Shab-E-Qadr 1000 Mahino Se Afzal Raat Hai

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله
Yeh Allahعزوجل Ka Khasul Khaas Karam Hai Ki Yeh Azeem Raat Sirf Apne Pyaare Habib  صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ko Aur Aap  صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ke Sadaqey Me Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ki Ummat Ko A'taa Ki Gayi. Allahعزوجل Quran-e-Kareem Me Irshad Farmata Hai.
  بسم الله الرحمن الرحيم
1إِنَّا أَنزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْر
ِ 2وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْر
ِ 3لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِّنْ أَلْفِ شَهْرٍ
 4تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِم مِّن كُلِّ أَمْر
ٍ 5سَلَامٌ هِيَ حَتَّىٰ مَطْلَعِ الْفَجْرِ
Tarjuma-E-Kanzul Iman :
ALLAH Ke Naam Se Shuru Jo Bahot Meherban Rehmatwala.
Beshaq Hum Ne Isey Shab-E-Qadr Me Utara Aur Tum Ne Kya Jaana, Kya Shab-E-Qadr?
Shab-E-Qadr Hazar Mahino Se Behtar, Is Me Firishtey Aur Jibraeil Utartey Hain Apne Rabb Ke Huqm Se, Har Kaam Ke Liye Woh Salamati Hai Subh Chamakney Tak.
(Al Qur’an : Parah 30, Sutarul Qadr
Faizane Ramazan (Hindi) , Maktabatul Madina-Hind, Safha 283)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Ubada bin Samit  رضي الله تعالٰی عنه Ne Sarkar-E-Madina صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ki Khidmat-E-Ba-Barakat Me Shab-E-Qadr Ke Baarey Me Suwal Kiya Toh Sarkar-E-Madina صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :-
“Shab-E-Qadr Ramzanul Mubarak Ke Aakhiri Asharey Ki Taaq Raaton Yani Ikkiswi (21), Teiswi (23), Pachchiswi (25), Sattaiswi (27) Ya Untiswi (29) Shab Ya Ramazan Ki Aakhiri Shab Me Hai. Toh Jo Koi Iman Ke Saath Ba Niyyate Sawab Is Mubarak Raat Me Ibadat Karey,
Uske Tamam Guzashta Gunaah Bakhsh Diye Jaatey Hain."
(Musnad Imam Ahmad, Jild 8, Safha 414, Hadees 22829
Faizane Ramazan (Hindi) , Maktabatul Madina-Hind, Safha 304)
Nazarahmed Khan (Admin)

World's Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat Wal Jama'at. Learn Islam And Sunnah Quran Wa Islamic Hadees In Roman Urdu. Hadees E Nabwi Collection. Hadith Online. Sahih Bukhari Muslim Ibne Maja Nasai Abu Dawood Hadees Sharif Books. facebook instagram twitter android

Assalamo Alaikum,
Aapke Feedback Ya Queries Muze Email Kare.
HumareNabi@gmail.com
Har Comments Ka Jawab Dena Possible Nahi Hota.
Muafi Chahta Hun.
Dua Ki Guzarish.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post