Muharram

Khaaq-E-Karbala: Imaam Hasan Radiallahu Anhu Ki Khilafat

Post: 5
Aap Ka Isme Mubarak Hasan Aur
Qunniyat Abu Muhammad Hai Aur Alqab Sibt-E-Akabr, Haleem, Kareem, Jhahid Aur Tayyeb Hai…
Aap Ki Wiladate Ba Sa’adat 15 Ramzan Ul Mubarak san 3 Hijri SehSambah Ke Roz Hui. Jab Sayyed Ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ko Jab Apne Nawase Ki Wiladat Ki Ittelah Mili To Khusi Wa Musarrat Se Hazrat Fatema Ke Ghar Tasrif Laye Aur Farmaya….
Beti Mere Bachche Ko Mujhe Dikhao Sher-E-Khuda ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Sahezade Ko Rahemat-E-Aalam ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ki Jholi Me Daal Diya Kamli Wale Aaqa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya Aye Ali Is Bachche Ka Kya Naam Rakkha Hai Sher-E-Khuda Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Is Ka Naam To Iske Nana Jaan Hi Rakkhenge…
Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne
Farmaya Is Bachche Ka Naam Khuda
Rakhega Pas Hazrat Jibrail ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Hazir Hue Aur Arz Ki Ya RasoolAllah ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Allah Ta’ala Is Bachche Ki Wiladat Ki Aap Ko Mubarakbaad Deta Hai Aur Farmata Hai Ki Is Ka Naam Hazrat Haroon ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ke Ladke Ke Naam Par SABBAR Rakkha Jaye Jis Ke Ma’ani Hasan Hai…. Hazrat Haroon ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ke Ladke Ke Naam Par Is Liye Ki Sayyed Ul Mursaleen ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Hazrat Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Farmaya Tha Ki Aye Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Teri Nisbat Mere Saath Aisi Hai
Jaise Ki Musa ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ki Nisbat Hazrat Haroon ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ke Saath…

Tirmazi Sharif Jild 2 Page No. 571 Par
..Hai
🏻
Hazrat Abdullah Ibne Abbas ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Farmate Hai Ki Ek Din Huzur ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Hazrat-E-Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Apne Kandho Par Uthaye Hue Bahar Tasrif Laye To Ek Gulam Ne Dekh Kar Arz Ki…
Aye Sahezaade ! Jis Sawari Pa Tu Sawar Hai Woh Kitni Acchi Hai To Nabi-E-Kareem ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Farmaya Sawar Bhi To Accha Hai ….

✒ Tirmazi Sharif Jild 2 Page No. 218 Par
…Hai
🏻
Hazrat Abu Baqr Siddiq ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ
Farmate Hai Ki Huzoor ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ek Din Mimbar Par Khade Hue Hazrat Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Paas Khada Kar Ke Farmaya Ki Mera Beta Hasan Sayyed Hai Sardar Hai Jis Ke Haatho ALLAH Ta’ala Muslmano Ki Do Jama’ato Ke Darmiyan Sulah Karayega….
Chunache Imam Ul Muttaqin Hazrat Ali ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Sahadat Ke Baad Jab Hazrat Hasan Muslamano Ke Ittefaq Se Khalifa Bane To Ahele Kufa Ne Aap Ke Daste Haq Parast Par Bai’ath Ki Lekin Saath Hi Us Waqt Ke Kuch Dushmanane Ahele Bait Ne Un Ke Mutalliq Sharmnaak Aur Tauhin Aamez Raweesh Ikhtiyaar Kar Li Chunache Aise Haalat Paida Kar Diye Gaye Ki Kareeb Tha Ki Muslamano Ke Do Giroh Ke Darmiyaan Aisi Khatrnaak Jang Chid Jaye Ki Jis Se Na Sirf Ye Ki Muslamano Ka Qatle Aam Ho Balki Islam Ki Buniyado Ko Bhi Nuqsan Pahuche …
Chunache Usi Haalat Ke Pesh-E-Nazar
Hazrat Imam Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne 6 Maah Aur Chand Din Ke Baad Badi Hi
Hiqmate Amli Aur Farasate Imamat Se
Kaam Lete Hue Hazrat Ameer Mua’awiyah ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Se In Sara’it (Jo Agli Qist Me Aayege) Par Sulah Kar Ke Apne Nana Mustafa ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ke Ilm-E-Gaib Par Muhare Tasdiq Sabt Kar Di Jis Ke Mutaliiq Nabi-E-Kareem ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ne Kayi Saal Pahele Hi Farmaya Tha Ki Is Mere Bachche Hasan Ke Haatho Par Allah Talah Muslamno Ki Do Jama’ato Me Sulah Karayega.

