Ramzan

20 Rakat Taraweeh Ka Bayan With Proofs

Tarveeh Lafz Tarviha Ki Jama Hai,
Aur Tarviha Us Baithne Ko Kehte Hain jisme Kuch Sukoon Mile.
Chunki Taraveeh Ki 4 Rakaton Par Salam Pherne Ke Bad baithe Baithe Dua Padhi Jati Hai Aur is Tarah Namaziyon Ko Kuch Aaram Mil Jata Hai,
is Tarah Taraveeh Ki 4 Rakat Ko 1 Tarviha Kaha Jane Laga,
Aur Chunki Puri Taraveeh Me 5 Tarviha Hote Hain is liye 5 Tarviha Ke Majmo’aa Ko Taraveeh Kaha Jata Hai.
Taraveeh Wo Namaz Hai Jo Ramzanul Mubarak Ke Mahine Me Isha Ki Namaz Ki Bad Ba-jamat Padhi Jati Hai,
Sharahe Bukhari Hafiz Hajar Asqalani Farmate Hain……
سميت الصلوة فی الجماعة فی لیالی رمضان التراويح
Ramzan Ki Raton Me namaz Ba Jamat Ka Naam Taraveeh Hai
{فتح الباري شرح صحيح البخاري، جلد-4، صفحہ-250}
HADEES:
Hazrat ABU HURAIRAH Riwayat Karte Hain Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Jo Ramzan Me Qayam Kare (taraveeh padhe) iman Ki Wajah Se Aur Sawab Ki Chahat Me uske Pichle Sab Gunah (chote gunah) Bakhsh Diye Jayenge
{صحيح مسلم، كتاب صلاة المسافرين، باب الترغيب في قيام رمضان وهو التراويح، صفحہ-382، الحديث-759}
Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ramzan Me Taraveeh Ka Shaoq Dilaya Magar uski Koi Tadade Rakat Nahi Thehrai
Na Koi Takeed Ki is Liye Ki Kahi Ye ummat Pe Farz Na Ho Jaye
Balki Har Shakhs Ki Himmat Pe Ise Aap Ne Chhoda jisse Jitna Ho Sake Padhe Kam Ya Ziyadah Ya Padhe Ya Na Padhe
Huzoor ki Hayate Zaheri Me Yahi Halat Rahi Yahan Tak Hazrat Abu Bakar Ki Muddate Khilaft Me Bhi Yahi Haal Raha
Phir Hazrat Umar Farooq Ka Zamana Khilafat Aaya,
Aap Eik Raat Masjid Me Gaye Aur Logo Ko Alag Alag Padhte Paya Aur kuch Mil Ke Padh Rahe The.
Hazrat Umar Ne Ye Dekh Kar Farmaya Mai Munasib Samajhta Hun Sab Ko Eik imam Ke Sath Jama kar Dun To Behtar Hai,
Aap Ne Sab ko Jama Farmaya Aur Hazrat Ubai Bin Ka’ab Ko Imamat Ka Hukm Diya Aapne 20 Rakat Taraveeh Logo Ko Ba-Jamat Padhai
{صحيح البخاري” كتاب صلاة التراويح، باب فضل من قام رمضان، جلد-1، صفحہ-658، الحديث-2010}
Gair Muqallideen Ka Ye Kehna Huzoor صلى الله عليه وسلم Se 8 Rakat Taraveeh Sabit Hai Mahez Bakwas Aur Be-Daleel Baat Hai, Jis Hadees Ko Ye Aqal Ke Dushman 8 Rakat Taraveeh Ke Saboot Me Pesh Karte Hain Wo Dar HAQIQAT Namaze Tahajjud Ke Bare Me Hai
                                  Hadees Me Imame Bukhari Ke Dada ustaz Mohaddis ibne Abi Shaibah Apni Musannaf Me Jo Bukhari Se Bahot Pehle Likhi Gai Aur Hadees ki Deegar Badi Badi Kitabo Me Ye Riwayat Maujood Hai.
HADEES:
Hazrat ABDULLAH BIN ABBAS Farmate Hain Rasulullah صلى الله عليه وسلم Ramzanul Mubark Me 20 Rakate Aur Witr Padha Karte The
{بحوالہ— مصنف ابن ابی شیبہ، جلد-2،صفحہ-394،،،،! بيهقی، جلد-2، صفحہ-496،،،،! المعجم الكبير الطبراني، جلد-3، صفحہ-148،،،! منتخب مسند حميد بن حميد، جلد-1، صفحہ-73،،،! وغيره}
Note-
Iske Silsilae Sanad Me Bhi Eik Zaeef Rawi Ibraheem Bin usman Maujood Hai..
Khulasa Ye Ki Huzoor Se Taraveeh Ki 20 Ya 8 Rakat Sarahat ke Saath Kisi Sahi Hadees Me Maujood Nahi.
Aur 20 Rakat Padhna Sahaba Tabaeen Jumla Ulmae Mohaqqiqeen Se Sabit Hai aur Jamhoor Ka Yahi Mazhab Hai Ki Taraveeh 20 Rakat Hai.
Aur 20 rakat Padhne Ka Saboot Sahi Sanado Se Hazrat Umar Hazrat Usman Hazrat Ali & Jumla Sahaba ke Amal Se Maujood Hai… aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ummat Ko Hukm Farmaya Ki Meri Aur Mere Khulafae Rashideen Ki Sunnat Pe Chalo
{جامع الترمذي،  أبواب العلم، باب ماجاء في الأخذ بالسنة……إلخ، جلد-4، صفحہ-308، الحديث-2658}

