Aqaid-E-Ahle SunnatEid-E-Miladun Nabi

Eid-E-Milad Un Nabi ﷺ Manana Kaisa

{tocify} $title={Table of Contents}

Eid-E-Milad Un Nabi ﷺ (Mawlid Un Nabi ﷺ) Kya Hai?

Awwal To Hum Eid-E-Milad Un Nabi ﷺ Ke Mayne Ko Samajhte Hai. Eid Ke Mayna Hota Hai Khushi. Aur Milad Ke Mayna Hota Hai Paidaish Yani Eid-E-Milad Un Nabi Ka Mayna Hua Huzoor Sarkare Do Aalam Noore Mujassam Sarware Qaunain Shafi-E-Mehshar Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem ﷺ Ki Wiladat Par Khushi Ka Izhar Karna Yani Khushiya Manana. Is Article Me In sha ALLAH Tamam Chizon Ko Ek Jagah Hi Mukammal Taur Par Samzane Ki Koshish Kar Raha Hu Taki Logon Ki Islah Ho Aur Sabke Dilon Me Eid-E-Milad Un Nabi ﷺ Ki Bahare Ho Aur Miladun Nabi ﷺ Ki Barkaton Se Sab Faizyab Ho Sake. Hum Ahle Sunnat Wal Jama’at Ke Nazdik Eid-E-Milad Un Nabi ﷺ Manana Mustahab Amal Hai. Eid-E-Milad Manana Farz Ya Wazib Nahi Hai. Kisine Na Manaya To Bhi Koi Gunah Nahi Hai. Khabardar! Eid-E-Milad Un Nabi ﷺ Manane Ki ijazat Hume Quran Wa Hadees Se Hasil Hai Alhumdulillah. Jiska Tafseel Me Aage Bayan Hoga Aur Tamam Aitraz Ke Jawabat Bhi Yahan Diye Ja Rahe Hai. Post Ko Khoob Share Kijiyega Taki Sahi Malumat Logon Tak Pohoche.

Eid-E-Milad Un Nabi ﷺ Ke Sabut QUR’AN Se

Hamare Aaqa Tajdar-E-Madina Rehmate Aalam Noore Muzassam Shafi-E-Mehshar Huzoor ﷺ Ki Wiladate Pak Ka Zikr Qur’an-E-Kareem Me In Aayate Mubaraka Me Kiya Gaya Hai. Isi Tarah Digar Ambiya-E-Kiram Ki Wailadat Ka Bhi Zikr Qur’an-E-Kareem Me Mauzood Hai Jise Aapki Khidmat Me Pesh Kar Raha Hu. Gaur Farmaye Ki Kya ALLAH Ta’ala Apne Habib ﷺ Ke Wiladat Ka Zikr Nahi Farma Raha? Apne Habib ﷺ Ke Wiladat Ka Zikr To Hum Se Pehlewali Aasmani Kitabon (Taurat, Zaboor, Inzil) Me Bhi Hai.

ALLAH Subhan Wa Ta’ala Qur’an Kareem Me Irshad Farmata Hai
“Aur Apne Rab Ki Ne’mat Ka Khoob Charcha Karo”
(Al Quran Surah DUHA Aayat No 11)

ALLAH Ta’ala Hume Huqm Farma Raha Hai Ke Hum Uski Ne’maton Ka Khoob Charcha Kare. ALLAH Ta’ala Ki Sabse Badi Ne’mat Hamare Aaqa Wa Maula Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Hai. Jo Rehmatullil Aalameen Hai. Unka Zikr Karna Kaise Bhala Biddat Ho Gaya?

“Aur Humne Tumhe Na Bheja Magar Rehmat Sare Jahan Ke Liye.”
(Al Quran Sure AMBIYA Aayat No 107)

“Aye Logo! Tumhare Pas Tumhare Rab Ki Taraf Se Nasihat Aayi. Aur Dilon Ki Sehat Aur Hidayat Aur Rehmat Imaanwalon Ke Liye. Tum Farmao ! ALLAH Hi Ke Fazl Aur Uski Rehmat Aur Usipar Chahiye Ki Khushi Kare. Wah Unke Sab Dhan Daulat Se Behtar Hai.
(Al Quran Surah  YUNUS Aayat No 57 & 58)

ALLAH Ta’ala Ne Saaf Alfzon Me Huqm Farmaya Apne Habib ﷺ Ko Ke Aap Farmade. Ke ALLAH Ta’ala Ke Fazl Aur Uski Rehmat Par Khushi Kare. Ye Hamare Jama Qarda Tamam Dhan Daulat Se Behtar Hai. To Ab Aap Khud Hi Gaur Kare Ki Eid-E-Milad Un Nabi ﷺ Par Khushiyan Manana Kaise Biddat Ya Fizool Kharchi Ho Gaya? Ma’zallah. Astagfirullah. Qur’an Kareem Me Hamare Aaqa Tajdar-E-Madina Rehmate Aalam Noore Muzassam Shafi-E-Mehshar Huzoor ﷺ Ke Wialadat Ka Aur Digar Ambiya-E-Kiram Alaihissalam Ke Wiladat Ka Bhi Zikr Mauzood Hai.

