Hadees-E-Nabwi

Tayammum Ka Bayan Hadees Ke Hawale Se

Bukhari Shareef Me Aayate Tayyamum Ki Shaane Nuzool Jo Mazqoor Hai Woh Yeh Hai Ki Hazrate Bibi Aisha Siddiqah رضي الله تعالٰی عنها Ka Bayan Hai Ki Hum Log Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ke Saath Ek Safar Me The.
Jab Hum Log Maqaame “Baida’a” Ya Maqame “Zaatul Jaish” Me Pahonchey Toh Mera Haar Toot Kar Kahin Gir Gaya Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Aur Kuch Log Us Haar Ki Talaash Me Wahan Theher Gaye Aur Wahan Paani Nahi Tha Toh Kuch Logo Ne Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالٰی عنه  Ke Paas Aa Kar Shikayat Ki, Ki Kya Aap Dekhte Nahi Ki Hazrate Aisha Siddiqah رضي الله تعالٰی عنها  Ne Kya Kiya? Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Aur Sahaba رَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم  Ko Yahan Thehra Liya Hai Halaan Ki Yahan Paani Maujood Nahi Hai. 
Yeh Sun Kar Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالٰی عنه  Mere Paas Aaye.  Khuda Ne Chaha Unhone Mujhe (Sakht Wa Sust) Kaha Aur Phir (Gussey Me) Apne Haathon Se Meri Kokh Me Koncha Maarney Lagey Us Waqt Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Meri Raan Par Apna Sarr-E-Mubarak Rakh Kar Aaram Farma Rahe The Is Wajah Se (Maar Khaane Ke Ba Wajood) Mein Hil Nahi Sakti Thi. 
Subah Ko Jab Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Bedaar Hue Toh Wahan Kahin Paani Maujood Hi Nahi Tha. Tab Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Par Tayyamum Ki Ayat Naazil Ho Gayi Chunanchey Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Aur Tamam Ashaab Ne Tayyamum Kiya Aur Namaze Fajr Adaa Ki.
Is Mauqey Par Hazrate Usaid bin Huzair رضي الله تعالٰی عنه  Ne (Khush Ho Kar) Kaha Ki Ae Abu Bakr Ki Aal ! Yeh Tumhari Pehli Hi Barakat Nahi Hai. Phir Hum Logo Ne Oont Ko Uthaya Toh Uske Nichey Hum Ne Haar Ko Paa Liya.
(Sahih Al Bukhari, Kitab’ul’Taymum, Baab Al Taymum, Al Hadith 334, Jild 1 , Safha 133
Seerat-E-Mustafa صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم (Hindi), Maktabatul Madina – Hind, Safha 320-321)
Jung-E-Badr Ke Qaidiyon Me Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ke Damad Abul Aas bin Arbi’a Bhi The. Yeh Hala bint Khuwailad Ke Ladke The Aur Hala Hazrate Bibi Khadija رضي الله تعالٰی عنها Ki Haqeeqi Behen Thi. Isliye Hazrate Bibi Khadija  رضي الله تعالٰی عنها  Ne Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Se Mashwara Le Kar Apni Beti Hazrate Zainab رضي الله تعالٰی عنها  Ka Abul Aas bin Arbi’a Se Nikah Kara Diya.
Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Jab Nubuwwat Ka Elan Farmaya Toh Aap Ki Saahib Zaadi Ne Islam Qubool Kar Liya Magar In Ke Shauhar Abul Aas Musalman Nahi Hue Aur Na Hazrate Zainab رضي الله تعالٰی عنها Ko Apne Se Juda Kiya. 
Abul Aas Ne Hazrate Zainab رضي الله تعالٰی عنها Ke Paas Qasid Bheja Ki Fidiya Ki Raqm Bhej Dein. Hazrate Zainab رضي الله تعالٰی عنها Ko Un Ki Walida Hazrate Bibi Khadija  رضي الله تعالٰی عنها  Ne Jahez Me Keemti Haar Bhi Diya Tha. 
Hazrate Zainab رضي الله تعالٰی عنها  Ne Fidiye Ki Raqm Ke Saath Woh Haar Bhi Apne Galey Se Utaar Kar Madina Bhej Diya. 
Jab Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ki Nazar Us Haar Par Padi Toh Hazrate Bibi Khadija رضي الله تعالٰی عنها   Aur Un Ki Mohabbat Ki Yaad Ne Qalb-E-Mubarak Par Aisa Riqqat Angez Asar Dala Ki Aap Ro Padey Aur Sahaba رَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم  Se Farmaya Ki 
“Agar Tum Logo Ki Marzi Ho Toh Beti Ko Us Ki Maa Ki Yaadgaar Wapas Kar Do”
Yeh Sun Kar Tamam Sahaba-E-Kiraam رَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم  Ne Sare Tasleem Kham Kar Diya Aur Yeh Haar Hazrate Bibi Zainab رضي الله تعالٰی عنها Ke Paas Makkah Bhej Diya Gaya.
(Sunan Abu Dawud  : Hadees 2692
Book ref : 15, Hadees 216
Eng ref. : Book 14, Hadees 2686
(Al-Seerat’ul’Nabuwat La bin Hashaam, Zikr Rauya atkaat, Alq Safha 270
Seerat-E-Mustafa صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha 240-241)
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

3 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!