Eid-E-Miladun Nabi

Wiladat ki khushi me Zande lagana Sunnat he

NABI-E-PAK SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM
KI WILADAT KI KHUSHI ME ZANDE LAGANA FARISHTO KE SARDAR JIBRAIL ALAYHISSALAM KI SUNNAT HAI
(KHASAAISE KUBRA Jild 1)

Nabi-E-Rehmat Ka Bachpan Mubarak:
jab chand arshe ilahi ke niche sajda karta
us waqt me uski tasbih karne ki aawaz suna karta tha
(KHSAAISE KUBRA)

WILADAT-E-Mustafa Jaan-E-Rehmat:
Aaqa Alyhissalam chand sa
chehra chamkate
kasturi ki khushbu mehkate
mohre Nabuwwat darkhsha
dunyaa me tashrif laaye
(QASTLAANI)

HAZRAT-E-FATIMA BINTE ABDULLAH Radiallahu anhu farmati he:
Huzoor Ki Wiladat Ke Waqt Maine Sitaaro Ko Dekha Ke Aasman Se Niche Utar Aaye Hai
(MAWAHIBUL LADDUNIYA Jild 1,Safa 22)

Hazrat HASSAN BIN SAABIT:
ANDHERI RAAT ME HUZOOR KI PESHANI ZAHIR HOTI TO TAARIQI ME RAUSHAN CHIRAG KI TARAH CHAMAKTI
(ZURQANI Jild 4 Safa 91)

HAZRAT-E-AAMENA:
NABI-E-KAREEM SARAAPA NOOR BANKAR PAIDA HUWE
AAP BILKUL PAK-O-SAAF NAZEEF-O-LATEEF PAIDA HUWE
(MAWAHIBUL LADDUNIYA Jild 1,Safa 22)

HAZRAT-E-FAATIMA BINTE ABDULLAH Radiallahu Anha:
HUZOOR KI WILADAT KE WAQT MAINE DEKHA
KE SAARA GHAR NOOR SE POOR HAI
(HUJJATULLAHI ALAL AALAMIN SAFA-227)

ABDUL HAQQ MUHADDIS DAHELWI:
MERA EK AMAL TERI ZAAT-E-PAK KI INAAYAT KI WAJAH SE BAHUT SHANDAAR HAI
KE MAIN MILAAD ME KHADE HOKAR SALAM PADHTA HU

NABI-E-PAK KI
WILADAT
12,RABIUL AWWAL PEER KE DIN
SUB’HA SADIQ KE WAQT 4:45 BAJE 20,APRIL, 571 KO MAKKA SHARIF ME HUI
(MADARIJUN NABUWAT Jild 2,Safa 14)

AAQA KI WILADAT KE WAQT AAP KI WALIDA KE PAAS AASMAN SE 4 AURATE AAYI:
Hazrat HAWWA
Hazrat SAARA
Hazrat HAAJRA
Hazrat AASIYA
(TAFSIR-E-ALAM NASHRAH S.95)

ABU LAHAB NE AAQA KI WILADAT KE DIN KHUSHI SE
LAUNDI KO AAZAD KAR DIYA
ISKI WAJAH SE PEER KE DIN USKO AZAAB NAHI HOTA
(BUKHARI Jild 2,Safa 764)

NABI-E-KAREEM SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KI WILADAT KE WAQT SHAITAN MARDUD RANJO GHAM ME BHAGTA FIRTA THA
(MADAARIJUN NABUWWAT)

NABI-E-KAREEM SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM Ki Wiladat Par Kaaba Sharif Ne Hazrat Aamena Ke Makan Ke Taraf Sajda Kiya
(MADAARIJUN NABUWWAT)

Jis Raat AAQA SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM Ki Wiladat Huyi Us Raat ALLAH TA’ALA Ne Aasman Par MINAAR-E -MUSTAFA Banaya
(KHASAAISUL KUBRA)

JAB HUZOOR-E-AQDDAS Ki Wiladat Huyi Us Roz Suraj Ko Azeem Noor Pehnaya Gaya
(ASKALANI JILD-1,SAFA-124
ZURKANI JILD-1,SAFA-20)

Makka sharif Ke Log NABI-E-PAK Ki Paidaish Ki Jagah Ko MILADUN NABI Ke Din Har Saal Ziyarat Karte Aur Mehfile Munaqid Karte
(JAWAHIR AL BIHAR SAFA-1222)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!