“Beshaq ! Tumhare Pas Tashrif Laye Tum Me Se Wah Rasool.”
(Al Quran Surah TAUBA Aayat No 128)

Beshaq ! ALLAH Ka Bada Ehsan Hua Musalmano Par Ki Unho Me Se Ek Rasool Bheja. Jo Unpar Uski Aayate Padhta Hai Aur Unhe Paak Karta Hai. Aur Unhe Kitab Wa Hiqmat Sikhata Hai. Aur Wo Zaroor Isse Pehle Khuli Gumrahi Me The.”
(Al Quran Surah IMRAN Aayat 164)

“Aur Yad Karo Jab Isaa Mariyam Ke Bete Ne Kaha,
Aye Bani Israil ! Me Tumhari Taraf ALLAH Ka Rasool Hoon. Apne Se Pehli Kitab Taurat Ki Tasdeeq Karta Hua. Aur Un Rasool Ki Basharat Sunata Hua, Jo Mere Bad Tashrif Layenge Jinka Naam Ahmed Hai.
(Al Quran Surah SAF Aayat No 6)

“Aye Zakariya Hum Tumko Ek Ladke Ki Basharat Dete Hai Jiska Naam Yahya Hai,
isse Pehle Humne is Naam Ka Koi Shakhs Paida Nahi Kiya”
(Al Quran Surah Maryam Aayat No 7)

Upar Bayan Karda Aayate Mubaraka Me Hazrate Yahya Alaihissalam Ki Wiladat Ka Zikr Qur’an-E-Kareem Me ALLAH Ta’ala Farma Raha Hai.

“Aur Wahi Salamati Mujh Per.
Jis Din Me Paida Hua Aur Jis Din Me Maruga Aur Jis Din Zinda Uthaya Jaunga.”
(Al Quran Surah Maryam Aayat No 33)

Ye Aayate Mubaraka Me Hazrate Isa Alaihissalam Ki Wiladate Pak Ka Zikr Mauzood Hai. Isi Tarah Digar Ambiya Alaihissalam Ka Bhi Zikr Qur’an-E-Kareem Me Mauzood Hai. Sirf Yahan Tak Hi Nahin Balke ALLAH Ta’ala Ne Aalame Arwah Me Tamam Ambiya Alaihissalam Se Ahad Liya Ki Jab ALLAH Ke Habib ﷺ Duniya Me Tashrif Laye To Unpar Imaan Lana Hai. Ispar Tamam Ambiya-E-Kiram Alaihissalam Ne Tasdeek Ki. Is Aayat Me Tamam Ambiya-E-Kiram Ke Samne ALLAH Ta’ala Ne Apne Habib ﷺ Ke Wiladat Ka Zikr Kiya Hai Ye Milad Nahi To Aur Kya Hai? Aaiye Aayate Mubaraka Par Roshni Dalen,

“Aur Yaad Karo Jab ALLAH Ne Paigambaro Se Unka Ahad Liya,
Jo Me Tumko Kitaab Aur Hikmat Du Phir Tashreef Laaye Tumhare Paas Woh Rasool,
Kay Tumhari Kitabo Ki Tasdeek Farmaye,
Toh Tum Zarur Zarur Us Per Imaan Lana Aur Zarur Zarur Unki Madad Karna.
Farmaya Kya tumne iqrar Kiya Aur is Per Mera Bhari Nama Liya Sabne Arz Ki Humne iqrar Kiya.
Farmaya Toh Ek Dusre Per Gawah Hojao Aur Me Aap Tumhare Saath Gawah Me Hun”
(Al Quran Surah Al Imran, Aayat No 81)

Yahan Humne Ye Mulahiza Farmaya Ke Hamare Aaqa Tajdar-E-Madina Rehmate Aalam Noore Muzassam Shafi-E-Mehshar Huzoor ﷺ Aur Digar Ambiya Alaihissalam Ki Aamad Ka Tazkira Quran Sharif Me Mauzood Hai Isiko Milad Kaha Jata Hai Yani Yaume Wiladat Ka Zikr. Yahan To Humne Dekha Ke Quran Bhi Milad-E-Mustafa ﷺ Ko Bayan Kar Raha Hai. Humara Un Logon Se Sawal Hai Ke Ab Wo Apni Daleel Pesh Karen Jisse Milad Yani Zikr-E-Wiladate Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Manana Najaiz Sabit Hota Ho. Beshaq ! Qayamat Aa Jayegi Magar Ye Fitnagarz Log Koi Daleel Na De Payenge.

