi Babao Nakali Aamilo Se Bache. Ye Log Aapki Majboori Ka Fayda Utha Kar Aapko Dono Hatho Se Loot Rahe Hai. Hazrat Jainulaabedin Bukhari Amliyat Roohani Duniya Ke Khazane Logo Tak Pohochane Ka Kaam Kar Rahe Hai Ki Jyada Se Jyada Logo Ki Pareshaniya Door Ho Jaye. Aapki Har Pareshani Ka Hal In sha ALLAH Hazrat Se Hasil Kare. Sirf Khalq Ki Khidmat Hi Hamara Maqsad Hai.
Your feedback is very important to us. We always welcome your suggestions. Please do not post any ads or promotional links in comments. Such comments will be removed.
Thank you.
Like us on: www.facebook.com/HumareNabi