CoronaVirusHadeesHadees-E-NabwiSihah Sitta Hadith

CoronaVirus Quran Wa Hadees Ki Roshni Me

~

Jaisa Ke Hum Sab Jante Hai Mauzooda Halat Me Corona Virus (Covid19) Ki Bimari Se Puri Duniya Ghiri Hui Hai. Aaj Hum Aapko Corona Virus Ko Le Kar Islam Ka Kya Nazariya Hai Wo Bayan Karenge. Isme Hume Kya Karna Hai, Kaise Ahtiyat Zaroori Hai, Is Tarah Ki Mamlat Ko Hum Yaha Bayan Kar Rahe Hai.

Taoon (Plague): 

Ye Wo Marz Jo Ek Doosre Ko Choone (Touch) Karne Se Ya Un Chizo Ke Choone Se Phelta Hai Jo Kisi Bimar Ne Use Choo Liya Ho. Isko Medically Communicable Desease Bhi Kehte Hai, Ye Marz Jab Kisi Ek Shaks Ko Lahiq Hota Hai, To Wo Doosro Tak Bohat Jald Phel Jata Hai. Mauzooda Waba CoronaVirus Yani Covid19 Bhi Aisi Hi Bimari Hai. Lekin Qurban Jaye Barkat Wa Rahmatwale Aaqa ﷺ Par Aap ﷺ Ne Aaj Se 1441 Sal Pehle Is Tarah Ki Wabao Ke Bare Me Ummat Ko Aagah Kar Diya. Aur Hum Is Waba Se Kaise Bach Sakte Hai Iske Liye Rehnumai Farmayi Hai. 

Hadees-E-Nabvi ﷺ: 

Ummul Momineen Hazrate Bibi Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha Ne Jab Nabi-E-Kareem ﷺ Se Taoon (Plague) Ke Bare Me Daryaft Farmaya To Rehmate Aalam Shafi-E-Mehshar Imamul Ambiya Habeeb-E-Khuda ﷺ Ne Irshad Farmaya,

Taoon (Plague) ALLAH Ka Azab Hai Jis Par Usne Chaha. Aur Imaanwalo Ke Liye Ise Rehmat Kar Diya Gaya. Koi Is Mahmaari Ke Daur Me Apne Desh Me Is Yakin Se Rehta Hai Ke ALLAH Ka Inam Milega Aur ALLAH Ne Uske Liye Jo Likha Hai Use Chhod Kar Kuchh Na Hoga, Use Ghar Baithe Ek Shahid Ka Sawab Ata Hoga.

(Sahih Al Bukhari Shareef, Hadees No: 3474)

Upar Bayan Ki Gayi Hadeese Pak Se Ye Roshan Hua Ke Corona Virus Ek Azab Hai. Jo Ki Ek Taoon Jaisi La-Ilaj Bimari Hai. Lihaza Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Ummat Ko Pehle Se Aagah Farma Diya. Aur Isse Bachne Ke Liye Apni Jagh Par Yani Aap Jaha Reh Rahe Ho Wahi Rehne Ka Huqm Diya. Aur Aisi Jagah Jane Se Mana Farmaya Jaha Ye Waba Mauzood Ho. Aap ﷺ Ne Apne Desh Ko Na Chhodne Ka Huqm Diya Hai. Mauzoda Halat Me Hume Isi Par Amal Ki Sakht Zaroorat Hai. Lihaza Apne Gharo Me Rahen, Lockdown Jo Kiya Gaya Hai Uspe Amal Kare. ALLAH Par Yakin Rakkhe. Ghar Par Rehkar ALLAH Ta’ala Ko Razi Karne Ki Koshish Kare. In sha ALLAH Aapko Ghar Baithe Shahid Ka Sawab Ata Kiya Jayega.

Mauzooda Bimari Corona Virus Ek Waba Hai Jisse Ahtiyat Behad Zaroori Hai. Ab Kuchh Log Apni Aql Ka Kuchh Jyada Hi Istemal Kar Rahe Hai. Logo Ko Lockdown Todne Par Aur Gharon Se Bahar Aane Par Aamada Kar Rahe Hai. Aise Logon Ke Behqawe Me Na Aaye. Inki Aisi Bate Kehna Ki, Kya Tumhara Imaan Kamzor Hai, Kya ALLAH Par Bharosa Nahi Wagira Wagira Ye Aise Sawalat Se Logon Ko Gumrah Kiya Ja Raha Hai. Dar Asl Ye Log Khud To Bilo Me Ghuse Hue Hai. Aur Awam Ko Gumrah Kar Rahe Hai. Inse Bache.