Nabi-E-Kareem ﷺ Ki Wiladat Ke Din Ko Eid Kehna Kaisa?

Aajke Is Pur Fitan Daur Me Kuchh Jaahilon Ne Eid-E-Milad Un Nabi ﷺ Par Biddat Ke Fatwe Lagana Shuru Kar Diye. Eid-E-Milad Un Nabi ﷺ Ko Eid Kehna Biddat Hai. Ye Tisri (3rd) Eid Biddat Hai. Kya Sahaba Ne Eid-E-Milad Manaya? Wagaira Wagaira. Jaisa Ke Humne Pehle Hi Samaz Liya Hai Ke Eid Ke Mayne Hote Hai Khushi. Raha Sawal Kya Eid-UL Fitr Aur Eid-UL-Zuha Ko Chhod Kar Bhi Kisi Din Ko Eid Kaha Gaya Hai? Aaiye Qur’an-E-Kareem Ki Is Aayate Mubaraka Par Roshni Dalen,

“Isa ibn Maryam Ne Arz Ki Aye ALLAH Aye Rab Hum Per Aasman Se Ek Khwaan Utaar Kay Woh Humare Liye Eid Ho, Humare Agle Pichlo Ki,
Aur Teri Taraf Se Nishani, Aur Hume Rizq De Aur Tu Sabse Behtar Rozi Dene Wala Hai”
(Al Quran Surah Maida Aayat No 114)

Yahan Hazrate Isa Alaihissalam Ne ALLAH Ta’ala Ki Bargah Me Dua Ki,
Ke ALLAH Ta’ala Unki Ummat Ke Liye Ek Dastarkhwan Utare Jo Unke Liye Eid Ka Din Ho Yani Khushiyon Ka Din Ho. Aaiye Ab Ahadees Ki Roshni Me Bhi Jaan Lete Hai Ke Kisi Din Ko Eid Kehna Kaisa?

Juma Ka Din Momeeno Ki Eid Hai:
Hazrat Ibn Abbas ِRadiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Farmaya,
“Beshak Yaum-E-Juma Eid Ka Din Hai”
(Sahi ibn Khuzaima, Volume 03, Page : 315, 318 Hadees : 2161, 2166)

Ab Aaiye Agli Ahadees Pak Par Roshni Dalen Jisme Khas Taur Par Hazrate Aadam Alaihissalam Ke Wiladat Ka Zikr Hai. To Is Din Ki Ahmiyat Wa Fazilat Ka Bayan Is Hadees Pak Me Mauzood Hai. Jab Hazrate Aadam Alaihissalam Ke Wiladat Ka Din Eid Hai Jisse Khushiyan Manayi Ja Rahi Hai.
To ALLAH Ta’ala Ke Habeeb Sarkar-E-Do Aalam Noore Muzassam Shafi-E-Mehshar Rehmate Aalam Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Ki Wiladat Ke Din Ko Kyu Na Eid Manaya Jaye? Kyu Khushiyon Ka Izhar Na Kiya Jaye? Ab Mera Un Jaahilon Se Ye Kehna Hai Ke Alhumdulillah Humne To Eid-E-Milad Un Nabi ﷺ Par Roshan Daleel Pesh Kardi Hai. Ab Unhe Chahiye Ke Wo Apne Baatil Aqidon Par Quran Wa Hadees Se Daleel Pesh Karen Agar Wo Sachche Hai.

Hazart Aws Bin Aws Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallalahu Alaihi Wasallam (ﷺ) Ne Farmaya :
“Beshak Tumhare Dino Me Afzal Tarin Din Jum’a Ka Din Hai. Isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Hue Aur Isi Din Unhone Wafaat Payi Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi. Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai.”
(Sunan Abu Dawood Volume : 01,Kitabus Salat,Baab Fazle Youme Jumaat, Page : 443, Hadees : 1047)
(Sunan Nasai,  Book : As Salah Jild : 2 Page : 101 Hadees: 1374)
(Imam Tabrani, Ma’jam Al Kabeer Volume:1 Page: 216-217 Hadees: 589)
(Al Musannif Ibne Abi Shaibah Volume 06, Book: As Salah Chapter : 795 Page : 40,Hadees: 8789)
(Imam Darimi, Sunan Darmi,  Book : As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu’ah Jild : 1 Page : 445 Hadees: 1572, Darmi As-Sunan, Jild-01, Page-445, Hadith-1572)
(Imam Majah, Sunan Ibn Majah,  Book : As Salah wa Sunnah feeha Baab : Fadl Yaum Al Jumu’ah Jild : 1 Page : 345 Hadees: 1085)
(Musnade Imam Ahmad Bin Hambal, Volume: 26 Page:84 Hadees: 16162)
(Imam Bayhaqi,  Sunan Al Kubra,  Book : Al Juma’ah Chapter : 105 Jild : 3 Page : 353 Hadees: 5993)

