Hadees-E-Nabwi

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Miskeeno Se Muhabbat

~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
● Roz-E-Mehshar Miskeen Maaldaro Se 40 Saal Pehle Jannat Me Jayenge:
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoon Hai Ke Hazrate Sayyeduna Anas رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ke Noor Ke Paikar, Tamam Nabiyon Ke Sarwar, Do Jahan Ke Taajwar, Sultan-E-Bahrobar صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ne Dua Maangi :
” اللَّهُمَّ أَحْيِنِي مِسْكِينًا وَأَمِتْنِي مِسْكِينًا وَاحْشُرْنِي فِي زُمْرَةِ الْمَسَاكِينِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ “
Tarjuma :
“Aye ALLAH Mujhe Miskeeni Ki Zindagi Aur Miskeeni Ki Maut Ataa Farma Aur Qiyamat Ke Din Miskeeno Ke Saath Utha”
To Ummul Momineen Hazrate Sayyedatuna Aisha Siddiqah رضي الله تعالٰی عنها Ne Arz Kiya :
“Aisa Kyun Ya RasoolALLAH صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم ?”
Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Irshaad Farmaya :
“Kyun Ki Yeh Log Agniyon (Maldaaron) Se Chalees (40) Saal Pehle Jannat Me Daakhil Hongey. Aye Aaysha ! Miskeen Ko Khali Haath Na Lautao Agarchey Khajoor Ke Ek Hissey Ke Saath Ho.
Aye Aaysha ! Miskeen Se Mohabbat Karo Aur In Ko Apna Muqarrab Banao Toh ALLAH Qiyamat Ke Din Tumhein Apna Muqarrab Bana Lega”


● Masakeen Ke Saath Mohabbat Karne Ki Targheeb:
Pyare Islami Bhaiyon Aur Islami Behno ! Abhi Aap Ne Mulahaza Farmaya Ki Sarkar صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ko Masakeen Se Kis Qadar Mohabbat Thi Aur Aap Ko Na Sirf Khud Mohabbat Thi Balki Aap Masakeen Ke Saath Mohabbat Karne Ki Targheeb Bhi Dilatey The. Lihaza Humein Bhi Chahiye Ki Hum Bhi Masakeen Aur Kamzor Logo Ko Nafrat Ki Nigaah Se Na Dekhein Balki In Ke Saath Mohabbat Karein Aur Narm Lahja Ikhtiyaar Karein Kyun Ki Jo Jiske Saath Mohabbat Karega Us Ka Hashr Usi Ke Saath Hoga. Agar Hum Sirf Maaldaron Ke Saath Mohabbat Karte Rahe Aur Masakeen Ko Nazar Andaaz Kar Diya Toh Humein Sarkaare Madina صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم Ke Is Farman Se Sabaq Hasil Karna Chahiye:
Hazrate Sayyeduna Abdullah bin Umar رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki Meine Taajdar-E-Risalat, Shehenshah-E-Nubuwwat, Mahboob-E-Rabbul Izzat,
Mohsin-E-Insaniyat صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Ko Irshaad Farmate Suna : “Beshaq Muhajireen Fuqara Qiyamat Ke Din Agniya Se Chalis (40) Saal Pehle Jannat Me Jayenge”
(Jamia Tirimizi : Safha : 562, Hadees : 2352)
(Sahih Muslim : Safha : 1139, Hadees :2979)
(Faizane Aisha Siddiqah رضي الله تعالٰی عنها  (Hindi), Maktabatul Madina – Hind, Safha : 196-197)

Aafiyatwale (Duniya Me Maldaar Aur Khush Rehnewale):
Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoon Hai Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم  Ne Irshaad Farmaya Ke
“Jab Baroze-Qiyamat Ahle Balaa (Yaani Duniya Me Bimaariyan, Pareshaniyan Uthane Waley) Ko Sawaab Ataa Kiya Jayega Toh Aafiyat Wale (Maaldar Aur Duniya Me Khush Rehne Wale Log) Tamanna Karenge, Kaash ! Duniya Me Hamari Khaalein Kenchiyon Se Kaati Jaati. (Toh Aaj Humein Bhi Azimushshan Sawaab Milta)”.
(Jami` at-Tirmidhi 2402
Book ref. : 36, Hadees 100
Eng ref. : Vol. 4, Book 10, Hadees 2402)
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap Par Fazl farmaye !
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
جزاك الله خيرا…
              Keep Visiting & Sharing:             
                  www.hamarenabi.in
World’s Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )
اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ
صلی اللہ علی النبی الامی واٰلہ صلی اللہ علیہ وسلم صلوة و سلاما علیك یا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم
~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~◆~●~
           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!