Hadees-E-Nabwi

Waldain Ki Khidmat Jannat Ka Sabab Hai

Waldain Ki Khidmat Jannat Ka Sabab Hai
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
Waliden Ka Apni Aulaad Par Kitna Haq Hai
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Abu Umamah رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hain Ki Ek Aadmi Aaya Aur Us Ne Arz Kiya :
“Ya Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  ! Walidein Ka Apni Aulaad Par Kitna Haqq Hai?
Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم  Ne Irshaad Farmaya :
Woh Dono Teri Jannat (Bhi) Hain Aur Dozakh (Bhi) Hain.
(Ya’ni Un Ki Khidmat Kar Ke Jannat Haasil Kar Lo Ya Na-Farmani Kar Ke Dozakh Ke Mustahiq Ho Jaao).”
Reference
(Sunan Ibn Majah : Hadees 3662)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Hazrate Sayyeduna Jabir رضي الله تعالٰی عنه Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Irshaad Farmaya :
“Tamam Nabiyon Ko Mere Huzoor Pesh Kiya Gaya Aur Hazrat Moosa Duble Hain Jaise Ke Woh Koi Mard Shanu’ah Se Hain. Aur Meine Hazrat Isa Ibn Maryam Ko Dekha Aur Logo Me Sab Se Qareeb Shaklo Surat Me Urwah bin Mas’ud Hain. Aur Meine Hazrat Ibrahim Ko Dekha Aur Logo Me Sab Se Qareeb Shaklo Surat Me Tumhara Yeh Saathi Hai (Yani Khud Rasool Allah صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم) Aur Meine Jibraeil Ko Dekha Aur Logo Me Sab Se Qareeb Shaklo Surat Me Dihyah Ibn Khalifah Al-Kalbi Hain (Yaani Aap Inki Shaklo Surat Me Zameen Par Nazil Hua Karte The.”
Reference:
(Jamia Al Tirmizi : Hadees 4010
Eng ref. : Vol. 1, Book 46, Hadees 3649
Arabic ref.  : Hadees 4010)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:             
                  www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
صلی اللہ علی النبی الامی واٰلہ صلی اللہ علیہ وسلم صلوة و سلاما علیك یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!