Hadees-E-NabwiNikah

Mard Ko Mehendi Lagana Haram Hai

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله                
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ke Paas Ek Mukhannas (Hijda) Hazir Kiya Gaya Jis Ne Apney Haath Aur Paaon Mehendi Se Rangey Hue The.
Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Irshad Farmaya :- Is Ka Kya Haal Hai ? (Yani Is Ne Kyun Mehendi Lagayi Hai?)
Logo Ne Arz Ki :- Yeh Auraton Ki Naql Karta Hai.
Madani Aaqa صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Huqm Farmaya Ki ”Isey Sheher Badar Kar Do”
Lihaza Us Ko Sheher Badar Kar Diya Gaya. Madina-E-Munawwarah Se Nikal Kar ”Naqi’ ” Ko Bhej Diya Gaya.
Ref.
(Sunan Abu Dawud : Hadees 4928
Book ref : 43, Hadees 156 Eng ref. : Book 42, Hadees 4910)


Pyare Islami Bhaiyon!
Dekha Aapne ? Mukhannas Ne Auraton Ki Naql Ki Yani Haath Paaon Me Mehendi Lagayi Toh Hamare Pyaare Aaqa صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Us Se Kis Qadar Naraz Hue Ki Usey Sheher Badar Kar Diya.
Is Mubarak Hadees Se Hamare Woh Bhai Dars Hasil Karein Jo Shadi Ya Eidein Wagairah Ke Mauqey Par Apney Haathon Ya Ungliyon Par Mehendi Laga Liya Karte Hain. Aur Haan Jis Tarah Mardon Ko Auraton Ki Naql Jayez Nahi Usi Tarah Auratein Bhi Mardon Ki Naql Nahi Kar Sakti.
Jaisa Ki Hazrate Sayyeduna Ibne Abbas رضي الله تعالٰی عنه Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne La’nat Farmayi Janana Mardon Par Jo Aurton Ki Surat Banaye Aur Mardani Aurton Par Jo Mardon Ki Surat Banaye.
Ref.
(Al Musnad Al Imam Ahmad bin Hanbal : Hadees 2263)

Auraton Ko Haath Paaon Me Mehendi Lagana Jaiz Hai. Chotey Bachchon Ke Haath Paaon Me Mehendi Lagana Najayez Hai. Bachchiyon Ko Mehendi Laganey Me Harz Nahi.
Ref.
(Durre Mukhtar, Kitaab ul Libaas, Jild 9, Safha 599 Mulakkhasan
Sunnatein Aur Adaab (Hindi) Maktabatul Madina-Hind, Safha 79-80)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا… For Reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
         Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

2 Comments

  1. Assalamu Alaikum Shahwaz Shamim Sahab

    Hadeese Pak Me Mardo Ko Hath Aur Paun Me Mehendi Lagana Haram Hai Iska Zikr Hai. Na Ki Balo Me Mehendi Lagana Haram Hai. Balo Me Lagane Me Koi Harz Nahi. Baz Logo Me Nikah Me Dulhe Ke Hath Me Mehendi Lagate Hai Wo Haram Hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!