Hadees-E-Nabwi

Jameul Quran Hazrate Usman Ibne Affan Radiallahu Anhu

Hazrate Usman رضي الله تعالٰی عنه Ka Ek Laqab “Jame’ul Quran” Bhi Hai. Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالٰی عنه  Ne Apney Ahad Me Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Umar Farooq-E-Aazam رضي الله تعالٰی عنه  Ke Mashware Se Mutafarriq Maqamaat Se Quran-E-Paak Ke Tamam Sahaif Jama Kar Liye The, Magar Is Me Teen (3) Kaam Baaki The.
Jama Kiye Gaye Sahaif Ko Ek Musahaf Me Naql Karna,
Phir Ek Musahaf Ke Mukhtalif Nuskhe Islami Mumalik Ke Badey Badey Shehron Me Taqseem Karna Aur
Sab Lahja-E-Quraish Par Padhney Ka Huqm Dena.
Yeh Teeno (3) Kaam Allahعزوجل Ne Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Usman Ghani رضي الله تعالٰی عنه Se Liye Aur Quran-E-Azeem Ka Jama Karna Wa’da-E-ILahiyya Ke Mutabeeq Tam’m Wa Kaamil (Yani Muqammal) Huwa.
Isliye Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Usman Ghani رضي الله تعالٰی عنه  Ko “Jame ul Quran” Kehte Hain.
Ref.
(Sahih Bukhari : Hadees 7191
Book 93, Hadees 53
Eng ref. : Vol. 9, Book 89, Hadees 301
Sahih Bukhari : Hadees 4987
Book 66, Hadees 9
Eng ref : Vol. 6, Book 61, Hadees 510
Fatawa Razawiyya : Jild 26, Safha 452,
Faizane Siddiq-E-Akbar  رضي الله تعالٰی عنه  (Hindi) ,  Maktabatul Madina-Hind : Safha 417 Mulakkhasan
Shaan-E-Usman-Ghani  رضي الله تعالٰی عنه  (Hindi) : Safha 9)

Hazrate Usman Ghani رضي الله تعالٰی عنه  Ka Ek Aur Laqab Mujah’haz-O-Jaisheel U’srah Bhi Hai, Jis Ka Maana Hai “Tangi Wale Lashkar Ki Maali Mua’wanat Karne Wala”.
Jung-E-Tabuk Ke Muaqey Par Jo Islami Lashkar Tayyar Huwa Tha Usey Jaish Ul U’srah Kaha Jata Hai Kyun Ki Jung-E-Tabuk Nihayat Hi Dushwar Maqaam Aur Shadeed Garmi Ke Mausam Me Huwa.
Hazrate Sayyeduna Abdur Rehman bin Khabbab رضي الله تعالٰی عنه  Se Marwi Hai Ki Mein Baargah-E-Nabawi  صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Me Hazir Tha Aur Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم  Sahaba-E-Kiraam رَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم  Ko Jaisheel U’srah (Gazwa-E-Tabuk) Ki Tayyari Ke Liye Targheeb Irshaad Farma Rahe The. Hazrate Sayyeduna Usman bin Affan  رضي الله تعالٰی عنه  Ne Uth Kar Arz Ki : Ya Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Palan Aur Deegar Muta’lliqa Saman Samet Sau (100) Oont Mere Zimmey Hain.
Huzoor صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ne Sahaba-E-Kiraam رَضَیِ اللہُ تَعَالٰی عَنْھُم Se Phir Targheeban Farmaya. Toh Hazrate Sayyeduna Usman Ghani رضي الله تعالٰی عنه  Dobara Khadey Huwey Aur Arz Ki : Ya Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Mein Tamam Saman Samet Do Sau (200) Oont Hazir Karne Ki Zimmedari Leta Hoon.
Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم  Ne Sahaba-E-Keeram Se Phir Se Targheeban Irshad Farmaya Toh Hazrate Sayyeduna Usma Ghani رضي الله تعالٰی عنه  Ne Arz Ki : Ya Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Mein Me M’a Saman Teen Sau (300) Oont Apney Zimmey Qubool Karta Hoon.
Yeh Sun Kar Pyaare Aaqa صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Bahot Khush Huwey. Isliye Aap رضي الله تعالٰی عنه  Ko Mujah’haz-O-Jaisheel U’srah Yaani Tangi Wale Lashkar Ki Maali Mua’wanat Karne Wala Kehte Hain.
Ref.
(Jami’a Tirmizi : Jild. 1, Kitab 46, Hadees 3700
Arabic ref. : Kitab 49, Hadees 4065
Shaan-E-Usman-Ghani  رضي الله تعالٰی عنه (Hindi), Maktabatul Madina-Hind,  Safha : 10)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
                 Hamare Nabi
          www.hamarenabi.in
      World’s Best Islamic Blog
         Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!