Sehri Ka Bayan Quran Wa Hadees Se

SONEY KE BAAD SEHRI KI IJAZAT NA THI:

Ibtida'an Raat Ko Uth Kar Sehri Karne Ki Ijazat Nahi Thi.
Roza Rakhne Walon Ko Guroob-E-Aaftab Ke Baad Sirf Us Waqt Tak Khaaney Piney Ki Ijazat Thi Jab Tak Woh So Na Jaaye. Agar So Gaya Toh Ab Bedaar Ho Kar Khana Pina Mam'nu Tha. Magar ALLAH عزوجل Ne Apne Pyare Bando Par Ehsaan-E-Azeem Farmate Hue Sehri Ki Ijazat Marhamat Farma Di Aur Is Ka Sabab Youn Hua

Jaisa Ke Khazainul Irfan Me Sadrul Afazeel Hazrate Allama Maulana Sayyed Mohammad Naeemuddin Muradabadi  رحمة الله تعالي عليه Naql Karte Hain.

SEHRI KI IJAZAT KI HIQAYAT:

Hazrate Sayyeduna Sarma bin Qais رضي الله تعالٰی عنه Mehnati Shakhs The.
EK Din Ba-Halate-Roza Apni Zameen Me Din Bhar Kaam Kar Ke Shaam Ko Ghar Aaye. Apni Zauja-E-Mohtarma رضي الله تعالٰی عنها Se Khana Talab Kiya. Woh Pakane Me Masroof Hui. Aap  رضي الله تعالٰی عنه  Thakey Hue The. Aankh Lag Gayi. Khana Tayyaar Kar Ke Jab Aap رضي الله تعالٰی عنه Ko Jagaya Toh Aap رضي الله تعالٰی عنه Ne Khaney Se Inkaar Kar Diya. Kyunki Un Dino Guroob-E-Aaftab Ke Baad So Jaane Wale Ke Liye Khana Pina Mam'nu Ho Jata Tha. Chunanchey, Khaye Piye Bagair Aap رضي الله تعالٰی عنه Ne Doosre Din Bhi Roza Rakh Liya. Aap رضي الله تعالٰی عنه Kamzori Ke Sabab Kamzor Ho Gaye. Toh Inke Haqq Me Yeh Aayate Muqaddasa Nazil Hui

Tarjuma-E-Kanzul Imaan :
Aur Khaao Aur Piyo Yahan Tak Ki Tumhare Liye Zahir Ho Jaaye Safedi Ka Dora Siyahi Ke Dorey Se Po Fatt Kar. Phir Raat Aane Tak Rozey Purey Karo

(Al Qur’an : Parah 2, Al Baqarah, Ayat No. 187)

Is Ayate Muqaddasa Me Raat  Ko Siyaah Dorey Se Aur Subah Sadiq Ko Safed Dorey Se Tashbeeh Di Gayi. Maa'na Yeh Hai Ki Tumhare Liye Ramzanul Mubarak Ki Raaton Me Khana Pina Mubaah (Yani Jayez) De Diya Gaya.
Is Se Yeh Maloom Hua Ki Rozey Ka Azan-E-Fajr Se Koi Ta'lluq Nahi. Yani Fajr Ki Azan Ke Dauran Khaney Piney Ka Koi Jawaz Hi Nahi. Azaan Ho Ya Na Ho. Aap Tak Aawaz Pahochey Ya Na Pahonchey. Subhe Sadiq Hotey Hi Khana Pina Bilkul Hi Bandh Karna Hoga.
(Tafseeral Khazin , Jild 1, Safha : 126)
Faizane Ramazan (Hindi),
(Maktabatul Madina - Hind, Safha : 153-155)

Hadees-E-Mubarak Ka Mafhoom Hai Ke Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Irshaad Farmaya :
“Hamare Aur Ahle Kitaab Ke Darmiyan Sehri Khaane Ka Farq Hai.''
(Sahih Muslim : Safha 552, Hadees : 1096)
Faizane Ramazan (Hindi), (Maktabatul Madina-Hind, Safha : 155)


ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
( صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم )

اٙشْھِدُ انْ لٙا اِلٙہ اِلْا الله وٙحْدٙہُ لٙا شٙرِیْکٙ لٙہُ وٙاٙشْھٙد اٙنْ مُحٙمْداً عٙبْدٙہُ وٙرٙسُوْلٙہُُ

صَلّی اللّہُ علَی النّبِی الاُمّیّ و آلِہِ
صَلّی اللّه عَلَیہِ وَسَلّم
صَلوٰةً وَّ سَلَاماً عَلَیکَ یَا رَسُولَ اللّه

           Like Us On Facebook:
www.facebook.com/HumareNabi
Sharing Is Caring... Stay Connected...
Please Don't Edit The Post. Share As It Is And Help Us In Khidmate Deen.

Nazarahmed Khan (Admin)

World's Best Islamic Blog Of Ahle Sunnat Wal Jama'at. Learn Islam And Sunnah Quran Wa Islamic Hadees In Roman Urdu. Hadees E Nabwi Collection. Hadith Online. Sahih Bukhari Muslim Ibne Maja Nasai Abu Dawood Hadees Sharif Books. facebook instagram twitter android

Assalamo Alaikum,
Aapke Feedback Ya Queries Muze Email Kare.
HumareNabi@gmail.com
Har Comments Ka Jawab Dena Possible Nahi Hota.
Muafi Chahta Hun.
Dua Ki Guzarish.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post