Hadees

Ikhtiyar-E-Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam

Hadees :

Hazrate Anas Radiyallahu Anhu Se Riwayat Hai
Unhone Farmaya Ki Maccawalo Ne Rasoolullah Sallallaho Alayhi Wasallam Se Kaha Ki
Aap Koi Muajaza Dikhaye
To Huzoor Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Chand Ke 2 Tukde Farmakar Unhe Dikha Diya.

Yaha Tak Ki Meccawalo Ne “Hira” Pahad Ko Chand Ke 2 Tukdon Ke Darmiyan Dekha.

(Bukhari Sharif : Jild 01, Pg. 546 )
SUBHAN ALLAH

Hadees :

Hazrate Ibne Masood Radiyallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki
Unhone Farmaya Ki
Rasoolullah Sallallaho Alayhi wasallam Ke Zamaan-E-Mubarak Me Chand 2 Tukde Ho Gaya. Ek Tukda Pahad Ke Upar Tha Aur Dusra Tukda Uske Neeche.

(Bukhari Sharif : Jild 02, Pg. 721 )
SUBHAN ALLAH

Hadees :

Hazrate Sahal Bin Saad Radiyallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki
Huzoor Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Farmaya
“Kal Main Yeh Jhanda Zarur Us Shaksh Ko Dunga Jiske Haath Par Allah Ta’ala Fatah Ataa Farmayga”.

Log Tamam Raat Is Fikr Mein Rahe Ki Dekhiye Subah Kis Khush Naseeb Ko Jhanda Ataa Farmaya Jayega.
Jab Subah Hui Toh Har Ek Yeh Tamanna Liye Huzoor Sallallaho Alayhi Wasallam Ki Bargaah Mein Hazir Huwa Ki Jhanda Usey Ataa Ho. Aapne Farmaya
“Ali Bin Abu Talib Kahan Hain?”

Logo Ne Jawab Diya Ya Rasool Allah !
Unki Aankhein Dukhti Hain.
Farmaya Unhe Bula kar Lao.
Unhe Aap Ki Khidmat Mein Laaya Gaya Toh Aapne Unki Aankhon Mein Luaabe Dahan (Thook Mubarak) Lagaa Diya
Aur
Unke Liye Dua Farmayi Toh Woh Is Tarah Tandurust Ho Gaye Jaise Unhe Koi Takleef He Na Hui Thi.”

(Bukhari Sharif : Jild 01, Pg. 525)
Subhan ALLAH

Hadees :

Hazrate Anas Radiyallahu Anhu Se Riwayat Hai
Unhone Farmaya Ki
Rasoolullah Sallallaho Alayhi Wasallam Ki Khidmat Mein Paani Ka Ek Bartan Pesh Kiya Gaya Aur
Aap “Zawra” Ke Maqam Par Thay.
Aap Ne Bartan Ke Andar Apna Mubarak Haath Rakh Diya Toh Aap Ki Ungliyon Ke Darmiyan Se Paani Ke Chashme Phoot Pade
Aur Sab Logon Ne Wuzoo Kar Liya.

Hazrate Qatada Radiyallahu Anhu Kehte Hain Ki Maine Hazrate Anas Radiyallahu Anhu Se Maloom Kiya Ki Aap Log Kitne Thay ??
Jawab Diya Gaya Ki 303 Ya 300 Ke Lag Bhag.

(Bukhari Sharif : Jild 01, Pg. 504)
Subhan ALLAH

Immam-E-Ahle Sunnat Mujaddid-E-Deeno Millat Sarkar Imaam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alayhi irshad farmate hai:

Ungliya Payi Wo Pyari Pyari
Jinse Dariya-E-Karam Hai Jaari
Josh Par Aati Hai
Jab Gam Khwaari Tishne Sairaab Hua Karte Hai

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!