Nisaar Teri Chahal Pahal Par
Hazaron Eiden Rabiul Awwal,
Siwaye Iblis Ke Jahan Me,
Sabhi To Khushiyon Mana Rahe Hai.

Kya 12 Rabiul Awwal Ko Hi Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Wisal Farmaya?

Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Ki Wiladat 12 Rabiul Awwal Ko Hui. Ab Jaahilon Ko Koi Jaiz Wajah Na Mili Ke Jisse Wo Logon Ko Milad-E-Mustafa ﷺ Manane Se Roke To Unhone Awam Me Ye Jhoot Failana Shuru Kar Diya Ki 12 Rabiul Awwal Hi Ke Din Hamare Aaqa Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Ka Wisal Hua Tha. To Is Din Kaisi Khushi? Balke Ye Wo Din Hai Jisme Hume Gam Manana Chahiye Na Ki Khushi. To In Sab Jhooti Baton Ka Hum Yahan Khulasa Kar Rahe Hai.

Imam Abu Baqr Ibn Abi Shayba Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 235 Hizri) Apni Musannaf Me Sahi Sanad Se Hadees Likhte Hai Jisko Wahabiyo kay Imam Hafiz Ibn Kathir Ne Apni Kutoob E Sirat Me Nakl Kiya
“Hazrat Affan Ne Hazrat Saeed ibn Meena Se Rivayat Kiya Wo Farmate Hai Maine Hazrat Abdullah Ibn Abbas Aur Hazrat Jabir Ibn Abdullah Radi Allaho Taala Anhuma Azmayeen Se Suna Wo Dono Farmate The Huzoor Rehmat E Aalam Ki Wiladat Peer K Din 12 Rabi Ul Awwal Ko Huwi.”
(Hafiz Ibn Kathir Al Sira Al Nabawiyya Vol : 01, Pg : 142)
(Al Badaya Wal Nihaya Vol : 02, Pg : 160)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, Pg : 125)
(Dalail Un Nabuwah Vol : 01, Pg : 74)
(Tareekh Tabri Vol :02, Pg : 125)
(Ma’arij Un Nubuwwah, Vol : 02, Pg : 84)

Aalahazrat Ne Tamam Aqwaal ko Shumar Kiya ki
“Wiladat Par 02, 08, 10, 12, 17,22 Tarikh Ke Aqwaal Bhi Mauzood Hai Phir Iske Baad Al Muwahibul Ladunya k Hawale Se 12 Rabi Ul Awwal Ko Hi Mashoor Aur Sahi Qarar Diya Hai”
(Fatawa E Razviya Vol : 26, Pg : 411)

In Tamam Daleelon Se To Ye Khoob Roshan Ho Gaya Ke 12 Rabiul Awwal Hi Pyare Aaqa Tajdar-E-Madina Rehmate Aalam Noore Muzassam Shafi-E-Mehshar Huzoor ﷺ Ki Wiladate Pak Ka Din Hai. Ab Aaiye Dekhte Hai Ke Kya Isi Din Aap Huzoor ﷺ Ka Wisal Bhi Hua Tha Ya Nahi.

Isko Likhne k se pehle kuch important baat jo yaad rakhe
– Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ne Hizrat k baad Ek Hi Hajj Farmaya jo 10 Hizri me Huwa Aur 11 Hizri Rabi Ul Awwal Me Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Wisaal Huwa  ispe kisi ka ektelaf nahi hai balki ektelaf is baat pe hai k Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ka Wisaal 11 Hizri Rabi Ul Awwal ki Kis tarikh ko Huwa Hai.

