HadeesIslamic sms

April Fool Manana Islam Me Haraam Aur Jahannam Ka Sabab Hai

‘April Fool’ Jhooth Bol kar Logon ko Taklif Dene Ka Din.
Is Din Hum Dusron Ko Fool Banane Se Zyada Khud Fool Bante Hai

Kaise?

Kya Aapko Nahi Pata Musalman Ko Dhoka Fena Kitna Bada Gunaah Hai?
Kya Aapko Nahi Pata Jhooth Bolnewalo Par Kaun Laanat Karta Hai?

“Dekhiye Is Tarah Ke Din Manaane ki Ijazat Naa To Humara Zameer Deta hai,
Aur Naa hi Humara Imaan !”

Aaj Nahi Balki Abhi Se Ahad Karte Hain Ki Aaj Ke Baad April Fool Ke Ek Din Hi Nahi Balki Hamesha Jhooth Bolne Se Bachenge

Nabiyon Ke Sultan,Rehmat-E-Alamiyan,Sarkar-E-do jahaan,Mehboob-E-Rehman عزوجل ,Mere Pyaare Pyaare Aaqa Madinewale Mustafa
( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم)
ka Farman hai,

1)-”Jab Banda Jhoot Bolta He To Iski Badboo Se Farishta 1 Meel Door Hat Jata hai.”
(Tirmizi Sharif, Hadees1979)

2)-“Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannam Me Phenk Diye Jayenge,
Sirf Apni Zubaan Ki Wajah Se.”
(Tirmizi Sharif)

3)-“Jab Koi Jhuthi Gawaahi Deta Hai,
Toh Arsh Kaanpta Hai
Aur
Arsh Ke Farishte Gawaahi Denewale Par Laanat Karte Hai.”
(Bagh-E-Jannat Safa.70)

4)-“Us Shakhs Ke Liye Kharaabi Hai,
Jo Baat Karte Huwe Logo Ko Hansaane Ke Liye Jhooth Bolta Hai.”
(Mishkatul Masaabih)

5)-“Jo Logo’n ko Hansane ke Liye Jhoot bole Us ke Liye HaLaakat he,
Us ke liye HaLaakat hei,
Us ke Liye HaLaakat hei.”
(Tirmizi Sharif, Hadees 2315.)

6)-“Kisi insan Ke Jhoote Hone
Ko Yehi Kafi Hai Ki
Har Suni Sunayi Baat (bagair tahkeek kiye) bayan karde.”
(Muqaddama Sahi Muslim, Safa 8,
hadees 5)
(Book-Ghibat ki Tabahkariyan Hindi, Page No. 91 Maktabatul Madina)

Jhooth Bolne Se Bachte Raho Kyunki,

7)-“Jhoot Se Bachte Raho,
Is Liye ke Jhoot Gunah ki Taraf Le Jaata He,
Aur Gunah Jahannam Me Pahuncha Deta He, Aur
Aadmi Barabar Jhoot Bolta Rehta He,
Yaha Tak ke ALLAH Ta’ala ke Yahan Us ka Naam Jhooto’n Me Likh Diya Jaata He.”
(Muslim Sharif, Hadees- 6804.

8)-”Sach Bolna Neki He
Or
Neki Jannat Me Lejati He
Or
Jhoot Bolna Fasq-O-Fujoor He
Or
Fasq-O-Fujoor Dozakh Me Lejata He.”
(Sahi Muslim, Hadees104-2607)

9)-“Kisi Bande ka Imaan Mukammal Nahi ho Sakta
Jab Tak ke Hansee Mazaaq Me Bhi Jhoot ko Na Chode.”
(Musnade Ahmad, Hadees 8630.)

10)-“Mei Us Shakhs ke Liye beech Jannat Me Ghar ki Zamaanat Leta Hu’n,
Jo Jhoot ko Chod De,
Agarche Mazaaq Me Hi Kyun Na Ho.”
(Abu Dawood Hadees 4800.

Dekhiye Hamara Khalil-O-Malik عزوجل Quran-E-Kareem Me Kya Irshad Farmata Hai,

“Aur Jhooton Par ALLAH ki Laanat.”

(Surah Aal-E-Imran, Ayat 61)

Ab Aap Hi Soche Ki Jis Par ALLAH عزوجل Ki Laanat Ho Uska Kya Hashar Hoga ?

Pyare Islami bhaiyon/Beheno Yaad rakho

“Jhooth Bolne Ki Aadat Ka Sab Se Bada Nuksaan Ye Bhi Hai,
Ke Jhooth Bolnewala Jab Sach Bolta Hai
To Bhi Log Uski Baat Par Yakeen Nahi Karte.”

Aap Sab Ki Bargah Me Arz Hai Ki Abhi ALLAH عزوجل Se Tauba Kare
Jo Jhooth Aaj Tak Bolo Hoga Jaane Anjane Me
Aur Pakka Ahad Kare Ki Ab Kabhi Jhooth Nahi Bolenge

ALLAH عزوجل Hume Padhne Se Zyada Samjhkar Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmaye.
Aameen
Awwal Aakhir Durood

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!