Jab ALLAH Ta’ala Aur Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farma Diya Hai Ke Inse Ahtiyat Karo To Ahtiyat Karo. Kisike Kehne Se Apni Aur Apne Gharwalo Ki Zindagi Ko Khatre Me Na Dale. Hamare Ahle Sunnat (Maslake Haq) Ke Ulma-E-Kiram Kai Bar Bayan Kar Chuke Hai Ke Ahtiyat Kare. Lihaza Is Mushkil Ghadi Me Gharo Me Rehkar Ibadat Wa Astagfar Ke Zariye ALLAH Ta’ala Ko Razi Karne Ki Koshish Kare.

ALLAH Rabbul Aalameen Quran-E-Kareem Me Irshad Farmata Hai,

قُلۡ اَرَءَيۡتَكُمۡ اِنۡ اَتٰٮكُمۡ عَذَابُ اللّٰهِ بَغۡتَةً اَوۡ جَهۡرَةً هَلۡ يُهۡلَكُ اِلَّا الۡقَوۡمُ الظّٰلِمُوۡنَ‏ 

Tum Farmao ! Bhala Batao To Agar Tum Par ALLAH Ka Azab Aaye Achanak Ya Khullamkhulla.
To Kaun Tabah Hoga Siwaye Jaalimo Ke.


(Al Quran-E-Kareem, Surah An’aam Aayat No 47 Tarzuma: Kanzul Imaan)

وَلَٮِٕنۡ اَخَّرۡنَا عَنۡهُمُ الۡعَذَابَ اِلٰٓى اُمَّةٍ مَّعۡدُوۡدَةٍ لَّيَـقُوۡلُنَّ مَا يَحۡبِسُهٗؕ اَلَا يَوۡمَ يَاۡتِيۡهِمۡ لَـيۡسَ مَصۡرُوۡفًا عَنۡهُمۡ وَحَاقَ بِهِمۡ مَّا كَانُوۡا بِهٖ يَسۡتَهۡزِءُوۡنَ

Aur Hum Unse Azaab Ginti Ki Kuchh Muddat Tak Hata De To Zaroor Kahenge Kis Chiz Ne Roka Hai?
Sunlo ! Jis Din Unpar Aayega, Unse Phera Na Jayega. Aur Unhe Gherega Wahi Azaab Jiski Hansi Udate The.


(Al Quran-E-Kareem, Surah Hood Aayat No 8 Tarzuma: Kanzul Imaan)

أَفَأَمِنَ الَّذِينَ مَكَرُوا السَّيِّئَاتِ أَن يَخْسِفَ اللَّهُ بِهِمُ الْأَرْضَ أَوْ يَأْتِيَهُمُ الْعَذَابُ مِنْ حَيْثُ لَا يَشْعُرُونَ
أَوْ يَأْخُذَهُمْ فِي تَقَلُّبِهِمْ فَمَا هُم بِمُعْجِزِينَ
أَوْ يَأْخُذَهُمْ عَلَىٰ تَخَوُّفٍ فَإِنَّ رَبَّكُمْ لَرَءُوفٌ رَّحِيمٌ

To Kya Jo Bure Log Makr (Kapat) Karte Hai. Isse Nahi Darte Hai Ke ALLAH Unhe Zamin Me Dhasade. Ya Unhe Wahan Se Azaab Aaye Jahan Se Unhe Khabar Naho. Ya Unhe Chalte Firate Pakad Le Ki Thaka Nahi Sakte. Ya Unhe Nuksan Dete Dete Giraftar Karle Ki Beshaq Tumhara Rab Bohot Meherban Rahamwala Hai.


(Al Quran-E-Kareem, Surah Nahal Aayat No 45-46 Tarzuma: Kanzul Imaan)

وَيَسْتَعْجِلُونَكَ بِالْعَذَابِ ۚ وَلَوْلَا أَجَلٌ مُّسَمًّى لَّجَاءَهُمُ الْعَذَابُ وَلَيَأْتِيَنَّهُم بَغْتَةً وَهُمْ لَا يَشْعُرُونَ

Aur Unpar Zaroor  Achanak Aa Kar Rahega. Jab Wo Bekhabar Honge.


