Hadees-E-Nabwi

Dua Ki Fazilat Quran Wa Hadees Ke Hawale Se

~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
● Dua Ki Ahmiyyat
Pyare Islami Bhaiyon ! Dua Jis Tarah ALLAH Azwazal Se Munajaat Karne, Us Ki Qurbat Hasil Karne, Us Ke Fazlo Inaam Ke Mustaheeq Hone Aur Bakhshish Wa Maghfirat Ka Parwana Hasil Karne Ka Nihayat Aasan Aur Mujarrab Zariya Hai. Isi Tarah Dua ALLAH Azwazal Ke Pyare Habib Sallallahu Alaihi Wasallm Ki Sunnat, Us Ke Pyare Bando Ki Aadat Aur Dar Haqeeqat Ibadat Balki Maghz-E-Ibadat Aur Gunahgaar Bando Ke Haqq Me ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Ki Taraf Se Ek Bahot Badi Ne’mat Wa Sa’adat Hai. Quran-E-Kareem Wa Ahadees Mubaraka Me Jagah Jagah Dua Maangney Ki Targheeb Dilayi Gayi Hai. Chunanchey, Dua Se Mutalliq 
Quran-E-Kareem Me Farmane Bari
Ta’ala Hai :
Tarjuma-E-Kanzul Iman :
“Aur Tumhare Rabb Ne Farmaya Mujh Se Dua Karo Mein Qubool Karoonga Beshak Woh Jo Meri Ibadat Se Unchey Kheenchtey (Takabbur Karte) Hain An Qareeb Jahannum Me Jayenge Zaleel Ho Kar.”
(Al Qur’an : Parah: 24 , Al’Mominoon : 60)
Ek Maqaam Par Irshaad Farmaya :
Tarjuma-E-Kanzul Iman :
“Aur Aye Mehboob Jab Tum Se Mere Bandey Mujhe Poonchey Toh Mein Nazdeek Hoon Dua Qubool Karta Hoon Pukarney Wale Ki Jab Mujhe Pukarey Toh Unhein Chahiye Mera Huqm Maaney Aur Mujh Par Imaan Laaye Ki Kahin Raah Paayein.”
(Al Qur’an : Parah : 2 , Al’ Baqarah : 186)
Neez Nabi-E-Kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﻲ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺍﻟﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ne Kaseer Ahadees Mubaraka Me Baar Baar Dua Mangney Ki Targheeb Dilaayi Hai. Chunanchey Irshaad Farmaya :
“Dua Ibadat Ka Maghz Hai”
Aur Na Maangney Ki Surat Me Rabbe Jaleel Ka Nihayat Sakht Huqm Bhi Sunaya :
“Jo Mujh Se Na Mangega Mein Us Par
Ghazab Farmaonga”
● Aadab-E-Dua
Sadrul Afazeel Hazrate Allama Maulana
Sayyed Mohammad Naeemuddin
Muradabadi ﺭﺣﻤﺔ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻲ ﻋﻠﻴﻪ “Khazainul Irfan” Me Farmatey Hain :
ALLAH Ta’ala Bando Ki Duaaein Apni Rehmat Se Qubool Farmata Hai Aur Un Ke Qubool Ke Liye Chandd Shartein Hain :
◆ Ek Ikhlas (Dua Me)
◆ Doosri Yeh Ki Qalb Ghair Ki Taraf
Mashgool Na Ho.
◆ Teesri Yeh Ki Woh Dua Kisi Amre
Mam’nu Na Ho
◆ Chauthi Yeh Ki ALLAH Ta’ala Ki Rehmat Par Yaqeen Rakhta Ho.
◆ Paanchwi Yeh Ki Shikayat Na Kare Ki Mein Ne Dua Maangi Qubool Nahi Hui. Yeh Sharaait Naql Farmaney Ke Baad Sadrul Afazeel Farmatey Hain :
Jab In Sharton Se Dua Ki Jaati Hai, Qubool Hoti Hai. Hadees Shareef Me Hai Ki Dua Karne Wale Ki Dua Qubool Hoti Hai Ya Toh Us Ki Muraad Duniya Hi Me Us Ko Jald De Di Jaati Hai Ya Aakhirat Me Us Ke Liye Zakheera Hoti Hai Ya Usse Uske Gunahon Ka Kaffara Kar Diya Jaata Hai