Ab Aaye Dekhe Hadees E Sahi Se Kya Nikalta Hai

عَنْ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ، أَنَّ رَجُلاً، مِنَ الْيَهُودِ قَالَ لَهُ يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ، آيَةٌ فِي كِتَابِكُمْ تَقْرَءُونَهَا لَوْ عَلَيْنَا مَعْشَرَ الْيَهُودِ نَزَلَتْ لاَتَّخَذْنَا ذَلِكَ الْيَوْمَ عِيدًا‏.‏ قَالَ أَىُّ آيَةٍ قَالَ ‏{‏الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الإِسْلاَمَ دِينًا‏}‏‏.‏ قَالَ عُمَرُ قَدْ عَرَفْنَا ذَلِكَ الْيَوْمَ وَالْمَكَانَ الَّذِي نَزَلَتْ فِيهِ عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَهُوَ قَائِمٌ بِعَرَفَةَ يَوْمَ جُمُعَةٍ

“Hazrat Umar Ibn Khattab Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Farmate hai Ek Yahudi Ne Mujhse Kaha Aye Ameerul Momineen Ek Aayat Aap Hazrat Apni Kitab (Quran) Me Padhte Hai Agar Wo Hum Par Nazil Hoti To Hum Us Din Ko Eid Bana Lete.
Umar Ibn Khattab Ne Pucha Wo Konsi Aayat Hai ?
Yahudi Ne Kaha ‏الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الإِسْلاَمَ دِينً (Surah Maida Ayat 03)    ”

Hazrat Umar Ne Irshad Farmaya Isme Koi Shak Nahi Hum Jaante Hain Kab Aur Kaha Ye Aayat E Karima Huzoor Rehmat E Aalam Par Naazil Huwi Aur Wo Juma Ka Din Tha Nabi E Akram Arafat Me The (Yaani Hajj Ka Din)”
(Sahi Bukhari Vol : 01, Pg : 45, Kitabul Imaan, Baab : Imaan Ka Zyada Aur Kam Hona,Hadees : 45)
(Sahi Bukhari Vol :06, Pg :106.  Kitabut Tafseer, Hadees : 4606)
(Sahi Bukhari  Vol : 09,Pg : 231, Hadees  : 7268)
(Sahi Muslim Vol : 07, Pg :418 – 420 Kitabut Tafseer, Hadees : 7523, 7524, 7525, 7526,7527)
(Sunan Nasai Vol : 03, Pg : 605,  Kitabul Hajj, Hadees : 3005)
(Sunan Nasai Vol : 06, Pg : 31,  Kitabul Imaan,  Hadees : 5012)
(Jamai Tirmizi Vol :06, Pg :357, Kitabut Tafseer,  Hadees : 3043  “Arabic Hadees No : 3317”)

‘Hazrat Ammar Bin Abi ‘Ammar se Rivayat Hai
“Hazrat Ibn Abbas Ne الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الإِسْلاَمَ دِينً (Surah Maida Ayat 03) Ye Aayat Ki Tilawat Farmayi Aur Unke Saath Ek Yahudi Tha Jisne Kaha Agar ye Aayat Hum par Naazil Hoti to Hum Is Din Ko Bataur E Eid Manate, To Ibn Abbas Ne Farmaya Beshak Ye Aayat 02 Eid Par Nazil Huwi Ek Juma Aur Arafaat ka Din”
(Jamai Tirmizi Vol : 06, Pg : 358, Kitabut Tafseer, Baab : Surah Al Maida Ke Baare Me, Hadees : 3044 “Arabic Hadees : No : 3318)
(Imam Ibn Jarir Tabri Tafseer Al Tabri Vol : 06, Pg :82)
(Ibn Katir Tafseer Ul Quran Vol : 02, Pg : 30)
(Mishkat Al Masabih Vol :01, Kitabus Salat, Baab : Juma Ka Bayan, Hadees : 1288)

Surah Maida Ki Ye Aayate Mubaraka Jis Din Aap Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Par Nazil Hui Wo 9 Zil Hijjah 10th Hijri Ki Tarikh Hai Aur Jumma Ka Din Hai. Isko Yad Rakhe Iske Base Par Aage Daleel Pesh Kar Rahe Hai.

“Hazrat Anas Ibn Malik Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ke Marjul Maut Ke Wakt Hazrat Abu Baqr Siddique Radi Allaho Anho Namaz padhate the Wo Peer Ka Din Tha Jab Log Namaz Me Saff Bandhe Khade Huwe The To Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ne Apne Huzre E Mubarak Se Parda hataya aur Hamari Taraf Dekh Rahe The Aapka Chahre Mubarak Goya Mushaaf Ka Waraq Tha Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Muskura Rahe The Hume Itni Khusi Huwi k Khatra Hogaya k Kaheen Hum Sab Aap Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ko Dekhne Me Hi Naa Mashgul Hojaye Aur Namaz Tod De, Hazrat Abu Bakr Piche Hatke Saaf k Saath Aa Milna Chahte The Wo Samjhe Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Namaz K Liye Tashrif Laa Rahe Hai Lekin Huzoor Rehmat E Aalam Ne Ishara Kiya K Namaz Puri Karlo phir Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Parda daal Diya Aur Ussi Din Aap ki Wafat Huwi.”
(Sahi Bukhari Vol : 01, Pg : 386, Kitabul Azaan, Hadees : 680)
(Sahi Muslim, Vol : 01, Pg : 534, Kitabus Salat, Hadees : 944, ‘Online No : 419’)

