NAMAZ KE MUTALLIQ KUCH AHAADEES

RasoolAllah Salallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
7 Saal Ki Umr Se Apne Bacho ko Namaaz ka Huqm do
Aur 10 Saal Ki Umr Me MAAR MAAR Kar Unse Namaz  Padhvao
Aur Un Ke Bister Alag Alag Kar Do
(Abu Dawood 1/71)

Jab Aqa E Kareem Apni Rooh (visaal shareef) Ki Sakhawat Farma Rahe The
Jab Aap Ki Zubane Aqadas Par Namaz Aur Gulam Ke Lafz The
(Tabakate Qubra 2/253)

Tajdare Ambiya Ne Irshad Farmaya Ke
Din ke Do Kinare Aur Rat Ke Kuch Hisso Me Namaz Qayam Rakho
Beshak Nekiya Buraiyo Ko Mita Deti Hai.
YEH Un logo Ke Liye Nasihat Hai Jo Nasihat Qubool Karne Wale Hai
(Masnade Ahmed 5/438)

Rasoole Kareem Ne Irshad Farmaya
Jisne  Achi Tarh wazu Kiya
Aur Allah Tabarak Taala Ke Taraf Muttavajo huwa
Aur Namaz Padhi
Woh Gunah Se Aise Paak Ho Jata Hai jaise Maa Ke Badan se Paida Huwa Ho
(Tarikhe Damishk 4/40)
Subhanallah
Subhanallah

Nazarahmed Khan (Admin)

World's Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat Wal Jama'at. Learn Islam And Sunnah Quran Wa Islamic Hadees In Roman Urdu. Hadees E Nabwi Collection. Hadith Online. Sahih Bukhari Muslim Ibne Maja Nasai Abu Dawood Hadees Sharif Books. facebook instagram twitter android

Assalamo Alaikum,
Aapke Feedback Ya Queries Muze Email Kare.
HumareNabi@gmail.com
Har Comments Ka Jawab Dena Possible Nahi Hota.
Muafi Chahta Hun.
Dua Ki Guzarish.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post