Challenge-
Naam Ke Ahlehadees Hame 8 Rakat Taraveeh Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Sabit Kar Dikhaye.
Insha’Allah Qayamat To Aajyegi Magar Wo Din Kabhi Nahi Aayega Ki Hadees Hadees Ki Ratt Lagane Wale is silsile Me Eik Bhi Sahi Sareeh Marfoo Hadees Me Huzoor Ke Amal Se Ramzan Me 8 Rakat Taraveeh Padhne Ki Hadees Pesh Kar Sake…..
Kyu Ki inke Shaikhul islam IBNE TAIMIYAH Ne khud Iska IQRAR Kiya hai.
“Jo Ye Samjhe Ki Qayame Ramzan (taraveeh) Ke Silsile Me Huzoor Se koi Muta’aiyyan (fix) adad Manqool hai Jisme Na Kuch Kam ho Sakta hai Na ziyadah Wo Galti Par Hai”
{MIRQAAT, Volume-2, page-157}
Aur inke Bade Allama Qazi Shokani Likhte Hai.
“Ramzàn ka Qayam (taraveeh) Mashroo Hai,
Aur Namaz Jamat Se Padhi Jayegi aur Tanha Bhi, Pas Taraveeh Ko Kisi Muta’aiyyan Adad ke Sath Khas Karne ki Koi Riwayat Nahi
{Neelul awtar, Volume-3, page-53}
Jaisa Ki Aap Upar Padh Chuke Hai Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Taraveeh Ki 20 Raka’at Sarahat Ke Saath Sabit Nahi
Lekin 20 Rakat Padhne Ki To Zaeef Hadees Milti Bhi Hai Magar 8 Padhne Ki Koi Hadees Hai Hi Nahi.
Aur Jis Tarah Huzoor Se Taraveeh Ki Muta’aiyyan Adad Sabit Nahi Usi Tarah Aap Se Taraveeh Ba-jamat Padhna Bhi Sabit Nahi Hai,
Huzoor Ne Namaze Tarveeh Tanha Ada Farmayi Hai.
20 Rakat Jamat Ke Sath Ahde Hazrat Umar Farooq Me Shuru Hui,
Ahlehugees Is 20 Ko Bid’ate Farooqi Keh Kar Manne Se inkar Karte Hain,
Hum in aqal ke Dushmano Se Puchna Chahte Hai Agar 20 Rakat Taraveeh Hazrat Umar ki Bid’at Hai To Jamat Se Taraveeh Padhna kya Hai?
Tum Jo 8 Rakat Jamat Se Padhte Ho Kya Ye Huzoor Se Sabit hai? Ye Bhi To Hazrat Umar Hi ki Sunnat Hai.
(Iska Jawab Ahle Khabees Hame Zaroor De)

