Ramzan

Sadqa Aur Sadqa-E-Fitr Ka Bayan, Hadees Wa Masle

Hadees:
Bandah Kehta hai Mera Maal Mera Maal,
Magar Use To Us Maal Se 3 Hi Qisam ke
Fayede Hain.
Jo Kha Kar Fana Kiya, Jo Pahen Kar Purana Kiya,
Aur Jo Ataa (Garibo ko De kar) Kar Ke Akhirat Ke Liye Jama kiya
 ﺻﺤﻴﺢ ﻣﺴﻠﻢ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺰﻫﺪ ﻭﺍﻟﺮﻗﺎﺋﻖ، ﺑﺎﺏ
ﺍﻟﺪﻧﻴﺎﺳﺠﻦ ﻟﻠﻤﺆﻣﻦ ﻭﺟﻨﺔﺍﻟﻜﺎﻓﺮ، ﺻﻔﺤﮧ 1582- ، ﺍﻟﺮﻗﻢ
ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ ,2959-
Hadees:
Mere Pas Uhad Pahad Ke Barabar Sona Ho To
Mujhe Pasand Nahi Ki Usme Ka Kuch 3 Raat
Tak Mere Pas Rahe.
Haan Agar Dain (Qarz)
Ho To Kuch Rakh Lun (Taki Jiska Qarza Ho Use De Sakun)
 ﺻﺤﻴﺢ ﺍﻟﺒﺨﺎﺭﻱ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺮﻗﺎﺋﻖ، ﺑﺎﺏ ﻗﻮﻝ ﺍﻟﻨﺒﻲ
ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻣﺎ ﻳﺴﺮﻧﻰ ﺃﻥ ﻋﻨﺪﻯ ﻣﺜﻞ
ﺍﺣﺪ ﻫﺬﺍ ﺫﻫﺒﺎ، ﺟﻠﺪ 4- ، ﺻﻔﺤﮧ 232- ، ﺍﻟﺮﻗﻢ
ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ 4645- ،
Hadees:
Saqdah Karna Allah Ke Gazab (Jalal) Ko
Bujhata hai aur Buri Maut Se Bachata hai,
{Tizmiri, Volume-2, Page-146, Hadees No-664}
Hadees:
ALLAH Farmata hai,
Aye Ibne Adam (Hazrat Adam Ki Awlado) Apna
Maal Mere Pas Jama Kar Wo Na Jalega Na Dubega,
Na Chori Hoga,
Mai Tujhe Pura Dunga
Jab Tujhe Uski Sakht Zarurat Hogi
{Shahbul iman, jild-3, Page-211, Hadees No-3342}
Hadees:
Sadqah Burai Ke 70 Darwazon Ko Band Karta Hai
{Al Mojamul kabeer, Jild-4, Page-273, Hadees No-4402}
Hadees:
Sakhi (Sadqa Karnewala) Admi Allah Se
Qareeb Hai,
Jannat Se Qareeb Hai,
Logo Se Qareeb Hai
Aur
Jahnnam Se Door Hai,
Bakheel (Kanjoos) Allah Se Jannat Se Logo Se Door hai
Aur
Jahannam Se Nazdeek Hai
{Jame Tirmizi, Jild-3, page-387, Hadees No-1968}
HADEES:
Abdullah Bin Umar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se
Riwayat Hai Huzoor E Pak ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻠﻴﻪ
ﻭﺳﻠﻢ Ne Zakate Fitr 1 Saa (Arab Ka Wazan)
Khurma Ya Jao Gulam O Azad Mardo Aurat
Chote Aur Bade Musalmano Par Muqarrar Ki..
Aur Ye Hukm Farmaya Ki Namaz Se Phele Ada Kar De
 ﺻﺤﯿﺢ ﺍﻟﺒﺨﺎﺭﯼ، ﺃﺑﻮﺍﺏ ﺍﻟﺼﺪﻗﺔ ﺍﻟﻔﻄﺮ، ﺟﻠﺪ1- ،
ﺻﻔﺤﮧ 507- ، ﺍﻟﺮﻗﻢ ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ 1503- ،
Hadees:
Bande Ka Roza Aasman O Zameen Ke Beech Mu’allaq (Latka) Rehta Hai Jab Tak Sadqae Fitr Ada Na Kare.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-935}
Mas’ala:
Sadqae Fitr Wajib Hai, Iska WAQT Umr Bhar
Hai,
Agar Pehle Nahi Diya Tha To Ab De.
Na Dene Se Uska Hukm Saqit Nahi Hoga, Aur
Takheer Se Dega To Qaza Bhi Nahi Kehlayega,
Magar Sunnat Ye Hai Ki Namaze Eid Se Qabal Ada Kare
(Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Sadqae Fitr Ka Bayan, Page-935).
Mas’ala:
Eid Ke Din Subhe Sadiq Hote Hi Sadqae Fitr
Wajib Hota Hai,
Lihaza Jo Shakhs Subah Hone Se Pehle Mar Gaya Ya Gani (Sahebe Nisab) Tha
Ab Faqeer Ho Gaya,
Ya Subah Tuloo Hone Ke Bad Kafir Musalman Hua,
Ya Bachcha Paida
Hua,
Ya Faqeer Tha To Gani Ho Gaya,
To Wajib Na Hua,
Aur Agar Koi Subah Tuloo Hone Ke
Bad Mara To uska Sadqae Fitr Wajib Hai,
Aur
Subah Tuloo Hone Se Pehle Kafir Musalman
Hua Ya Bachcha Paida Hua,
Ya Faqeer Gani Hua
To in sab pe sadqae Fitr Wajib Hai
{Alamgeeri Volume-1, Page-192}
Mas’ala:
Sadqae Fitr Har Musalman Azad Malike Nisab
Par Jiska Nisab Hajate Asliya Ke ILAWA Ho
Uspe Wajib Hai.
Sadqae Fitr Ke Liye AQIL (AQAL WALA) Balig
Aur
Maal Ka Naami Hona Shart Nahi
Na Maal Par Eik Saal Guzarna Bhi Zaroori Nahi,
{Durr-E-ukhtar, Volume-3, Page-362}.
Mas’ala:
Sadqae Fitr Ke Liye MAAL Ka Baqi Rehna Bhi Shart Nahi.
Maal Hilak Hua Tab Bhi Sadqa Dena wajib
Rahega
{Durr-E-Mukhtar, Volume-3, Page-366}.
Mas’ala:
Sadqae Fitr Ke Liye Roza rakhna Shart Nahi.
Kisi Uzr (Majburi)
Ya Safar
Ya Marz
Ya Budhape Ki Wajah Se Ya Maz’allah Bila Wajah Roza Chhod Diya Tab Bhi Wajib hai
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-936}.
Mas’ala:
Sadqae Fitr Unhi Ko Diya Jaye Jinhe Zakat Dee Jati Hai.
Jinhe Zakat Dena Jayez Nahi Unhe Sadqae Fitr Bhi Nahi De Sakte.
Aamil (Jise Badshahe islam Ne Zakat Wasool
Karne Ka Kaam Diya Hai) Ko Sadqae Fitr Lena Jayez Nahi Haan Zakat Le Sakta Hai.
{Durr-E-Mukhtar, Volume-3, Page-379}.
NABI-E-PAK NE EK SHAKHS KO HUKM FARMAYA:
MAKKAH KI GALIYO ME JAAKAR YE ELAAN KARDO
KE SADQA-E-FITR WAJIB HAI
(TIRMIZI) 
Jab Tak Sadqa-E-Fitra
Ada Nahi Kiya Jata
Bande Ka Roza Zamino Aasman Ke Drmiyan Muallak (Latka) Rehta He
(Kanzul Ummal,Jild-8) 
JAB TAK BANDA SADQA-E-FITRA ADA NAHI KARTA TABTAK USKA ROZA QUBUL NAHI HOTA HAI
(SUNNI BAHISHTI ZEWAR) 
QUR’AN:
AYE IMAANWALO!
HUM NE JO TUMHE RIZQ DIYA HAI
US ME SE KHARCH KARO.
(PARA-2 SURAH-BAQRAH AAYAT-254)
ROZA AASMAN & ZAMEEN KE BICH LATAKTA RAHTA HAI
JAB TAK SADQAE FITR ADA NA KIYA JAAYE
(MISHKAT) 
SADQA IS TARAH GUNAHO KO BUJA DETA HAI
JIS TARAH PAANI AAG KO BUJA DETA HAI.
(MISHKAT JILD-1, SAFA-14) 
SADQA ALLAH Taala Ke Gusse Ko Thanda Karta Hai
Aur Buri Maut Se Bachata Hai.
(Tirmizi)
*Sadaqa-E-Fitr*
BIWI Ne Bagair Hukme SHAUHAR
Agar
SHAUHAR Ka FITRA Ada Kar Diya To Ada Na Huwa.
(RADDUL MUKHTAR)
Jab Tak SADQAE-FITR Ada Na Kiya Jaye Bande Ka Roza Zameen-o-Aasmaan Me Muallaq(LATKATA) Raheta He
(Kanzul Ummal) 

Sadqa-E-Fitr: 2.045 Kg. Ghehu Ya Uski Qimat 
Mas’ala:
Sadqae Fitr Ka WAQT Umr Bhar He Yani Ada Na Kiya Tha To Ab Ada Kare
Magar Sunnat Eid Ki Namaz Se Pehle Hai
(DURRE MUKHAR Vol:3,Page:362) 
1ADMI KA FITR
1HI MOHTAJ KO DENA BEHTAR HE
1SE ZIYADA KO BHI DENA JAIZ HE
FITRA KE MUSTAHIQ WO LOG HE JO ZAKAT KE MUSTAHIQ HE
(Sunni Bahesti Zewar) 
Sarwar-E-Qaynat Janabe Mohommad Mustfa Swallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya ki
“Bande ka roza Aasman wa Zamin ke darmiyan  muallak rehta he jab tak sadqae fitr ada na kare.
{Ibne asakar,Sunni Bahishti Zewar}
Mard malike nisab par apni tarafse aur apne chote bachche ki tarafse sadqae fitr wazib he jabke bachcha khud sahibe nisab na ho aur maa par khud apna sadqa wazib he jabki malike nisab ho. Chote bachcho ki tarafse sadqa dena Maa par wazib nahi.
{Raddulmuhtar,Sunni Bahishti zewar}
Aaqil Balig hona sadqae fitr me shart nahi. To nabalig ya pagal agar malike nisab he to un par sadqae fitra wazib he unka wali unke mal se ada kare.
{Raddulmuhtar,Sunni Bahishti Zewar}
Eid ke din subah sadiq hote hi Sadqa-E-Fitr har Musalman malike nisab mard wa aurat par jiski nisab hazate asliya se farig ho, wazib hota he aur sunnat yah he ke Eid ki namaz se pehle ada kar diya jaye.
{Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar}
Jo subah sadiq shuru hone ke bad mara uska sadqae fitr wazib he
{Qanoon-E-Shariat}
Like Our Official Facebook Fan Page
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!