“Anas Bin Malik Radi Allaho Anho Se Marvi Hai Jab Hazrat Abu Baqr Siddique Peer K Din Subah K Wakt Namaz Ki Imamat Farma Rahe The To Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Huzra E Ayesha Se Parda hataya aur Dekha k Log Saffo Me Khade The Aur Muskuraya.
Hazrat Abu Bakr Saff Se Piche Hatne Lage k Huzoor صلى الله عليه وسلم Namaz k Liye Aana Chahte Ho. Musalmano Ka Khayal Namaz Se Hatke Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Taraf Hogaya. Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Ishare Se Farmaya Namaz Mukammal Kare Aur Phir Huzoor صلى الله عليه وسلم Apne Huzre Me Chale Gaye Aur Parda Gira Diya, Aur Ussi Din Huzoor صلى الله عليه وسلم Ussi Din Wisaal Huwa.
(Sahi Bukhari Vol : 02, Pg :177, Kitaab Aamal Fi Salat, Hadees : 1205)

Agli Hadees Me Yahi Bayan Peer Ke Din Ka Bhi Zikr Mauzood Hai.
(Sunan Nasai Vol :03, Pg : 23, Kitabuz Janaiz Baab : باب الْمَوْتِ يَوْمَ الاِثْنَيْنِ ‏ “Peer K Deen Wisaal Ka Bayan”Hadees : 1832)
(Sunan ibn Majah, Hadees : 1624) Me Bhi is Tarah Ki Rivayat Hai.

Ab Hume Yahan Par Ye Wajeh Hua Ke Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Ne Peer Ke Din Wisal Farmaya. Ab Jaisa Ke Jaahilon Ka Aitraz Hai Ke 12 Rabiul Awwal Ke Hi Din Aap Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Ne Parda Farmaye. To Hum Agar 11 Hijri Ke Rabiul Awwal Ke Tarikhon Ka Mutalla Karen To 12 Rabiul Awwal Ki Tarikh Ko Ya To Jumerat, Jummah, Sunicher Ya Itwar Hi Aata Hai. Jaisa Ke Hum Pehle Hi Jaan Chuke Hai Ke Aap Nabi-E-Kareem Huzoor ﷺ Ka Wisal Peer Yani Monday Ko Hua Tha. Yahan To 12 Rabiul Awwal Ko Wo Din Nahi Milta. Iske Mutalliq Detai Case Study Ke Liye Sunni Hanafi Organization Ke Page Ko Yahan Padhe.

Tamam Ambiya Alaihissalam Wisal Ke Bad Bhi Apne Qabron Mein Zinda Hain. Iske Mutalliq Hadeese Pak Mauzood Hai Jisme Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ  Ne Irshd Farmaya Ki,
“ALLAH Ta’ala Ne Zamin Par Haram Kar Diya Ke Wo Ambiya Alaihissalam Ke JIsmon Ko Khaye. Aaiye Qur’an-E-Kareem Wa Hadeese Pak Par Roshni Dalen.

وَلا تَقولوا لِمَن يُقتَلُ في سَبيلِ اللَّهِ أَمواتٌ ۚ بَل أَحياءٌ وَلٰكِن لا تَشعُرونَ
“Aur Jo Allah Ki Raah Me Maare Jaye Unhe Murda Na Kaho Balki Wo Zinda Hai, Lekin Tumhe Iska Shau’r Nahi”  (Al Quran Surah Al Baqraah Ayat 154)
وَلا تَحسَبَنَّ الَّذينَ قُتِلوا في سَبيلِ اللَّهِ أَمواتًا ۚ بَل أَحياءٌ عِندَ رَبِّهِم يُرزَقونَ”Aur Jo Log Allag Ki Raah Me Shaheed Kiye Jaayen Unhe Hargiz Murda Khayal Mat Karna, Balki Wo Zinda Hai Aur Rizk Diye Jaate Hai”. (Surah Al-Imran, Ayat : 169)