Hazrat Ubai Bin Ka’ab Se Riwayat Hai Unhe Hazrat Umar Ne Hukm Diya
Ramzan ki Raton Me Logon Ko 20 Rakat Taraveeh Jamat Se Padhye
{مسند احمد بن منيع، بحوالہ اتحاف الخيرة المهرة للبو صری، باب في قيام رمضان، رقم الحدیث-2390}
Hazrat Sayeb Bin Yazeed Farmate Hai Ki Zamane Farooq & Hazrat Usman Me Sahaba Ba-jamat 20 Rakat Taraveeh Padhte The.
{السنن الكبرى للبيهقي، باب ماروی في عدد ركعات القيام  فی شهر رمضان، جلد-2، صفحہ-496}
Hazrat Yazeed Bin Ruman Kehte Hai Log (Sahaba/Tabaeen) Hazrat Umar Ke Zamane Me 23 Rakat Padhte The,
20 Taraveeh 3 Vitr
{موطأ امام مالک، باب ما جاء في قيام رمضان، صفحہ-98}
Hazrat Umar Ke Zamane Me Log (Sahaba & Tabeen) 20 Rakat Taraveeh Padhte The
Aur Hazrat Usman Ke Daur Me Lambe Qayam Ki Wajah Se Lathiyon Ka Sahara Lete The
{أيضاً}
Hazrat Abul Hasnaa Se Riwayat Hai Ki Hazrat Ali Ne Ek Shakhs Ko Ramzan Me Hukm Diya Ki Wo Logo Ko 20 Rakat Taveeh Padhaye
{مصنف ابن ابی شیبہ، باب كم يصلي في رمضان من ركعة ؟ جلد-5، صفحہ-223، رقم الحدیث-7763}
Hazrat Abdullah Bin Masood Ramzanul Mubarak Me Hame Taraveeh Padhate, Hadees Ke Rawi Imame Amash Kehte Hain Aap 20 Rakat Taraveeh & 3 Rakat vitr Padhate
{قيام الليل للمروزی، صفحہ-157}
Hazrat Ata Bin Abi Ribah Jalilul Qadr Tabaie Hai Aapne 200 Sahaba Ki Ziyarat Kee,
(Tehzibut Tehzeeb li Ibne Jajar, Volume-4, Page-488) Wo farmate Hai,
“ادركت الناس وهم يصلون ثلاثا و عشرو ركعة بالوتر”

