Nikah

ALLAH Haq Farmane Me Nahi Sharmata

Mere Pyare Islami Bhai Behano Nikah Karna Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnate Mubaraka Hai. Nikah Ke Fazilat Ke Talluqse Bohotsi Ahadees Sharif Mauzood Hai. Nikah Haramkari Se Bacha Kar Halal Ki Taraf Le Jata Hai. Nikah Karne Par Aadha Deen Muqammal Ho Jata Hai. Beshaq Islam Duniya Ka Sabse Afzal Mazhab Hai. Islam Me Mard Aur Aurat Dono Par Ek Dusre Ke Huqooq Hai Jinhe Ada Karna Unpe Wazib Hai. In Huqooq Me Kotahi Gunah Ka Sabab Hai. Lihaza Jin Logo Ko Ye Galatfehmi Ho Ke Huqooq Sirf Aurato Par Hi Hai Wo Apni Islah Kare. Aur Apne Biwiyo Ke Huqooq Ada Kare Warna Roz-E-Mehshar Is Gunah Ke Sabab Giraft Honge.

Yaha Aur Hamare Nikah Ke Page Aur Digar Posts Me Nikah Ke Masail Ba Hawala Bayan Kiye Gaye Hai. Inka Maqsad Awaam Ko Islami Tariqe Sikhana Aur Unki Islah Karna Itna Hi Hai. Agar Aapko Koi Bhi Sawalat Hai To Comment Kare Ya Hume Chat Plugin Ke Zariye Email Kare. Is Website Ka Adabo Ahtaram Kare Yaha Par Koi Bhi Gande Comments Na Kare. Masle Masail Bhi Adab Ke Dayre Me Reh Kar Hi Poochha Kare. Hume Rozana Bohot Sare Emails Aate Hai Isliye Jawab Me Agar Deri Ho Jaye To Mazhrat Chahta Hu. In sha ALLAH Aapke Masail Par Jawabat Diye Jayenge. Hamare Web Ko Khoob Share Kijiye Taki Logo Ki Islah Ho Aur Wo Sahi Deeni Tariqe Par Amal Kare Aur In sha ALLAH Iska Sawab Aapko Aur Hume Hasil Ho. Apni Duao Me Muz Nachiz Ko Bhi Yad Rakhe.

ALLAH Ta’ala Apne Muqaddas Quran-E-Kareem Me Irshad Farma  Raha Hai Ke Deeni Masail Ko Janne Me Koi Haya Mehsoos Nahi Honi Chahiye. Beshaq ALLAH Rabbul Aalameen Haq Farmane Me Nahi Sharmata. Lihaza Shariyat Ke Dayre Me Rehkar Hume Apne Tamam Masail Ko Bina Hichkichahat Ke Sahihul Aqeeda Aalim Ya Mufti Se Zaroor Maloom Karna Chahiye. Beshaq Ilm-E-Deen Hasil Karna Hum Sab Par Farz Hai. Gaflato Me Zindagi Na Guzare Har Masail Ko Zaroor Sikhe.

Mehboob-E-Rehman Sarwar-E-Zishan
صلل الله عليه وسلم Ne Farmaya:
“Bande Ne Jab Nikah Kar Liya To Aadha Deen Mukammal Ho Jata Hai
Ab Baki Aadhe Ke Liye ALLAH Ta’ala Se Daro”
(Mishkat Sharif, Jild 2, Hadees No 2962, Safa 72)

ALLAH Ta’ala irshad farmata hai
“Aur ALLAH haq farmane me nahi sharmata”
(Tarjuma: Kanzul iman Para 22, Surah Ahjab, Aayat 53)

Ummulmomenin Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha irshad farmati hai
“Ansari (Madina Munawwarah me rehnewali) Aurate kya khub he ke unhe Deen Samazne Me Haya (Sharm) Nahi Rokati”
Yani woh deeni bate malum karne me nahi sharmati.
(Bukhari Sharif,Jild:1,Safa:150, Ibne Maja, Jild: 1, Safa: 202)


Noor-E-Mujassam, Rasool-E-Khuda, Habeeb-E-Kibriya,Nabi-E-Rehmat, Shafa-E-Mehshar, Fakhar-E-Do aalam, Fakhar-E-Bani-E-Aadam, Malik-E-Do Jahan, Khatmul Ambiya, Rehmatallil Aalamin, Tajdare Madina Rahat-E-Kalbo Sina, Janabe Ahmade Mujtaba, Muhammad Mustafa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
“Nikah Meri Sunnat Hai”
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees No 1913, Safa 518)

You Might Also Like:






Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!