Eid-E-Miladun Nabi

Juloos E Milad Un Nabi Nikalna kiski Sunnat?

Aaiye Dekhte Hai Milad Un Nabi (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) Ke Mauke nikale Jane Wale Juloos ke Mustahab Amal Hadith Ki Roshni Me.

Pehle hum kuch point note karlete hain ki juloos me hota kya hain.

1)-Naat padhi jaati hai jis me Aaqa-E-Karim
(ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)
ki Shaan aur Azmat ka bayan kiya jaata hai.
2)-Khushi mein Jhandey lehraye jaate hain.
3)-Log ikhatte jama hote hain aur Naare lagaye jaate hain.

“Hum (Sahaba Ikram) Sab Apne Bachcho Samet Huzoor Ke Istiqbal Ke Liye Wida Ki Ghatiyo Tak Gaye”
(Bukhari Jild 1, Safa 543)

Jab Aaqa (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) Hijrat Kar ke MADINA Sharif Aaye To Logon Ney Khoob Jashan Manaya Naw-jawan Ladke Apni Chatton Par Chadh
Kar Aur Ghulam, Khuddam Raasto Me Phirte the Aur Nara’Aey Risalat Lagate Aur Kehte
“Ya RasoolAllah”
(ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)
(Sahih Muslim Jild 2 Page 419)

<><> Magar yeh sab karne se hota kya hai ? <><>

Aaqa-e-Karim ki Sifaat aur Azmat ka bayan Sunana aur sunna khud Allah عزوجل aur uske Ambiya (عليه السلام) ki Sunnat hai.

Chunanche Allah عزوجل Quran main woh waqaya bayan fermata jub Huzoor
(ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)
ka zikr kia gaya toh tamaam ambiya (عليه السلام) ko ikatha kia gaya aur Huzoor
(ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)
ki sifaat Allahعزوجل ne Ambiya (عليه السلام) ko ikatha ker ke Khud bayan fermayein
(Sura Al-Imran:81).

Lehaza yeh sabit hua ki logon ko ikattha kar ke Huzoor
)صلی اللہ علیہ و سلَّم)
ki sifaat bayan kerna quran sey sabit hai.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!