Mai ne Sahaba Wa Tabaeen Ko 20 Rakat Tarveeh & 3 Vitr Padhte Paya
{مصنف ابن ابی شیبہ، كم يصلي في رمضان من ركعة، جلد-5، صفحہ-224، رقم الحدیث-7770}
Huzoor Ki Sunnato Aur Sahaba Ke Tariqon Ki Jis Ahsan Andaz Me Aur Tafseel Ke Sath 4 Imamo Ne Tadveen Ki Wo Ummat Me Kisi Ke Hisse Me Nahi Aai,
Isi Liye Puri Ummat Inhi 4 Imamo Ki Rehnumai Me Huzoor Ki Sunnato Pe Amal Kar Rahi hai.
4ro imam 20 Rakat Taraveeh ke Hi Qayel The,
In 4ro Me Sab Se Bade Imam Huzoor Imame Azam Abu Hanifah Noman Bin Sabit Koofi رضي الله عنه 20 Rakat Taraveeh Ke Qayel Hai..
{بداية المجتهد، جلد-1، صفحہ-214}
2 No. Ke Imam,
Imame Darul Hijrat Saydna Imam Malik رضي الله تعالى عنه 20 Rakat Taraveeh Ke Qayel The
{بداية المجتهد، جلد-1، صفحہ-214}
3.No Ke Imam
Sayedna Imam Muhammad Bin Idrees Shafai رضی اللہ تعالٰی عنہ Farmate Hai.
Mujhe 20 Rakat Taraveeh Pasand Hai Makkah Me Bhi 20 Hi Padhte Hai,
{قيام الليل للمروزی، صفحہ-159}
4.No Ke Imam ABU ABDULLAH Ahmad Bin Hambal رضی اللہ تعالٰی عنہ Ke Bare Me DAQQAQ Alim Jo Fiqhe Hanfi Ke Tarjaman Hai,
IMAM IBNE QIDAMAH HAMBALI Likhte Hai,
Imam Hambal Ke Nazdeek Mukhtar Aur Rajeh 20 Rakat Taraveeh Hi Hai,
Imam Sufyan Suri Imam Abu Hanifah Imam Shafai Bhi 20 Hi Ke Qayel The.
{المغني لابن قدامه، جلد-2، صفحہ-366، مسئلہ نمبر-247}
Yaqeen Janiye Is Silsile Me is Qadar Riwayat Amale Sahaba Wa Tabeen Se Hai Ki likhne Par Aaun To Kitabo Ke Dher Lag Jaye.
Magar Misl Mash’hoor Hai,
“AQAL MAND RA ISHARA KAFI AST”
AKheer Me Ahlehugees Ke Shaikhul islam ibne Taimiyah Hambali Jinki Har Baat Pe Ye Gair Muqallideen AMANNA WA SADDAQNA Kehten Hain Aur Jaan Fida Karte Hain Aur Jinke Ye Andhe Muqallid Hai Lijiye 20 Rakat Pe Unhi Ka Na Qabile Tardeed Hawala.
“فانه قد ثبت ان ابى بن كعب، كان يقول الناس عشرين ركعة في قيام رمضان ويو تر بثلاث فرائ كثير من العلماء ان ذالك هو السنة لانه اقامه بين المهاجرين والأنصار ولم ينكره منكر”
Tarjama-
Ye Baat Sahi Sand Se Sabit Hai Ki Hazrat Ubai Bin Ka’ab Sahaba Wo Tabeen Ko Ramzanul Mubarak Me 20 Rakat Tarveeh Aur 3 Witr Padhate The, lihaza Bahot Se Ulma Isi Ko Sunnat Qarar Dete Hai,
Kyunki Hazrat Ubai Bin Ka’ab Ne Hazraate ANSAR O MUHAJIREEN Ki Maujdoogi Me 20 Rakat Padhai Thi Kisi Ne Iska inkar Nahi kiya
{FATAWA IBNE TAIMIYAH, Volume-23, Page-112}

Related Articles

10 Comments

  1. Brother i 'll give you the sahih hadees… On tarawih that muhammad (S. A. W) never perform more than 11 rakah.. Rawi of this hadis is AyshA radi allahu anhuma… Then how can you say that prophet perform 20 rakah?

  2. Dear brother first of all you read the post carefully. I have given all the necessary references that proofs 20 Rakahs. You must visit Ramzan Page of my blog for more details regarding this topic.
    Thank you.
    Visit Again.

  3. Nafi riwayat karte hai ki Ibn Umar ne kaha ki Jab RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм minber pe the toh ek shaks ne unse pucha ki Qiyam ul lail(Taraweeh) kaise padhna chaiye?
    RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: Qiyam ul lail do-do rakat kar ke padho aur jab subah(sadik) hone ka dar ho to ek rakat padhlo, yeh(ek rakat, pahli saari) namaz ko taak bana degi.

    Sahih al-Bukhari, hadith- 472.

    Is hadith me ye kaha gaya hai ki ham Taraweeh chahe jitta padh sakte hai fajr se pahle. Lekin agar RasoolAllah ke amal ki baat ham kare toh is ka zikr hadith me kuch is tarha se hai:

    Hajrat Ayesha r.a. riwayat karti ki Ramzaan hota ya gair Ramzaan, Rasool ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм (raat ki namaz aam taur par) gyarah rakat se zyada nai padhte.(Pahle) aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye fir aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye. Fir (akhir) me ap teen rakat (witr) padhte.

    Sahih al Bukhari,hadith-1147,2013,3569.

    Is hadith se ye sabit hota hai ki RasoolAllah hamesha 11 rakat taraweeh padhte the chahe ramzaan hota ya gair ramzaan.