(Al Quran-E-Kareem, Surah Ankabut Aayat No 53 Tarzuma: Kanzul Imaan)

وَمِنَ النَّاسِ مَن يَتَّخِذُ مِن دُونِ اللَّهِ أَندَادًا يُحِبُّونَهُمْ كَحُبِّ اللَّهِ ۖ وَالَّذِينَ آمَنُوا أَشَدُّ حُبًّا لِّلَّهِ ۗ وَلَوْ يَرَى الَّذِينَ ظَلَمُوا إِذْ يَرَوْنَ الْعَذَابَ أَنَّ الْقُوَّةَ لِلَّهِ جَمِيعًا وَأَنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعَذَابِ – 2:165

Aur Kuchh Log ALLAH Ke Siwa Aur Mabood Bana Lete Hai. Ki Unhe ALLAH Ki Tarah Mehboob Rakhte Hai. Aur Imaanwalo Ko ALLAH Ke Barabar Kisiki Muhabbat Nahi. Aur Kaisi Ho Agar Dekhe Zaalim Wo Waqt Jabki Azaab Unki Aankho Ke Samne Aayega Isliye Ke Sara Jor ALLAH Ko Hai. Aur Isliye Ke ALLAH Ka Azaab Bohot Sakht Hai


(Al Quran-E-Kareem, Surah Bakrah Aayat No 165 Tarzuma: Kanzul Imaan)

Hadees-E-Nabvi ﷺ:
Rehmate Aalam Shafi-E-Mehshar Imamul Ambiya Habeeb-E-Khuda ﷺ Ne Irshad Farmaya

Agar Tum Suno Ki Kisi Sarzami Par Taoon (Plague) Phail Chuka Hai To Us Jagah Na Jao. Aur Agar Tum Us Jagah Rehte Ho Aur Taoon (Plague) Phail Jaye To Us Jagah Ko Mat Chhodo


(Sahih Al Bukhari Shareef, Hadees No: 5728)
(Yahi Hadees Sahih Al Bukhari Shareef, Hadees No: 3473 Par Bhi Mauzood Hai)
(Yahi Hadees Sahih Muslim Shareef, Hadees No: 5774/5776 Par Bhi Mauzood Hai)
(Yahi Hadees Sunan Abu Dawood, Hadees No: 3103 Par Bhi Mauzood Hai)

Is Hadeese Pak Se Hume Maloom Hota Hai Ke Mauzooda Halat Ke Upar Jo Science Technology Ke Zariye Hamari Government Ne Jo Faisla Liya Hai, Ke Jo Jaha Hai Use Wahi Rehne Diya Jaye Koi Nayi Jagah Kisi Ko Na Jane Diya Jaye. Ye Batain To Aaj Zahir Hui Hai Hamare Gaibda Nabi ﷺ Ne Ye Aaj Se 1441 Sal Pehle Bayan Farma Diya Hai Taki Hum Isse Bach Sake. Aur Hum Aaj Dekh Rahe Hai Ke Apne Gharon Me Rehna Aoni Jagah Na Chhodna Hi Iska Behtarin Asardar Ilaj Hai. Lihaza Lockdown Par Puri Tarah Amal Kare. Bila Wajah Bahar Na Jayen.

Apne Gharon Me Reh Kar ALLAH Ta’ala Ko Razi Karne Ki Koshish Kare. Is Mushkil Ghadi Me Rehmate Aalm ﷺ Ne Ye Duaye Bayan Farmayi Hai Inka Vird Jaari Rakhe.

Hadees-E-Nabvi ﷺ:

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي عَافَانِي مِمَّا ابْتَلَاكَ بِهِ وَفَضَّلَنِي عَلَى كَثِيرٍ مِمَّنْ خَلَقَ تَفْضِيلً

Alhamdu lillahil-ladhi aafaani mimmab-talaka bihi wa faddalani ala kathirim-mimman khalaqa tafdeela


(At Tabrani 729, Al Baihaqi 742 Hasan)

(Praise be to ALLAH who had saved me from what He had afflicted you with, and for honouring me over many of his creations)

Hadees-E-Nabvi ﷺ:

❝ أللهم إني أعود بك بين البرص والجنون، والجذام، ومن بين الأشقام ❞

Allahumma Inni A’udhu Bika Minal-Barasi, Wal-Jununi Wal-Judhami, Wa Min Sayyi’il-Asqaami


(Sunan Abu Dawood Hadees No: 1554 Hasan)

Jab Hazrate Yunus Alaihissalam Ko Machhli Ne Ningal Liya Tha To Aap 40 Din Uske Pet Me Rahe. Is Musibat Se Nijat Hasil Karne Ke Maqsad Se Unhone ALLAH Se Ye Ayat Padh Kar Maadad Maangi. ALLAH Subhan Wa Ta’ala Ki Shaan-E-Kareemi Dekhiye, Unpar Fauran Reham-O-Karam Ka Mamla Hua.

