Hadees-E-Nabwi

Dua Ki Ahmiyat Quran Wa Hadees Ki Roshni Me

ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
● Dua Ki Ahmiyyat
Pyare Islami Bhaiyon ! Dua Jis Tarah Allahعزوجل Se Munajaat Karne, Us Ki Qurbat Hasil Karne, Us Ke Fazlo Inaam Ke Mustaheeq Hone Aur Bakhshish Wa Maghfirat Ka Parwana Hasil Karne Ka Nihayat Aasan Aur Mujarrab Zariya Hai. Isi Tarah Dua Allahعزوجل Ke Pyare Habib صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ki Sunnat, Us Ke Pyare Bando Ki Aadat Aur Dar Haqeeqat Ibadat Balki Maghz-E-Ibadat Aur Gunahgaar Bando Ke Haqq Me Allahعزوجل Ki Taraf Se Ek Bahot Badi Ne’mat Wa Sa’adat Hai.
Quran-E-Kareem Wa Ahadees Mubaraka Me Jagah Jagah Dua Maangney Ki Targheeb Dilayi Gayi Hai. Chunanchey, Dua Se Mutalliq Quran-E-Kareem Me Farmane Bari Ta’ala Hai :
Tarjuma-E-Kanzul Iman :
“Aur Tumhare Rabb Ne Farmaya Mujh Se Dua Karo Mein Qubool Karoonga Beshak Woh Jo Meri Ibadat Se Unchey Kheenchtey (Takabbur Karte) Hain An Qareeb Jahannum Me Jayenge Zaleel Ho Kar.”
(Al Qur’an : Parah:  24 , Al’Mominoon : 60)
Ek Maqaam Par Irshaad Farmaya :
Tarjuma-E-Kanzul Iman :
“Aur Aye Mehboob Jab Tum Se Mere Bandey Mujhe Poonchey Toh Mein Nazdeek Hoon Dua Qubool Karta Hoon Pukarney Wale Ki Jab Mujhe Pukarey Toh Unhein Chahiye Mera Huqm
Maaney Aur Mujh Par Imaan Laaye Ki Kahin Raah Paayein.”
(Al Qur’an :  Parah : 2 , Al’ Baqarah : 186)

Neez Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Kaseer Ahadees Mubaraka Me Baar Baar Dua Mangney Ki Targheeb Dilaayi Hai. Chunanchey Irshaad Farmaya :
“Dua Ibadat Ka Maghz Hai ”
Aur Na Maangney Ki Surat Me Rabbe Jaleel Ka Nihayat Sakht Huqm Bhi Sunaya :
“Jo Mujh Se Na Mangega Mein Us Par Ghazab Farmaonga”
● Aadab-E-Dua
Sadrul Afazeel Hazrate Allama Maulana Sayyed Mohammad Naeemuddin Muradabadi رحمة الله تعالي عليه  “Khazainul Irfan” Me Farmatey Hain :
Allah Ta’ala Bando Ki Duaaein Apni Rehmat Se Qubool Farmata Hai Aur Un Ke Qubool Ke Liye Chandd Shartein Hain :
◆ Ek Ikhlas (Dua Me)
◆ Doosri Yeh Ki Qalb Ghayr Ki Taraf Mashgool Na Ho.
◆ Teesri Yeh Ki Woh Dua Kisi Amre Mam’nu Na Ho
◆ Chauthi Yeh Ki Allah Ta’ala Ki Rehmat Par Yaqeen Rakhta Ho.
◆ Paanchwi Yeh Ki Shikayat Na Kare Ki Mein Ne Dua Maangi Qubool Nahi Hui.
Yeh Sharaait Naql Farmaney Ke Baad Sadrul Afazeel Farmatey Hain : Jab In Sharton Se Dua Ki Jaati Hai, Qubool Hoti Hai. Hadees Shareef Me Hai Ki Dua Karne Wale Ki Dua Qubool Hoti Hai Ya Toh Us Ki Muraad Duniya Hi Me Us Ko Jald De Di Jaati Hai Ya Aakhirat Me Us Ke Liye Zakheera Hoti Hai Ya Usse Uske Gunahon Ka Kaffara Kar Diya Jaata Hai
● Dua Ke Teen (3) Faayde
Shehenshahe Madina, Qarar-E-Qalbo Seena  صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ka Farmane Aalishan Hai :
Jo Musalman Aesi Dua Karey Jis Me Gunah Wa Qataye Rehmi Ki Koi Baat Shamil Na Ho Toh Allahعزوجل Usey Teen (3) Cheezon Me Se Koi Ek Zaroor At’aa
Farmata Hai :
1)Us Ki Dua Ka Nateeja Jald Hi Us Ki Zindagi Me Zaheer Ho Jata Hai.
2)Allahعزوجل Koi Musibat Us Bandey Se Door Farma Deta Hai.
3)Us Ke Liye Aakhirat Me Bhalayi Jama Kar Di Jaati Hai.
Ek Riwayat Me Hai Ki Banda Jab Aakhirat Me Apni Duaaon Ka Sawab Dekhega Jo Duniya Me Mustajaab (Yani Maqbool) Na Hui Thi Toh Tamanna Karega : Kaash ! Duniya Me Meri Koi Dua Qubool Na Hui Hoti.
Reference:
(Tirimizi : 5/243 , Hadees : 3382
Al Jama ul Sageer : Safha : 377 , Hadees : 6069
Tirimizi : 5/292 , Hadees : 3490
Islam Ki Buniyadi Baatein-Hissa 3 (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha :  333 – 335)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا…
Keep Visiting & Sharing: wwww.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
صلی اللہ علی النبی الامی واٰلہ صلی اللہ علیہ وسلم صلوة و سلاما علیك یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
Apne Duao Ke Chand Alfaz Is Nachiz Ke Naam Karna Na Bhoole.
Aapki Duao Ka Mohtaj:
Nazarahmed Khan

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!