    Agar ham salaf ke record dekhte hai to hame ye pata chalta hai ki kuch salaf 20 rakat taraweeh padhte the to kuch 36 rakats bhi padhte the.

    (Musannaf Ibn Abi Shaiba, Vol.2, Pages 165 & 166).

    To baat wazeh hui ki ham chahe jitti rakat padh sakte hai Taraweeh lekin agar RasoolAllah ka tarika apnana ho to 8 rakat padhni chaiye lekin 20 ya aur koi tadad padhne ki ijazat di hai RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne.
    Aur hame ye koshish karni chaiye ki ham Imam ke sath taraweeh padhe aur unhi ke sath Taraweeh khatm kare chahe Imam 8 rakat padhe ya 20 ya aur koi tadad:

    RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Jo shaks Imam ke sath taraweeh padhta hai jab tak Imam khatm na karde to Allah (uske aamal me) likhenge ki usne puri raat namaz me guzari.”

    Narrated by al-Tirmidhi (806) and classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Tirmidhi.

    RasoolAllah Aur Sahabo Ki Taraweeh Ki Rakato Ki Tadad

    Hajrat Ayesha r.a. riwayat karti ki Ramzaan hota ya gair Ramzaan, Rasool ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм (raat ki namaz aam taur par) gyarah rakat se zyada nai padhte.(Pahle) aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye fir aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye. Fir (akhir) me ap teen rakat (witr) padhte.

    Sahih al Bukhari,hadith-1147,2013,3569.

    Hazrat Jabir bin Abdullah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne hame Ramadan me aanth (8) rakat rakat qayam e Ramadan padhaya fir witr padhai.

    Ibn Khuzaima -hadith 1070, Ibn Hibban- 920, Abu Yala Al-Musli- 1802. Is hadith ko Imam Ibn Hibban ne sahih kaha hai.

    Is hadith se sabit hota hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne teen raat namaz padhai wo Gyara(11) rakat hi thi.

    Hazrat Saa’ib ibn Yazeed se riwayat hai ki Hazrat Umar Farooque r.a. ne Hazrat Ubayy ibn Ka’ab aur Hazrat Tameem ad-Daaree r.a. ko Hukm diya ki logo ko Gyara (11) rakat Qayam e Ramadan padhae.

    Muwatta Imam Malik, Salaat fi Ramadan, 1/115. Musannaf ibn Abee Shaybah 2/391-392, As-Sunan Al-Kubraa Of Baihaaqee (2/496).

    Is hadith se Sabit hua ki Hazrat Umar Farooque r.a. ne Madinah ke qariyo ko Ghyarah (11) rakat padhane ka hukm diya.

  4. Aapne Jo Sahi Bukhari Ke Hadith No Diye Hai Isme Raka'at Taraweeh Ka Zikr Nahi Hai. Logo Ko Gumrah Na Kare. Hadith 2013 Me Huzoor-E-Akram​ Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ramzan Mubarak Me Namaz-E-Taraweeh Ka Zikr Hai. Aur Aapne 3 Din Ba Jama'at Tarawih Padhai Uske Bad 4th Day Ko Aap Taraweeh Me Tashreef Na Laye Ki Ummat Par Farz Na Ho Jaye.

    Aur Hadees No 3569 Akhlaq Par Hai. Aap Tamam Hazrat Mulahija Farmale.

    Sahih Al Bukhari Hadith: 3559.
    Narrated 'Abdullah bin 'Amr L4i-: The Prophet was neither a Fahish1 nor a Mutafahhish (never used bad language). He used to say, "The best amongst you are those who have the best manners and character.

    Yaha Sirf Kitabo Ke Nam Aur Number Likh Log Aapko Gumrah Karne Ki Sazish Kar Rahe Hai. Aise Logo Se Door Rahe. Jo Hadees Sharif Jhoot Ko Likh Kar Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Namse Bayan Kare. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai Ke Jisne Koi Jhoot Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Mansoob Kar Bola Wo Apna Thikana Dozakh Me Banale.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!