Hadees-E-Nabwi

Khutba-E-Jumma Aur Sure Kahf Ki Fazilat

~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله تعالٰی عنه Se Rivayat Hai Ke
Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Jum’aa Ki Namaz Se Pehle 2 Khutbey Khadey Ho Kar Diya Karte Aur In Dono Ke Darmiyan Kuch Waqt Ke Liye Baitha Karte.
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke
Hazrate Jabir bin Samurah رضي الله تعالٰی عنه Se Riwayat Hai Ki
Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Jum’aa Ka Khutba Khadey Ho Kar Diya Karte Aur Phir Kuch Waqt Ke Liye Baith Jaatey Aur Phir Khadey Ho Kar Khutba Dete.
Agar Koi Tum Se Yeh Kahe Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Baith Kar Khutba Diya Karte Toh Woh Jhoot Hai.
Allahعزوجل Ki Ataa Se Meine Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ke Pichey Do Hazar Se Zyada Namazein Adaa Ki Hai.
References:
(Sahih al-Bukhari : Hadees 928
Book : 11, Hadees
Eng ref. : Vol. 2, Book 13, Hadees 50)
(Sunan Nasai : Book 14, Hadees 53
Eng ref. : Vol. 2, Book 14, Hadees 1417
Arabic ref. : Book 14, Hadees 1427)
(Sunan Ibne Majah :
Eng ref. Vol. 1, Book 5, Hadees 1103
Arabic ref. : Book 5, Hadees 1157)
(Sahih Muslim : Hadees 862
Book ref. : 7, Hadees 46
Eng ref. : Book 4, Hadees 1876)


● Suratul Kahf Ki Fazeelat:
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki
Hazrate Sayyeduna Abdullah Ibne Umar رضي الله تعالٰی عنه Se Marwi Hai Ki
Nabi-E-Rehmat,
Shafi-E-Ummat,
Taajdar-E-Risalat Ka
Farmane Ba Azmat Hai:
”Jo Shakhs Jum’aa Ke Roz Suratul Kahf Padey Us Ke Qadam Se Aasman Tak Noor Buland Hoga Jo Qiyamat Ko Us Ke Liye Roshan Hoga Aur Do Jum’aa Ke Darmiyan Jo Gunah Huwey Hain Baksh Diye Jayenge.”

● Dono Jum’aon Ke Darmiyan Noor:
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ki
Hazrate Sayyeduna Abu Saeed Khudri رضي الله تعالٰی عنه Se Marwi Hai Ki
Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ka Farmane Aalishan Hai :- ”Jo Shakhs Baroze Jum’aa Suratul Kahf Padey Us Ke Liye Dono Jum’aon Ke Darmiyan Noor Roshan Hoga.”
References:
(At-Targhib Wat-Tarheeb : Jild 1, Safha 298 , Hadees 2)
(Sunan Al Kubra Bayhaqi : Jild 3, Safha 353, Hadees 5996)
(Faizane Jum’aa ( Hindi ), Maktabatul Madina-Hind, Safha : 15-16)

ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:             
                  www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )

صلی اللہ علی النبی الامی واٰلہ صلی اللہ علیہ وسلم صلوة و سلاما علیك یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!