Hazrat Anas Radiallahu Anhu se rivayat Hai, Rasool Allah ﷺ  ne irshad farmaya
“Ambiya apni kabro pe zinda hai aur namaz padhte hai”
(Imam Bayhaqi Hayat ul-Anbiyah, Pg No. 003 – Maktabah Al Mahid Al Ilmiyah, Misr)
(Imam Abu Ya’la Musnad Vol :06, pg : 699, Hadees :3425) Sanad Sahih
(Imam Ibn Hazar Mazma’ul Zawaid Vol : 08, Pg : 387, Hadees : 13812)
aur aage likha hai Imam Abu Yaala & imam bazzar ne iski tehkeek ki aur iske raavio ko bharose k layak bataya hai.
Gair Mukallid k Muhaddis jinhe apna maa baap sab maante hai
Shaikh Albani ne bhi apni kitab “Silsilatal Hadees al Sahih Vol : 02 Pg : 187 Hadis : 621)

Imam Jalaludin Suyuti farmate hain,
“Qabro me Hayat-e-Ambiya par hamara Eiman-e-Qati hai”

Hazrat Anas RadiAllahu Anhu farmate hai, Rasool Allah ﷺ  ne farmaya
“Safar E meraj me mera gujar Moosa Alaihi salam ki kabr k pass se hua maine dekha MOOSA ALAIHI SALAM apni kabr me Masroof E Salat the”
(Sahih Muslim Kitab 30 , Paigambar aur unke sahaba ki khususiyat,, Baab : MOSA ALAIHI SALAM K FAZAIL, Hadees number : 5858)
(Sahih Muslim, Vol : 04, Pg-1845, Hadees-2375)
(Imam Nasai, Sunan Nasai, Baab Us Salat, Baab Zikr E Nabi Moosa Alaihsalam Vol : 2 pg : 237 Hadis: 1630 – 1636)
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra, Book : As Salah Chapter : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Bil-Laiyl Jild : 2 Pg : Hadis: 1330)
(Imam Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol : 03, Pg-148, Hadees :12526, 13618)
(Sahih Ibn Hibban, Vol-01, Pg-242, Hadees-50)
(Imam Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Vol : 08, Pg : 13, Hadees : 7806)
(Imam Ibn Abi Saybah Al-Musannaf, Vol : 07,Pg : 335, Hadees : 36575)
(Imam Abu Ya’ala Al-Musnad, Vol : 06, Pg-71, Hadees :3325)
(Imam Haythami Majma-uz-Zawa’id, Vol : 08, Pg-205)
(Imam Ibn Hazar Asqalani Shara E sahi ul Bukhari Fat’h-ul-Bari, Vol-06, Pg-444.)

Hazart Aws Bin Aws Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Beshak Tumhare Dinon Me Se Jum’a Ka Din Sab Se Behtar Hai Is Din Hazrat Adam Alaihissalam Paida Huwe Aur Isi Din Unhone Wafaat Payi Aur Isi Din Soor Foonka Jaaega Aur Isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi,
Pas Is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai.
Sahaba Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Arz Kiya
Ya RasoolAllah ﷺ
Hamaara Durood Aap ﷺ Ke Wisaal Ke Baad Aap ﷺ Ko Kaise Pesh Kiya Jaaega ?
Jab Ki Aap Ka Jasad-E-Mubarak Khaaq Me Mil Chuka Hoga ?
To Aap ﷺ Ne Farmaya : (Nahin Aisa Nahin Hai) Beshak Allah Ta’ala Ne Zameen Par Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ko (Khaana Ya Kisi Bhi Qism Ka Nuqsaan Pahuchaana) Haraam Kar Diya Hai.”

“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Aap ﷺ Ne Farmaya Beshak ALLAH Ta’ala Buzurgon Bartar Ne Zameen Par Haraam Qaraar Diya Hai Ki Wo Hamaare Jismon Ko Khaa’e
(Sunan Abu Dawood Vol : 01 Kitabus Salat, Pg : 443, Hadees : 1047)
Imam Ibn e Hajar ‘Asqalani, Fathul Bari, Vol: 6, Pg: 562)
(Imam Tabrani , Ma’jam Al Ausath Vol: 5 Pg:97,Hadees: 4780)
(Imam Tabrani, Ma’jam Al Kabeer Vol:1 Pg: 216-217 Hadees: 589)
(Imam Ibn e Abi Shaibah Musannaf ibn Abi Shaiba me, Kitab As Salah Chapter : 795 Vol : 6 Pg : 40 Hadees: 8789)
(Imam Ahmad Bin Hambal, Al Musnad Vol:26 Pg:84 Hadees : 16162)
(Imam Bazzar,  Musnad Al Bazzar, Vol : 8 Pg : 411 Hadees : 3485)
(Imam Ibn Hibban Sahih Kitab Ar Raqaiq Chapter : Ad’iyah Vol : 3 pg : 190-191 Hadees : 910)
(Imam ibn e Khuzimah Sahih, Vol: 3, Pg : 118, Hadees :  1733-1734)
(Imam Bayhaqi, Shu’b Al Eman Baab : Fadl As Salah ‘Ala An NABI Vol : 4 Pg : 432 Hadees : 2768)
(Imam Bayhaqi,  Sunan Al Kubra,  Kitab Al Juma’ah Chapter : 105 Vol : 3 Pg : 353 Hadees : 5993)
(Imam Darimi, Sunan Darmi,  Kitab As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu’ah Vol : 1 pg : 445 Hadees : 1572, Darmi As-Sunan, Vol :01, Pg-445, Hadees : 1572)
(Imam Majah, Sunan Ibn Majah,  Book : As Salah wa Sunnah feeha Baab : Fadl yaum Al Jumu’ah (79) Vol : 1 Pg : 345 Hadees : 1085)
(Imam Nasai, Sunan Nasai,  Book : As Salah Jild : 2 Pg : 101 Hadis: 1374 , Nisa’i As-Sunan, Vol -03, Pg-91, Hadees : 1374, &
As-Sunan Al-Kubra, Vol : 01, Pg-519, Hadees -1666)
(Sunan Ibn Majah, Vol 01 , Hadees 1626,#1085)

