Ramzan

Zakat Kisko Di Jaye Aur Kisko Nahi

Hadees:
Huzoor E Aqdas صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya.
Sadqah Admiyon Ka Mayel (Gandagi) Hai aur Ye Meri Ahle Bait (Huzoor Ke Ghar Wale) Ke Liye Jayez Nahi
الطبقات الكبرى، لابن سعد، جلد-1، صفحہ-29.
Bani Hashim Ko Jayez Nahi,
Bani Hashim Me Ye Log Hain
Awlade Hazrat Ali رضی اللہ تعالٰی عنہ
Awlade Hazrat Aqeel رضی اللہ تعالٰی عنہ
Awlade Hazrat Abbas رضی اللہ تعالٰی عنہ
Hadees:
Hamare Liye Sadqah Halal Nahi Aur Jis Qaum Ka Azad Kiya Hua Gulam Ho Wo Unhi Me Se Hai (Bani Hashim ke Gulamo Ko Bhi Sadqah Zakat Dena Jayez Nahi)
جامع الترمذي، أبواب الزكاة، باب ماجاء في كراهية الصدقة للنبي الكريم صلى الله تعالى عليه وسلم، وأهل بيته ومواليه، جلد-2، صفحہ-142، الرقم الحديث-657

Hadees:
Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Marwi Hai,
Ki Imame Hasan رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Sadqe Ka Khurma Muh Me Rakha Ispe Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya، Kakh Kakh (Chi Chi) Use Phenk Do.
Phir Farmaya Kya Tume Maloom Nahi Ki Hum Sadqah Nahi Khate?
صحيح البخاري، كتاب الزكاة، باب ما يذكر في الصدقة للنبي صلى الله عليه وسلم وآله، جلد-1، صفحہ-503، الرقم الحديث-1491..

Zakat Inhe Di Jaye:
Zakat Ke Masarif 7 Hai
1. Faqeer
2. Misqeen
3. Aamil
4. Raqaab
5. Gaarim
6. Fee Sabi’Lillah
7. Ibnus Sabeel
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 204)

FAQEER:
Faqeer Use Kahenge Jiske Pas Kuch Ho Magar itna Na Ho Ki Khud Zakat Dene Ke Layeq Ho,
Ya Nisab Ke Barabar Ho Magar Wo chize Uski Hajate Asliya Me Ho Yani Uski Apni Zaruraton Ke liye.
(Raddul Mohtar, Volume-3, Page-333
Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 204)
Mas’ala:
Faqeer Agar Alime Deen Ho To use Zakat O Sadqat Dena Jahil Ko Dena Se Afzal Hai
(Alamgeeri, Volume-1, page-187)
Magar Aalime Deen Ko Dete Waqt uske Martabe Ka Lihaz Zaroori Hai,
Is Adab Ke Sath Pesh Kare Jaise Chota Apne Bade Ko Nazr Pesh Karta Hai,
Agar Dil Me Alim ki Hiqarat Aai To Ye Hilakat (Barbadi) Aur Sakht Barbadi Hai.
Miskeen:
Miskeen Wo Hai Jiske Pas Kuch Na Ho Yahan Tak Ki Khane Aur Badan Chupane Tak Ke Liye Mohtaj Ho, Aisa Sakhs Logo Se Sawal Kar Sakta Hai, Magar Faqeer Ko Sawal Karna Jayez Nahi, Q ki uske Pas To Hajat Bhar Saman Hai
{الفتاوى الهندية، کتاب الزکاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ 187}
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 204)

Mas’ala:
Miskeen Ko Sawal Halaal Hai Aur Faqeer Ko Sawal Najaiz Hai. Isliye Ke Uske Pas Khane Pine Aur Badan Chupane Ko Ho.
Use Bagair Jarurat Wa Majboori Sawal Karna Haraam Hai
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 204)
Gaarim:
Madyun Yani Qarazdar Jispe Qarza ho Use Bhi Zakat Dee Jaa Sakti Hai,
Magar Uspe Itna Qarza Ho Ki Agar Wo Khud Zakat Dega To Uska Maal Nisab Ke Barabar Nahi Rahega..
Agarche Uska Bhi Auron Pe Baqi Ho Magar Use Wasool Hone Ki Ummid Na Ho Ya wo Apne Qarazdaro Se Lene Par Qadir Na Ho.
Magar Qarazdar Hashmi Na Ho
{الدرالمختار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-339}
      
FEE SABI’LILLAH:
Yani ALLAH Ki Raah Me Kharch Karna Uski Chand Surten Hai,
1. Masalan Koi Shakhs Jihad Me Jana Chahta Hai Magar Safar Kharch Pas Nahi Na Sawari Hai To Use Zakat Dee Sakte Hai Agarche Wah Kama Sakta Ho.
2. Agar Koi Haj Ko Jana Chahta Hai To Use De Sakte Hain, Magar Use Khud Sawal Karna Jayez Nahi
3. Ya Talibe ILM Jo Ki Deen Ki Taleem Lena Chahta Hai,
Use Zakat De Sakte Hain Aur Aisa Talibe ILM Apne Liye Sawal Bhi Kar Sakta Hai.
Yun Hi Har Nek Baat Me Zakat Laga Sakte Hain Magar Usme TAMLEEK (Malik Banana) Shart Hai. Bagair Malik Banaye Zakat Ada Nahi Hogi
{الدر المختار،  كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-339}
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 205)


IBNUS SABEEL:
Yani Musafir Jiske Pas Maal Na Raha Zakat Le Sakta Hai,
Agarche Uske Ghar Maal Maujood Ho Magar Usi Qadr Le Jisse Hajat Puri Ho, Ziyadah Ki ijazat Nahi.
{الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-188}
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 205)
AAMIL:
Aamil Wah Hai Jise Badshah-E-Islam Ne Zakat Wa Ushr Wasool Karne Ke Liye Mukarrar Kiya Ho.
Use Kam Ke Lihaj Se Itna Diya Jaye Ki Usko Aur Uske Madadgaro Ko Mutawassit Taur Par Kafi Ho Magar Itna Na Diya Jaye Ki Jo Wasool Kar Laya Hai Uske Aadhe Se Jyada Ho Jaye.
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 204)

Play Store Se Hamare Nabi & Sunnat-E-Nabi Apps Jaroor Download Kijiye. Aapke Rating & Review Se Insha ALLAH Apps Doosro Tak Pohochege.

RAQAAB:
Raqaab Se Murad Maqatib Gulaam Ko Dena Ki Is Maale Zakat Se Badle Kitabat Dekar Apni Gardan Chudaye.
(Matlab Gulam Ke Aaqa Ne Kaha Ho Ki Itni Raqam La Kar Dedo To Tum Azaad Ho. Ye Is Daur Me Nahi Hai)
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 204)
Bahu Aur Damaad Aur Sauteli Maa Ya Sautele Baap Ya Shohar Ki Aulaad Jo Uske Pet Se Nahi To In Sabko Aurat Zakat De Sakti Hai.
Yuhi Shohar Apni Biwi Ki Aulaad Ko Jo Iske Nutfe Se Nahi Zakat De Sakta Hai.
(Raddul Mohtar)
Apni Asl Yani
•Maa
•Baap
•Dada
•Dadi
•Nana
•Nani
Wagairah Jinki Aulad Me Yah Hai.
Aur Apni Aulad Yani
•Baiaa
•Bay’i
•Pota
•Poti
•Nawasa
•Nawasi
Wagairah Ko Zakat Nahi De Sakta.
Yuhi Sadqa-E-Fitr Wa Nazre Sharai Wa Kaffara Bhi Inhe Nahi De Sakta.
Raha Sadqa-E-Nafl To Wah De Sakta Hai Balki Behtar Hai.
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 205)
Aadmi (Mard Ya Aurat) Jinki Aulad Me Khud He Yani Maa Baap, Dada Dadi, Nana Nani Ya Jo Apni Aulad Me He Yani Beta, Beti, Pota, Poti, Nawasa, Nawasi Aur Shauhar Wa Biwi In Rishto Ke Siwa Apne Jo Aziz Hazatmand Ho,
Masrafe Zakaat he. Apne Maal Ki Zakaat Unhe De.
Jaise Bhai Behen, Bhatija Bhatiji, Bhanja Bhanji, Mamu, Khala, Chacha, Fufi, Ki Inhe Dene Me Duna Sawab Hai Aur Nafs Par Boz Bhi Kam Hoga.
Ki Apne Sage Bhai Ya Bhatije Bhanje Ko Diya Hua Aadmi Apne Hi Kam Me Uthna Janta Hai.
Fir Yah Bhi Kuch Jaruri Nahi Ki Unhe Zakat Jata Kar De Balki Dil Me Zakat Ki Niyat Ho Aur Unhe Eidee, Shadiyo Ki Rasme, Chahe Kisi Bat Ka Nam Karke,
Us Rakam Ka Maalik Karde Zakat Ada Ho Jayegi.
(Fatwae Razviya)
Bahu Aur Damaad Aur Sauteli Maa Ya Sautele Bap Ya Shauhar Ki Aulad Jo Uske Pet Se Nahi To In Subko Aurat Zakaat De Sakti He.
Yuhi Shauhar Apni Biwi Ki Aulad Ko Jo Iske Nutfe Se Nahi, Zakaat De Sakta He.
(Raddul Muhtar)
Sone (Gold) Ka Nisab Sadhe Sat(7.5) Tola he Aur Chandi (Silver) ka Nisab Sadhe Bawan(52.5) Tola he.
(Sunni Bahishti Zewar)
Shariate Mutahra Ne Sona Chandi Ke Nisab Par Hazate Asliya (Jiski Taraf Zindagi Basar Karne Me Aadmi Ko Jarurat He)
Jaise Rehne Ka Makaan, Kapde, Khanadari Ka Saman, Sawari Ke Janwar Ya Motar Wagaira Se farig Ho.
Chahe Wah Rupaya Asharfi Ho Ya Gehna Zewar Ya Bartan. Khwah Inka Istemal Jaiz Ho Ya Najaiz,
Jab Nisab Par Chandi Ke Hisab Se Barah Mahine Guzar Jayenge Yani Jis Din Tarikh Waqt Par Aadmi Sahibe Nisab Hua Jab Tak Nisab Rahe Wahi Din Wahi Tarikh Wahi Waqt Jab Aayega Usi Waqt Kamri Saal (Chandi Ka Saal) Ka Us Par Guzar Jana Samza Jaye Aur Zakaat Ada Karna Fauran Wazib Hoga.
Ab Use Ada Karne Me Jitni Der Lagayegi Gunahgar Hogi.
(Sunni Bahishti Zewar)
Wah Zewar Jo Aurat Ki Milkiyat he,
Uski Zakaat Hargiz Shauhar Ke Jimme Nahi.
Agarche Wah Jyada Maal Rakhta Ho.
Na Us Zewar Ki Zakaat Na Dene Ka Shauhar Par Koi Wabal Wa g
Gunah.
Ha Munasib Tarika Par Tambih Wa Taaqid Karde Aur Use Samzaye Ki Zakaat Na Dena Kitna Bada Gunah He.
Aur Wah Zewar Ki Shauhar Ne Aurat Ko De Diya Aur Uska Milk Kar Diya Us Par Bhi Yahi Huqm He.
Aur Agar Milk Na Kiya Balki Apni Hi Milk Me Rakha Aur Aurat Ko Sirf Pehenne Baratne Ko Diya Jaise Kuch Gharaano Ka Riwaz He To Beshaq Uski Zakaat Mard Ke Jimme Hai.
Jabki Khud Ya Dusre Maal Se Mil Kar Nisab Ke Barabar Ho Aur Hazate Asliya Se Farig.
(Fatwae Razviya)
Saal Bhar Tak Khairat Karti Rahi Ab Zakaat Ki Niyat Ki Ab Tak Jo Kuch Diya Hai Wah Zakaat Hai To Yah Niyat Mot’abbar Nahi.
Lihaza Zakaat ada na hui. Zakaat Dete Waqt Ya Zakaat Ke Maal Alaahida Karte Waqt Niyate Zakaat Shart Hai.
(Sunni Bahishti Zewar)
Sarkar-E-Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Jo Aadmi Maal Badhane Ke Liye Logo Se Sawal Karta Hai To Wah Mano Aag Ka Angara Talab Karta Hai”
(Mishkat Sharif Jild 1, Safa 162)
Matlab Yah Ki Bina Kisi Sakht Jarurat Ke Bhik Mangana Aur Logo Se Sawal Karna Jaiz Nahi.
Bad Mazhab Ko Zakat Dena Jaiz Nahi Aur Isi Tarah Un Murtadin Ko Bhi Dene Se Ada Na Hogi.
Jo Jabaan Se Islam Ka Dawa Karte Hai Lekin ALLAH Aur Rasool Ki Shaan Ghatate Ya Kisi Aur Deeni Ka Inkar Karte Hai
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 207)
Zakat Wa Sadqat Me Afzal Hai Ki Pehle Apne Bhaiyo Beheno Ko De Fir Unki Aulado Ko Fir Chacha Aur Fufiyo Ko Fir Unki Aulaad Ko Aur Fir Mamu Aur Khala Ko Fir Unki Aulaad Ko Fir Apne Gaon Ya Shahar Me Rehnewalo Ko.
Hadees Me Hai ALLAH TA’ALA Us Shaks Ke Sadqe Qabool Nahi Farmata Jiske Rishtedar Uske Sulooq Karne Ke Mohtaj Ho Aur Yah Gairo Ko De.
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Safa 207)
Mas’ala:
Zakat Me Ye Zaroori Hai Ki Malik Banaye.
Sirf Abahat (Kharch Karna) Kafi Nahi.
Agar Koi Maale Zakat Masjid Me Kharch Kare Ya Mayyat Ko Kafan De Ya Mayyat Ka Qarza Chukaye,
Ya Gulam Azad Kare Ya Pull Musafir Khana Sadak Naher Kuwan Khudwaye Ye Koi Kitab Wagera WAQF Kare To Ye Nakafi hai
الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-188.
Jise Bhi Zakat De Use Pure Taur Se Malik Banaye Taki Wo Jahan Munasib Samjhe Kharch Kare.
Mas’ala:
Apni Asal (Jinke Awlad Me Se Ye Hain) Maa, Baap, Dada, Dadi, Nana, Nani, Inse Upar Jitne Hain inhe Zakat Nahi De Sakta.
Isi Tarah Apni Fara (Kski Awlad Me Jo Hain) Jaise Beta Beti Pota Poti Nawasa Nawasi Aur inse Niche Jitne Hain Ko Zakat Nahi De Sakta.
Isi Tarah Sadqae Fitr O Nazr O Kaffarah Bhi unhe Nahi De Sakta.
Raha Nafli Sadqa To Wo De Sakta Hai Balki Behtar Yahi Hai Ki Inhe Hi De
ردالمحتار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-344.
Mas’ala:
Bahu Damad Soteli Maa Sotele Baap Ya Biwi Apne Shohar Ki Dusri Awlado Ko Ya Shohar Apni Biwi Ke Dusri Awlado Ko (jo isse na Ho) aur Rishtedaron Ko Zakat De Sakta Hai
ردالمحتار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-344.
Mas’ala:
Aurat Shohar Ya Shohar Aurat Ko Zakat Nahi De Sakte.
Haan Talaqe Mugallazah (3-talaq) Ho Chuki Aur iddat Puri Ho Gai To Ab De Sakte Hain
الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-189.
Mas’ala:
Sahetmand Tandurust Ko Zakat De Sakte Hain Agarche Wo Kamane Ki Taqat Rakhta Ho, magar Sawal Karna Use Jayez Nahi
(Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-929)
Mas’ala:
Jiski Maa Sayyadani (Bani Hashim Se) Ho Magar Baap Sayyed Nahi Aise Ko Zakat De Sakte Hain,
Shariat Me Nasab Baap Se Hai Maa Se Nahi
بهار شریعت، بیان. مال زکاة كے مصارف، حصه-5، صفحہ-931.
Mas’ala:
Zakat Aur Sadqat Me Afzal (Behtar) Ye Hai Ki Pehle Apne Bhaiyon Behno Ko De…. Phir Unki Awlad Ko.. phir ChaCha Phuphiyon Ko Phir Unki Awlad Ko… phir Mamu Khala Ko Phir Unki Awlad Ko… Phir Dusre Rishtedaron Ko.. Phir Padosiyon Ko.. Phir Apne Pesha Walo Ko phir Apne Shaher Ya Gaon Walo Ko
الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-190…
Huzoor E Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshade Aali Hai,
Aye Meri Ummat Qasam hai Mujhe Uski (Allah Ki) Jisne Mujhe HAQ Ke Saath Bheja Allah Pak Us shakhs Ka SADQAH Qubool Nahi Farmata Jiske Rishtedar Uske Sulook ke Mohtaj Hon Aur Ye Dusro Ko De..
Qasam Hai Mujhe Uski (Allah Ki) Jiske Dasre Qudrat Me Meri Jaan Hai Allah Tala Uski Taraf Qayamat Me Nazar (Rehmat Ki) Nahi Farmayega
مجمع الزوائد، كتاب الزكاة، باب الصدفة…..إلخ جلد-3، صفحہ-297…
“Ahem Mas’ala”
                   Zakat Dena Bhi ibadat Aur Sawab Ka kaam Hai Ise Dete WAQT Bahot Dhiyan Aur Chhan Been zaroori Hai.
Bad Mazhab (Gumrah Jisne Zaruriyate Ahlesunnat Me Se Kisi Chiz Ka Inkar Kiya) Ko Zakat Dena Jayez Nahi.
Aur Wahabi Deobandi Shia Qadyani Har Gustakhe Khuda O Rasool Jo Shane Risalat Me Khabis Kalme kehte Hai.
Jihne Ulmae Harmain Tayyibain Zadallahu Sharfa Ne Bil’ittefaq Kafir O Murtad Kaha Unhe Zakat Dena Haram Sakht Haram Ashad Haram Hai.
Musalman Samajh Ke Diya To Khud Kafir Hua Aur Taleefe Qalb Ke Liye Diya Tab Bhi Haram Ada Hi Nahi Hui Gunah Hua So Alag Phir Se Zakat Ada Kare…
{Bil ittefaq Ulame Ahlesunnat Wa Jamat}
Ramzan Me Kisi Madarse Me Zakat O Sadqat Den To Kadi Chhan Been Kare Itmenan Ke Bad Hi De.
Isi Tarah T.V Movie Chalane Wale Radde Wahabiya Se Chidne Wale Ulma Ki Gustakhiyan Karne Wale is Zamane Me Maslake Alahazrat Radi’allahu Anh Ki istelah Se Chidne Wale Molvi Hon Ya Unka Madrsa Ya Tehreek Unhe Maale Zakat De Kar Gunaho Par unki Madad Na Kare.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!