Sahaba-E-Kiram Aur Paseena-E-Mubarak Ki Taazim

Ja kar Hazarat Umme Sulem ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﺎ Se
Puchiye.
Jab Nabi-E-Kareem SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Lete Huye The,
To Aapke Jasad-E-Anwar Per Aapke
Paseene Ki Boond Dekhkar Hazarat Umme Sulem Ek Shishi Le Aayin,
Aur
Aapka Paseena Mubarak Poch kar Us Shishi Me Bhar Liya,
Aap SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Ne
Pucha,
Ye Kya Kar Rahi Ho?
Aapne Jawab Farmaya,
Main Ise Khushbu Ke
Liye Istemal Karungi
Aur Baccho Ko Shifa Ke
Liye Ise Pilaungi.
(Muslim Sharif, Hadees 5761)
Unki Mehak Ne DiL Ke Gunche KhiLa Diye Hain
Jis Raah Chal Diye Hain Kooche Basa Diye
Hain...
Hum Se Eteraaz Karne Waale Zara Thande
Dimag Aur DiL Se Soche Ki
Kya ALLAH Ne Aisa Hukm Diya Tha
Ki Mere Nabi SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Ka
Paseena Mubarak Poch kar Pee Lena?
Phir Kyu Aisa Kiya?
Aakhir Kisne Sikhaaya Ye Andaaz-E-Adaab Wa
Aqeedat
Yeh Andaaz Bagair ishq Ke Nahin Aate Aur
Sahaaba Woh The Jo Ishq-E-RasooL ﺻﻠﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ
ﺳﻠﻢ Mein Fanaa The
SUBHAN ALLAH
SUBHAN ALLAH.
Kya Aqeeda Tha Sahaba-E१-Kiram Radiallahu Ta'ala Anhu Ka..
SubhanALLAH
Agar Is Tarah Taazim Karna Galat Hota To Kyu Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Unhe Mana Na Kiya?
Shirk Aur Biddat Ki Rat Laganewale Bad Aqeeda Khabeeso Par ALLAH Ki Beshumar La'anat Ho.
Beshaq Mere Aaqa Ki Muhabbat Wa Taazim Hi Hamare Liye Rahe Najat Hai.
Ya ALLAH Hame Tere Mehboob Se Aisi Sachchi Muhabbat Karne Ki Taufiq Ata Farma.
Aur Ham Sabko Kaamil Imaan Ata Farma Aur Imaan Par Khatma Nasib Farma.
Aameen
Awwal Aakhir Durood.
Nazarahmed Khan (Admin)

World's Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat Wal Jama'at. Learn Islam And Sunnah Quran Wa Islamic Hadees In Roman Urdu. Hadees E Nabwi Collection. Hadith Online. Sahih Bukhari Muslim Ibne Maja Nasai Abu Dawood Hadees Sharif Books. facebook instagram twitter android

1 Comments

Assalamo Alaikum,
Aapke Feedback Ya Queries Muze Email Kare.
HumareNabi@gmail.com
Har Comments Ka Jawab Dena Possible Nahi Hota.
Muafi Chahta Hun.
Dua Ki Guzarish.

  1. i really like this article. i search many time this type of article, thanks for sharing
    latest abaya collection

    ReplyDelete
Post a Comment
Previous Post Next Post