Ayat-E-Kareema Ki Quwwat-E-Taseer Mein Koi Shak Nahi Hai Kyunke Aisa Koi Amal Nahi Hai, Jiski Sehat Qur’an Majeed Se Bhi Ho, Ahadees Se Bhi Ho Aur Mashaikh Ke Aqwaal Se Bhi Ho. Khud Qur’an Majeed Is Par Shahid Hai. Lihaza Qasrat Se Iska Vird Zaari Rakkhe, In sha ALLAH Tamam Musibate Door Ho Jayengi.

in sha ALLAH 12 May 2020 Se CoronaVirus Khatm Ho Jayega Ya  Us Din Se Kam Hona Shuru Ho Jayega.

Hadees-E-Nabvi ﷺ: 

عَنْ اَبِیْ ھُرَیْرَۃَ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ‌، عَنِ النَّبِیِّ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  قَالَ: ((مَاطَلَعَ الْنَجْمُ صَبَاحًا قَطُّ، وَبِقَوْمٍ عَاھَۃٌ اِلَّا رُفِعَتْ اَوْ خَفَّتْ۔ (مسند احمد: ۹۰۲۷)

 ۔ سیدنا ابو ہریرہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: جب صبح کے وقت (ثریا) ستارہ طلوع ہوتا ہے اور اس وقت جو قوم جس بیماری میں مبتلا ہوتی ہے تو وہ بیمارییا تو سرے سے ختم ہو جاتی ہے، یا اس میں تخفیف کر دی جاتی ہے۔(مسند احمد حدیث نمبر 9027)

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Bayaan Karte Hain Ke Rasulullah ﷺ Ne Irshad Farmaya

Jab Subah Ke Waqt Surya Sitara (Kehkasha) Tulu Hota Hai Aur Us Waqt Jo Qaum Jis Bimari Mein Mubtela Hoti Hai To Woh Bimariyan Us Se Khatm Ho Jaati Hai Ya Usmein Kami Kar Di Jati Hai.

(Musnad Imam Ahmed, Hadeeth No: 9027)

فیوض الرحمن(تفسیر روح البیان کا ترجمہ) ۔صفحہ 251  میں اسی حدیث کا ذکر اس طرح کیا گیا ہے کہ اللہ کے رسول نے فرمایا کہ جب صبح کے وقت کہکشاں کا ستارہ طلوع ہوتا ہے تو آسمانی بلائں/ آفتیں دور ہو جاتی ہیں ۔ یہاں صبح کا کہکشاں نجم،ثریا کو ہی کہا گیا ہے  اب جانتے ہیں کہ یہ ستارہ/ ثریا کب طلوع ہوتا ہے صاحب فیوض الرحمن نے اس پہ تفصیل سے گفتگو کرتے ہوے فرمایا  کہ جب گرمی کا موسم مکمل شباب پہ ہوتا ہے اور گرم ہوا کی  لوئیں چلتی ہیں تب یہ *ثریا طلوع ہوتا۔ گویا 12 مئ کو  طلوع  ہو جاتا ہے آور تین مہینے کے بعد غروب ہو تا ہے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم کے ارشاد کے مطابق  ثریا طلوع ہوتا تب آفت زدہ قوم پہ آئ ہو آ فتیں، بلائیں یا وبائں ختم کر دی جاتی ہے یا اس دن سے آ گے کم ہو نا شروع ہو جاتی ہے* اب موجودہ وقت و حالات پپ غور کریں کہ *پوری انسانیت آفت/وبا یعنی کورونا وائرس کی زد میں ہے اور مفسرین نے ثریا کے طلوع کا دن و وقت لگ بھگ 12 مئ بتایا ہے تو یقینا 12 مئ سے موجودہ وبا کورونا وائرس ختم ہو جائے گی یا اس دن سے تخفیف کا آغاز ہو جائے گا۔*

کیا شان میرے نبی کی ۔۔

ائے شہنشاہ مدینہ الصلوات والسلام۔

زینت عرش معلی الصلوات واسلام۔

# *طالب دعا*

محمدعبدالرحیم اشرفی۔

ممبرا/ممبئ

Note:
Yaha Chuninda Quran Ki Aayate Aur Ahadees Pesh Ki Gayi Hai. Aisi Aur Bohotsi Hadeese Pak Mauzood Hai.
Is Post Ko Khoob Share Kare Taki Logon Ki Islah Ho Sake.
Dua Ki Guzarish.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!