In Ahadees Sharif Se Aur Qur’an-E-Kareem Ki Aayate Mubaraka Se Hume Ye Khoob Roshan Ho Gaya Ke Tamam Ambiya Alaihissalam Sirf Zahiri Taur Par Wisal Farmate Hai Balqe Wo Baqayda Hayat Hai. Aur ALLAH Ta’ala Ke Janib Se Unko Namaz Jaisi Ibadat Karne Ki Tak Ijazat Hai. Unhe Rizq Bhi Diya Jata Hai. To Kya Maloom Hua? Jo Zinda Hai Unka Gam Ya Matam Kaisa? Isliye Hamare Pyare Imame Ahle Sunnat Azeemul Barkat Mujaddid-E-Deeno Millat Aalahazrat Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alaihi Ne Kya Khoob Irshad Farmaya Hai,

“Tu Zinada Hai Wallah,
Tu Zinda Hai Wallah,
Meri Chashme Aalam Se Chhupjanewale..”

Eid-E-Milad Un Nabi Par Jhande Lagana Kaisa?

Hum Ahle Sunnat Alhumdulillah Jo Bhi Amal Karte Hai Uski Daleel Hamare Pas Mauzood Hai. Badmazhabon Ki Tarah Hum Bina Daleel Ke Logon Ko Sirf Baate Karke Gumrah Nahi Karte. Ab Jaahilon Ke Aitraz Ke Fehrisht Me Jhande Lagane Ke Bare Me Bhi Aitraz Mila. To Aaiye Iske Mutalliq Bhi Hum Daleel Dekh Lete Hai.

Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Ki Walida Mohtarma Hazrate Bibi Aamina Radiallahu Anha Farmati Hai,
“Jab Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem Huzoor ﷺ Ki Wiladat Honewali Thi To Maine 3 Jhande Lage Dekhe. Ek Jhanda Mashrik Me, Dusra Jhanda Magrib Me Aur Teesra Kaabe Ki Chhat Par.”
(Dalailun Nabuwwah Imam Abi Nuaim Jild 1, Safa 610, Hadees No 555)
(Al Mawahibul Ladunniyah Jild 1 Safa 77)
(Al Bidayah Wan Nihayah Jild 6 Safa 299)
(Al Khasaisul Kubra Jild 1 Safa 82)

Conclusion:

Alhumdulillah. Humne Yahan Mukhtasar Andaz Me Mukammal Daleel Ke Sath Ye Sabit Kiya Ke Eid-E-Milad Un Nabi ﷺ Manana Jaiz Amal Hai Jisse In sha ALLAH Logon Ke Dilon Me ALLAH Ta’ala Ke Habeeb Sarkar-E-Do Aalam Huzoor ﷺ Ki Muhabbat Paida Hogi Aur Unko Sawabe Darrain Bhi Milega. Aur In Sha ALLAH Milad-E-Mustafa ﷺ Ki Barkatain Aur Rehmatain Unhe Hasil Hongi. ALLAH Ta’ala Apne Habib ﷺ Ke Sadqe Humare Imaan Ki Hifazat Farmaye Aur Imaan Par Khatma Nasib Farmaye. Aur ALLAH Ta’ala Apni Aur Apne Habib ﷺ Ki Muhabbat Me Jeena Aur Marna Hum Sabko Naseeb Farmaye.
Aameen. Awwal Aakhir Darood.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
Close

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker!