Muharram

Khaaq-E-Karbala: Imam Hussain Radiallahu Anhu Ka Karbala Pohochna

Part: 12
Jis Din Hazrat Muslim ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Kufa Me Sahadat Paai Usi Din Hazrat Imam Hussain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Makka Muqrrama Se Kufa ke Liye Nikale Aur Sahadat Gaah-E-Ishq-O-Muhabbat Ki Taraf Kadam Badhaya Is Se Pahele Aap Yazeed Ke Bad Irado Aur Us Ke Fisq Wa Fujoor Aur Batil Parasrti Ki Khabare Sun Kar Darbaare Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ko Chod Kar Makka Tashrif Le Aaye Aur Phir Namoos-E-Risalat Ka Ye Noorani Qafila Bade Hi Sabr Wa Sukoon Ke Saath Ziqr-E-Ilahi Karta Hua Aage Badhta Gaya Aur Manzil Kareeb Aati Gayi Yahan Tak Ki Qafila Makam-E-Safah Me Pahuch Gaya Kheme Nasab Kar Diye Gaye Aur Phir Zohar Ki Namaz Ke Liye Wuzu Kar Ke Qafila-E-Salar Ki Imamat Me Sar Basujood Ho Gaya Imam E Paak ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ 
Namaz Se Farig Hue To FARJOOK SAAYAR Se Mulakat Hui Jo Ki Kufa Se Aa Raha Tha Aur Muhib-E-Ahle Bait Tha ….
Aap Ne Farjook Se Kufawalo Ka Haal
Daryaaft Kiya Farjook Ne Jawab Diya Aaqa Kufawalo Ke Dil Aap Ke Saath Hai Magar Talware Yazeed Ke Saath Hai Is Liye Mai Iltijaah Karta Hu Ki Aap Kufa Jaane Ka Irada Tark Kar Ke Wapas Chale Jaye Kahi Aisa Na Ho Ki Aap Ko Koi Taqleef Pahuche Aap Ne Farmaya….
“Farjook Tumhare Is Mashware Ka Sukriya Magar Mere Woh Kadam Jo ALLAH Ki Raah Me Aage Badh Chuke Hai ab Piche Ha’t Nahi Sakte”
Imam Aali Makam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne
Apne Sathiyo Ko Aage Badne Ka Huqm Diya Aur Ahele Baith Ka Qafila Makam Safah Se Bhi Aage Rawana Ho Gaya Tauheed Wa Risalat Ki Sadaye Buland Karta Hua Ye Karwan Aage Badhta Gaya Ki Raaste Me TARAH BIN ADI Se Mulaqat Hui Jo Kufa Se Hi Aa Raha Tha Us Ne Ghode Se Utar Kar Nawasa-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Kadmo Ko Bosa Diya ….

Imam Aali Makam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Us Se Bhi Iraqwalo Ke Irade Ke Mutalliq Pucha Us Ne Bhi Jawab Diya Ki Aye Sayyeda Ke Laal Mai Ne Qadsiya Ke Makam Par Ek Bahut Bada Lashakar-E-Jarrar Dekha Hai. Jo Sirf Aap Se Ladne Ke Liye Tayyar Khada Hai. Aur Aap Ke Saath To Parda Daar Khawateen Aur Seerkhwaar Bachcche Hai Khuda Ka
Wasta De Kar Darkhast Karta Hu Ki Yahan Se Ek Kadam Bhi Aage Na Jaye Warna Dar Hai Ki Aap Kisi Musibat Me Giraftaar Na Ho Jaye Aur Agar Aap Kisi Ayesi Jagah Jana Chahte Hai Ki Jahan Dusmano Ka Koi Khauf Na Ho To Mere Saath Chale Aaye Mai Aap Ko Kisi Mahefooz Makam Par Le Chalta Hu
Aur Phir Ek Do Din Me ADI QABILA Ke 20000 Bahadooro Ki Talware Aap Ki Hifazat Ke Liye Tayyar Ho Jayengi Magar Us ALLAH Ke Sher Ne TARAH BIN ADI Ki Darkhwast Ko Bhi Ye Kahe Kar Radd Kar Diya Ki Allah Ki Raah Me
Jaan Dene Se Darna Kufr Hai Aur Phir Imam Aali Makam Ne Qafile Ko Aage Chalene Ka Huqm Diya Aur Phir Itrate Paigambar ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ka Ye Muqaddas Qafila bade Hi Aizaz-O-Inkesaari Ke Saath Taswwoor-E-Yaar Me Gardane Jhukye Aage Rawana Ho Gaya Yahan Tak Ki Saa’alba Ke Makam Par Khemazan Ho Gaya.
Saa’alba Ke Makam Par Baqar Asa’adi Aap Ki Khidamat Me Hazir Hua Woh Bhi Kufa Se Aa Raha Tha Us Ne Imam E Aali Makam Ke Pa’o Chume Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Us Se Bhi Kufa Walo Ka Haal Malum Kiya To Us Ne Bhi Arz Kiya Ki….
Ibne Ziyad Ne Umar Wa Sa’ad Ko Aap Ke
Qatl Ke Liye Rawana Kar Diya Hai Woh Ek Bhari Laskar Le Kar Qadsiya Me Utar Chuka Hai Aur Aap Ka Muntazir Hai Is Liye Khuda Ke Liye Kufa Na Jaye. Kufawalo Ne Hazrat Muslim Aur Un Ke Dono Bachccho Ko Saheed Kar Diya Hai Agar Aap Wahan Gaye To Aap Ki Jaan Ko Bhi Khatra Hai….


Imam-E-Aali Makam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Us Ke Haq Me Dua Ki Aur Us Ki Iltejaah Bhi Ye Kahe Kar Qubool Na Ki Ki Ab Wapas Mud Kar Ali Ki Suja’at Ko Dhbba Nahi Laga Sakta….
Hazrat Muslim ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Aur Un Ke Dono Bachccho Ki Sahadat Ki Khabar Sun Kar Aisa Sadma Hua Ki Raat Usi Makam Par Basar Ki Hazrat Muslim Aur Un Ke Bachccho Ki Sahadat Ka Khayal Imam-E-Paak Ko Baar Baar Aa Raha Tha Ki Bhai Muslim Ne Apni Jaan Bhi De Di Aur Apni Umar Bhar Ki Kamayi Dono Bachccho Ko Bhi Mujh Par Qurbaan Kar Diya. Hazrat Muslim Ki Yateem Bachcchi Jo Is Safar Me Imam Aali Makam Ke Saath Thi Usko Baar Baar Dekhte Aur Us Ki Yateemi Ka Ahesas Kar Ke Aahe Bharte Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Bahut Koshish Ki Ki Bhai Aur Baap Ki Sahadat Ki Khabar Bachcchi Tak Na Pahuche Magar
Zabt Na Ho Saka Aur Beikhtiyaar Bachcchi Ko Gale Se Laga Liya Baar Baar Apna Dast-E-Safqat Us Ke Sar Par Pherte Woh Anjan Bachcchi Na Samaz saki Ki Aaj Bepanah Safqat Me Kya Raaz Hai…..
Bachcchi Ne Kayi Baar Chacha Imam Hussain Ke Chehere Paak Ko Dekha Aur Arz Ki,

Chacha Jaan Mere Abba Jaan Ki Khair To Hai? Aap Mujhe Aise Pyar Kar Rahe Hai Jaise Yateemo Ko Pyar Kiya Jata Hai Chacha Jaan Boliye To Sahi Ki Aap Ro Kyu Rahe hai Mere Abba To Khairiyat Se Hai?
Sayyeda Ke Laal Ne Imam Muslim ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ki Us Masum Bachcchi Ko Goad Me Utha Liya Aur Farmaya,
Haan!!! Tumhare Baap Sayyed
Hone Ka Haq Ada Kar Gaye Hai Aur Unhone Khandan Ki Laaj Rakh Li Hai Aur Duniya Ko Bata Gaye Hai Ki Deen Ke Mua’mle Me Jaan Koi Cheez Nahi Hai…..
Saari Raat Intehai Bechaini Aur Bekarari Ke Aalam Me Guzri Subah Hui To Namaz-E-Fajr Se Farig Hone Ke Baad Qafila Chalene Hi Wala Tha Ki Hoor Bin Riyahi Fauj Ke Daste Ke Saath Samne Aata Dikhai Diya Aur Phir Us Ne Fauj Ko Alahida Chod Kar Imam-E-Paak Ke Paas Kasid Bheja Aur Hazir Hone Ki Ijazat Chahi Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ ne Ijjazat De Di Hoor Bin Riyahi Tanha
Imam Husain Ki Khidmat Me Hazir Hua
Imam Husain Ne Farmaya Kaho Kyu Aaye Ho?
Hoor Ne Arz Ki Aaqa Umar Saad Ne Aap Ki Giraftaari Ke Liye Bheja Hai. Magar Khuda Woh Din Na Laye Ki Mai Aap Ki Gustakhi Kar Saku. Mai Aap Ko Maswara Deta Hu Ki Apne Baal Bachccho Samet Kisi Taraf Ko Nikal Jaye Meri Fauj Hargiz Aap Ka Rasta Nahi Rokegi Aap Ne Hoor Ke Liye Dua-E-Khair Farmayi.
Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Hoor Ke Liye Duae Khair Farmayi Zuhar Ki Namaz Ka Waqt Aagaya Ali Akbar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Azaan Kahi Hazrat Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Kheme Se Bahar Aaye Hoor Ko Mukhatab Kar Ke Farmaya Hoor Azaan ho Chuki Hai Aur Jama’t Tayyar Hai. Namaz Mere Piche Padhega Ya Akele???
Hazrat Sabbir Ki Awaz Ne Hoor Ko Sochne Pe Majboor Kar Diya Ki Agar Alahida Namaz Padhi To Hongi Nahi Is Liye Ki Imam-E-Barhaq Maujood Hai Aur Agar Piche Padh Li To Muqtadih Hone Ka Haq Ada Karna Padhega. Hoor Ye Soch Hi Raha Tha Ki Kya Karu Idhar Imam-E-Barhaq Ne Jama’t Suru
Kar Di Aur Abhi Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Ruku Nahi Kiya Tha Ki Hoor Ne Aa Kar Piche Is Imam Ke Kahe Kar ALLAHU AKABAR Kahe Diya …..
Isha Ki Namaz Ke Baad Hoor Ne Phir
Mulaqat Ki Aur Ibne Ziyad Ka Ek Khat Pesh Kiya Jis Me Likha Tha Ki Hussain Ibne Ali Ko Giraftaar Aur Qatl Karne Me Jarra Bhar Bhi Ta’amnul Na Kiya Jaye Khat Padhne Ke Baad Aap Ne Farmaya To Ab Kya Chahte Ho?
Arz Ki Aaqa Mai Khandaan-E-Ahle Bait Ka Gulam Hu Mujh Se Aap Be Fiqr Rahiye Aur Mai Aap Se Phir Iltijah Karta Hu Aage Na Jaye.
Fatema Ke Laal Ne Hoor Ki Ye Baat Ye
Kahe Kar Radd Kar Di Ki Haq Wa Sadaqat Ki Raah Me Jaan Bacha Kar Bhagna Khandan-E-Nabuwat Ki Tauhin Hai. Hoor Na Ummid Ho Kar Chala Gaya Aur Imam Husain Ne Qafile Ko Aage Chalne Ka Huqm Diya ….
Raat Kafi Ho Chuki Ho Thi Imam Husain Ko Kuch Pata Nahi Ki Kahan Ja Rahe Hai Aur Kis Taraf Ko Ja Rahe Hai Subah Hui To Imam-E-Aali Makam Ke Ghode Ne Ek Makam Par Apne Kadam Gaad Diye Imam Husain ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Ne Ghode Ko Aage Chalane Ki Bahut Koshish Ki Magar Us Ne Ek Kadam Bhi
Aage Nahi Badhaya Aur Phir Kisi Se Pucha Is Makam Ka Naam Kya hai?? Jawab Mila ….
!!!!!!!!!!! KARBALA !!!!!!!!!!!
Karbala Ka Naam Sun Kar Imam Husain Ne Qafile Ko Thahera Ne Ka Huqm Diya Aur Sawariyo Se Utar Jane Ka Irshad Farmaya Aur Farmaya Yahi Humari Aakhiri Manzil Hai. Aur Yahi Meri Sahadatgaah Hai Aur Yahi Woh Zamin Hai Jo Sayyedo Ke Khoon Se
Sairaab Hongi Aur Yahi Woh KHAKH-E-KARBALA Hai Jo Ahele Bait Ke Khoon Se Rangin Hongi Aur Phir Muhrram Ul Haram Ki 2 Tarikh 61 Hijri Ko Khandaan-E-Nabuwat Ka Noorani Gharana Karbala Ke Khooni Maidan Me Nahare Furat Ke Kinare Khemazan Ho Gaya.
Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
Talib-E-Dua:
Muhammad Imran Razvi
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!