Muharram

Huzoor Ne Kiya Apne Bete Ko Imaam Hussain Par Qurban

Ek Martaba Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ke Dahiney Zanu Par Hazrate Imam Hussain رضي الله تعالٰی عنه Aur Baayein Par Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ke Shehzade Hazrate Ibrahim رضي الله تعالٰی عنه Baithey The. 
Hazrate Jibraeil عليه السلام Ne Hazir Ho Kar Arz Ki:
In Dono Ko Khuda عزوجل Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ke Paas Na Rakhega. Ek Ko Ikhtiyaar Farma Lijiye. 
Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Imam Hussain رضي الله تعالٰی عنه Ki Judaai Gawara Na Farmayi.
Teen (3) Din Ke Baad Hazrate Ibrahim رضي الله تعالٰی عنه Ka Inteqal Ho Gaya. 
Is Waqiye Ke Baad Hazrate Imam Hussain رضي الله تعالٰی عنه Jab Bhi Hazir Hotey Toh Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Bosey Lete Aur Farmatey ”Aise Ko Marhaba Jis Par Meine Apna Beta Qurban Kiya”
Aap صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Farmatey Hain Ki “Yeh Dono Mere Betey Aur Meri Beti Ke Betey Hain. ILahi Mein In Ko Dost Rakhta Hoon, Tu Bhi Inhein Dost Rakh Aur Usey Dost Rakh Jo Inhein Dost Rakhey.
Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Batool Zahra رضي الله تعالٰی عنها  Se Farmatey : “Mere Dono Beton Ko Laao, Phir Dono Ko Soonghtey Aur Seena-E-Anwar Se Laga Lete”
(Tareekh Baghdad : Jild 2, Safha 200
Sunan Tirmizi : Al Hadees : 3797, Jild 5 , Safha 428
Sunan Tirimizi : Al Hadees : 3793, Jild 5 , Safha 428
Aaina-E-Qiyamat (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha 14)
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!