● Dua Ke Teen (3) Faayde:
Shehenshahe Madina, Qarar-E-Qalbo Seena ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺍﻟﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ka Farmane Aalishan Hai :
Jo Musalman Aesi Dua Karey Jis Me Gunah Wa Qataye Rehmi Ki Koi Baat Shamil Na Ho Toh ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Usey Teen (3) Cheezon Me Se Koi Ek Zaroor At’aa Farmata Hai :
1)Us Ki Dua Ka Nateeja Jald Hi Us Ki
Zindagi Me Zaheer Ho Jata Hai.
2)ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Koi Musibat Us Bandey Se Door Farma Deta Hai.
3)Us Ke Liye Aakhirat Me Bhalayi Jama Kar Di Jaati Hai.
Ek Riwayat Me Hai Ki Banda Jab Aakhirat Me Apni Duaaon Ka Sawab Dekhega Jo Duniya Me Mustajaab (Yani Maqbool) Na Hui Thi Toh Tamanna Karega : Kaash ! Duniya Me Meri Koi Dua Qubool Na Hui Hoti.
(Tirimizi : 5/243 , Hadees : 3382
Al Jama ul Sageer : Safha : 377 , Hadees :
6069)
(Tirimizi : 5/292 , Hadees : 3490
Islam Ki Buniyadi Baatein-Hissa 3 (Hindi),
Maktabatul Madina-Hind, Safha : 333 – 335)
Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :
“Dua Momeen Ka Hathiyaar, Deen Ka Stuoon Aur Zameeno Aasman Ka Noor Hai.”
(Mustadrak: Jild 2 , Safha 162
Jannat Me Le Jaane Wale Aa’mal (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha 483)
Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Umar bin Al-Khattab رضي الله تعالٰی عنه  Farmate Hain Ki
“Beshak Dua Zameeno Aasman Ke Darmiyan Ruk Jaati Hai Aur Jab Tak Tum Apney Nabi  صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Par Durood-E-Paak Na Padh Lo, Us Me Se Koi Cheez Buland Nahi Hoti.”
Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Ali رضي الله تعالٰی عنه Se Marwi Hai Ki “Har Dua Rok Di Jaati Hai Jab Tak ALLAH Ke Mehboob صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Par Durood Na Padh Liya Jaaye.”
(Jamia At Timizi : Hadees 486
Book ref. : 3, Hadees 35
Eng ref. : Jild 1, Book 3, Hadees 486)
(Tabrani : Jild 1, Safha 211)
(Jannat Me Le Jaane Wale Aa’mal, Maktabatul Madina Hind, Safha 501.)
Apni Dua Ke Chand Alfaz Muz Nachiz (Nazarahmed Khan) Ke Naam Karne Ki Guzarish. Mere Marhum Walid (Nuruddin Khan) Walida (Taslimaara Khan) Ke Haq Me Dua-E-Magfirat Farmaye. ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Apne Habeeb Rehmatallil Aalameen صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Ke Saqke Tufail Mere Walid-Walida Ko Jannatul Firdaus Me Aala Maqam Ata Farmaye. Unke Sageera Kabeera Gunaho Ko Muaf Farmaye. Roze Mehshar Pyare Aaqa صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Ki Shafa’at Unhe Aur Hume Ataa Farmaye Aur Aapke Mubarak Hatho Se Jaam-E-Kausar Peena Naseeb Farmaye. Naam-E-Aamal Dahine Hath Me Ata Farmaye. Arsh Ka Saya Aur Liwayul Hamd Ke Niche Jagah Naseeb Kare. Meezan Par Nekiyo Ka Palda Bhaari Farmaye. Hum Sabka Imaan Par Khatma Naseeb Kare. ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Hamari Aanewali Naslo Ko Aashiq-E-Mustafa صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Bana Kar Paida Farmaye. ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl Farmaye Aur Ye Tamaam Duaye Aapke Ahle Khandan Ke Marhumin Ke Haq Me Bhi Qabool Farmaye. ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Hamare Gharo Me Karobar/Naukri Ki Rozi Me Barkat Ata Farmaye. Hamari Tamam Pareshaniyo Ko Door Farmaye. Ham Sabki Nek Wa Jaiz Tamannao Ko Apni Bargah Me Qabool Farmaye.
Aameen. Summa Aameen.
(Awwalo Aakhir Durood)
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:    
              www.hamarenabi.in
• World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat.
• Best Place To Learn Real Islam In The Light Of Quran Wa Hadees.
• Authentic References/Hawala/Daleel/Proofs From Top Islamic Books.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring… Stay Connected…
Please Don’t Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!