Hazrat Imam Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne 6 Maah Aur Chand Din Ke Baad Badi Hi
Hiqmate Amli Aur Farasate Imamat Se
Kaam Lete Hue Hazrat Ameer Mua’awiyah ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Se In Sara’it Par Sulah Kar Li 🏻
1. Hazrat Ameer Mua’awiya ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Khilafat Ke Baad Khalifa Phir Hazrat Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Honge…
2. Hazrat Ameer Mua’awiya ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ 100000 Dirham Salana Hazrat Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Ada Karte Rahege…
3. Ahele Madina Wa Iraq Me Hazrat Ali
ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Zamane Ke Mutalliq
Kisi Sakhs Se Bhi Koi Muwakhizah Wa
Mutalibah Na Kiya Jaye…
4. Ahele Baite At’haar Ki Izzat Wa Aabru Aur Jaan-O-Maal Ki Hifazat Ki Jaye…

Hazrat Ameer Mua’awaiyah ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne ye Tamam Sharte Manzoor Kar Li Aur Sulah Ho Gayi Magar Us Waqt Ke Kuch Muhibbane Ahle Bait Ko Imam Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Hazrat Ameer Mua’awiyah ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Haq Me Dastbardaar Ho Jana Bahut Hi Na Gawar Guzra Aur Unho Ne Tarah Tarah Ki Nuktachinya Ki Aur Isharo
Isharo Me Narazgi Ka Izhar Bhi Kiya Aur
Sayad Maujooda Daur Ke Kuch Muslaman Bhi Unhi Logo Ke Naqsh-E-Kadam Par Chalte Hue Hazrat Imam Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Is Husn-E-Amal Ko Acchi Nigah Se Nahi Dekhte Haalaki Hazrat Hasan ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Muslmano Ki Do Jama’ato Ko
Khaufnaak Jang Se Bachane Ke Liye Islam Ki Buniyado Ko Kayam Rakne Ke Liye Aur Deen Me Fitna Wa Fasad Rokne Ke Liye Ye Ek Bahut Badi Qurbani Thi Aur Ek Bahut Badi Sakhawat Thi Is Liye Ki Woh Duniya Ke Kisi Saltanat Ke Huqmran Nahi The Balki Woh Khilafate Islam Ke Alambardaar The. Aur Huqmat-E-Ilahiya Ke Masnad Naseen The…
Woh Khalifatul Muslemin Bhi The Aur Ameer Ul Momineen Bhi Is Liye woh Nahi Chahate The Ki Duniya Ki Huqmrano Ki Tarah Apni Khilafat Ko Qayam Rakhne Ke Liye Muslmano Ka Qatle Aam Karaye Deen Me Fitna-O-Fasad Barpa Ho Ye Thiq Hai Ki Aap Ko Zaher Diya Gaya Aur Aap Ki Wafat Ka Sabab Bhi Yahi Tha Lekin Ye Sahi Nahi Hai Ki Zaher Dene Me Hazrat Ameer Mua’awiya ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Haath Tha Ya Un Ki Saajis Thi Aur Na Hi Ye Durust Hai Ki Zaher Un Ki Biwi Hazrat Jadah Binte Asa’at Ne Diya…

Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
Talib-E-Dua:
Muhammad Imran Razvi

ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!